Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shah Naseer's Photo'

Shah Naseer

1756 - 1838 | Delhi, India

Prominent 18th century Delhi poet

Prominent 18th century Delhi poet

Sher of Shah Naseer

2.7K
Favorite

SORT BY

mushkil hai rok āh-e-dil-e-dāġhdār

kahte haiñ sau sunār aur ik luhār

mushkil hai rok aah-e-dil-e-daghdar ki

kahte hain sau sunar ki aur ek luhaar ki

ka.abe se ġharaz us ko na but-ḳhāne se matlab

āshiq jo tirā hai na idhar na udhar

For mosques he does not bother, for temples does not care

Anyone who Loves you is / from neither here nor there

kabe se gharaz us ko na but-KHane se matlab

aashiq jo tera hai na idhar ka na udhar ka

For mosques he does not bother, for temples does not care

Anyone who Loves you is / from neither here nor there

ġhurūr-e-husn na kar jazba-e-zuleḳhā dekh

kiyā hai ishq ne yūsuf ġhulām āshiq

ghurur-e-husn na kar jazba-e-zuleKHa dekh

kiya hai ishq ne yusuf ghulam aashiq ka

kam nahīñ hai afsar-shāhī se kuchh tāj-e-gadā

gar nahīñ bāvar tujhe mun.im to donoñ tol taaj

kam nahin hai afsar-shahi se kuchh taj-e-gada

gar nahin bawar tujhe munim to donon tol taj

mullā dauḌ jaise hai masjid talak 'nasīr'

hai mast bhī ḳhāna-e-ḳhummār tak pahuñch

mulla ki dauD jaise hai masjid talak 'nasir'

hai mast ki bhi KHana-e-KHummar tak pahunch

lagā na dil ko apne kisī se dekh 'nasīr'

burā na maan ki is meñ nahīñ bhalā dil

laga na dil ko tu apne kisi se dekh 'nasir'

bura na man ki is mein nahin bhala dil ka

mai-kashī hai ye shauq us ko ki ā.īñe meñ

kaan ke jhumke ko añgūr ḳhoshā samjhā

mai-kashi ka hai ye shauq us ko ki aaine mein

kan ke jhumke ko angur ka KHosha samjha

ye abr hai fīl-e-siyah-mast hai saaqī

bijlī ke jo hai paañv meñ zanjīr havā par

ye abr hai ya fil-e-siyah-mast hai saqi

bijli ke jo hai panw mein zanjir hawa par

hai ustād-e-azal ne ye rubā.ī mauzūñ

chaar unsur se khule ma.anī-e-pinhāñ ham ko

ki hai ustad-e-azal ne ye rubai mauzun

chaar unsur se khule mani-e-pinhan hum ko

ḳhayāl-e-nāf-e-butāñ se ho kyuuñ ki dil jāñ-bar

nikalte koī bhañvar se na Dūbtā dekhā

KHayal-e-naf-e-butan se ho kyun ki dil jaan-bar

nikalte koi bhanwar se na Dubta dekha

maiñ us chashm bīmār-e-nā-tavāñ huuñ tabīb

jo mere haq meñ munāsib ho vo davā Thahrā

main us ki chashm ka bimar-e-na-tawan hun tabib

jo mere haq mein munasib ho wo dawa Thahra

āñkhoñ se tujh ko yaad maiñ kartā huuñ roz-o-shab

be-dīd mujh se kis liye begāna ho gayā

aankhon se tujh ko yaad main karta hun roz-o-shab

be-did mujh se kis liye begana ho gaya

dekhoge ki maiñ kaisā phir shor machātā huuñ

tum ab ke namak mere zaḳhmoñ pe chhiḌak dekho

dekhoge ki main kaisa phir shor machata hun

tum ab ke namak mere zaKHmon pe chhiDak dekho

ḳhayāl-e-zulf-e-dotā meñ 'nasīr' piiTā kar

gayā hai saañp nikal lakīr piiTā kar

KHayal-e-zulf-e-dota mein 'nasir' piTa kar

gaya hai sanp nikal tu lakir piTa kar

rakh qadam hoshyār ho kar ishq manzil meñ aah

jo huā is raah meñ ġhāfil Thikāne lag gayā

rakh qadam hoshyar ho kar ishq ki manzil mein aah

jo hua is rah mein ghafil Thikane lag gaya

ai ḳhāl-e-ruḳh-e-yār tujhe Thiik banātā

chhoḌ diyā hāfiz-e-qur.ān samajh kar

ai KHal-e-ruKH-e-yar tujhe Thik banata

ja chhoD diya hafiz-e-quran samajh kar

ishq donoñ taraf jalva-e-dildār huā

varna is hiir rāñjhe ko rijhānā kyā thā

ishq hi donon taraf jalwa-e-dildar hua

warna is hir ka ranjhe ko rijhana kya tha

bosa-e-ḳhāl-e-lab-e-jānāñ kaifiyyat na pūchh

nashsha-e-mai se ziyāda nashsha-e-afyūñ huā

bosa-e-KHal-e-lab-e-jaanan ki kaifiyyat na puchh

nashsha-e-mai se ziyaada nashsha-e-afyun hua

kyuuñ mai ke piine se karūñ inkār nāsehā

zāhid nahīñ valī nahīñ kuchh pārsā nahīñ

kyun mai ke pine se karun inkar naseha

zahid nahin wali nahin kuchh parsa nahin

pistāñ ko tere dekh ke miT jaa.e phir hubāb

dariyā meñ tā-ba-sīna agar nahā.e sub.h

pistan ko tere dekh ke miT jae phir hubab

dariya mein ta-ba-sina agar tu nahae subh

shaiḳh-sāhib namāz-e-saharī ko hai salām

husn-e-niyyat se musalle pe vazū TuuT gayā

shaiKH-sahib ki namaz-e-sahari ko hai salam

husn-e-niyyat se musalle pe wazu TuT gaya

tire naam simran hai mujh ko aur tasbīh

hai vird har ik sub.h-o-shām āshiq

tere hi nam ki simran hai mujh ko aur tasbih

tu hi hai wird har ek subh-o-sham aashiq ka

'nasīr' us zulf ye kaj-adā.ī koī jaatī hai

masal mash.hūr hai rassī jalī lekin na bal niklā

'nasir' us zulf ki ye kaj-adai koi jati hai

masal mashhur hai rassi jali lekin na bal nikla

burqa ko ulaT mujh se jo kartā hai vo bāteñ

ab maiñ hama-tan-gosh banūñ hama-tan-chashm

burqa ko ulaT mujh se jo karta hai wo baaten

ab main hama-tan-gosh banun ya hama-tan-chashm

hai ustād-e-azal ne ye rubā.ī mauzūñ

chaar unsur ke sivā aur hai insān meñ kyā

ki hai ustad-e-azal ne ye rubai mauzun

chaar unsur ke siwa aur hai insan mein kya

sau baar bosa-e-lab-e-shīrīñ vo de to luuñ

khāne se dil mirā abhī shakkar nahīñ phirā

sau bar bosa-e-lab-e-shirin wo de to lun

khane se dil mera abhi shakkar nahin phira

tishnagī ḳhaak bujhe ashk tuġhyānī se

ain barsāt meñ bigḌe hai mazā paanī

tishnagi KHak bujhe ashk ki tughyani se

ain barsat mein bigDe hai maza pani ka

ik aabla thā so bhī gayā ḳhār-e-ġham se phaT

terī girah meñ kyā dil-e-andoh-gīñ rahā

ek aabla tha so bhi gaya KHar-e-gham se phaT

teri girah mein kya dil-e-andoh-gin raha

na haath rakh mire siine pe dil nahīñ is meñ

rakhā hai ātish-e-sozāñ ko daab ke ghar meñ

na hath rakh mere sine pe dil nahin is mein

rakha hai aatish-e-sozan ko dab ke ghar mein

juuñ mauj haath māriye kyā bahr-e-ishq meñ

sāhil 'nasīr' duur hai aur dam nahīñ rahā

jun mauj hath mariye kya bahr-e-ishq mein

sahil 'nasir' dur hai aur dam nahin raha

lagā jab aks-e-abrū dekhne dildār paanī meñ

baham har mauj se chalne lagī talvār paanī meñ

laga jab aks-e-abru dekhne dildar pani mein

baham har mauj se chalne lagi talwar pani mein

jab ki le zulf tirī mus.haf-e-ruḳh bosa

phir yahāñ farq ho hindū o musalmān meñ kyā

jab ki le zulf teri mushaf-e-ruKH ka bosa

phir yahan farq ho hindu o musalman mein kya

lab-e-dariyā pe dekh aa kar tamāshā aaj holī

bhañvar kaale ke daf baaje hai mauj ai yaar paanī meñ

lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka

bhanwar kale ke daf baje hai mauj ai yar pani mein

tere ḳhayāl-e-nāf se chakkar meñ kiyā hai dil

girdāb se nikal ke shanāvar nahīñ phirā

tere KHayal-e-naf se chakkar mein kiya hai dil

girdab se nikal ke shanawar nahin phira

mat pūchh vārdāt-e-shab-e-hijr ai 'nasīr'

maiñ kyā kahūñ jo kār-e-numāyān-e-nāla thā

mat puchh wardat-e-shab-e-hijr ai 'nasir'

main kya kahun jo kar-e-numayan-e-nala tha

isī mazmūn se ma.alūm us sard-mehrī hai

mujhe naama jo us ne kāġhaz-e-kashmīr par likkhā

isi mazmun se malum us ki sard-mehri hai

mujhe nama jo us ne kaghaz-e-kashmir par likkha

koī ye shaiḳh se pūchhe ki band kar āñkheñ

murāqabe meñ batā sub.h-o-shām kyā dekhā

koi ye shaiKH se puchhe ki band kar aankhen

muraqabe mein bata subh-o-sham kya dekha

gale meñ ne vahāñ motiyoñ pahnā haar

yahāñ pe ashk-e-musalsal gale haar rahā

gale mein tu ne wahan motiyon ka pahna haar

yahan pe ashk-e-musalsal gale ka haar raha

reḳhta ke qasr buniyād uThā.ī ai 'nasīr'

kaam hai mulk-e-suḳhan meñ sāhib-e-maqdūr

reKHta ke qasr ki buniyaad uThai ai 'nasir'

kaam hai mulk-e-suKHan mein sahib-e-maqdur ka

banā kar man ko mankā aur rag-e-tan ke ta.iiñ rishta

uThā kar sañg se phir ham ne chaknāchūr tasbīh

bana kar man ko manka aur rag-e-tan ke tain rishta

uTha kar sang se phir hum ne chaknachur ki tasbih

din raat yahāñ putliyoñ naach rahe hai

hairat hai ki mahv-e-tamāshā nahīñ hotā

din raat yahan putliyon ka nach rahe hai

hairat hai ki tu mahw-e-tamasha nahin hota

lagā.ī kis but-e-mai-nosh ne hai taak us par

subū-ba-dosh hai saaqī jo aabla dil

lagai kis but-e-mai-nosh ne hai tak us par

subu-ba-dosh hai saqi jo aabla dil ka

ham vo falak haiñ ahl-e-tavakkul ki misl-e-māh

rakhte nahīñ haiñ nān-e-shabīna barā-e-sub.h

hum wo falak hain ahl-e-tawakkul ki misl-e-mah

rakhte nahin hain nan-e-shabina bara-e-subh

le gayā de ek bosa aql o diin o dil vo shoḳh

kyā hisāb ab kiije kuchh apnā fāzil rah gayā

le gaya de ek bosa aql o din o dil wo shoKH

kya hisab ab kije kuchh apna hi fazil rah gaya

aatā hai to aa va.ada-farāmosh vagarna

har roz ye lait-o-la.al jaa.e to achchhā

aata hai to aa wada-faramosh wagarna

har roz ka ye lait-o-lal jae to achchha

na kyuuñ ki ashk-e-musalsal ho rahnumā dil

tarīq-e-ishq meñ jaarī hai silsila dil

na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka

tariq-e-ishq mein jari hai silsila dil ka

jā-ba-jā dasht meñ ḳheme haiñ bagūle ke khaḌe

urs-e-majnūñ hai dhuum aaj bayābān meñ kyā

ja-ba-ja dasht mein KHeme hain bagule ke khaDe

urs-e-majnun ki hai dhum aaj bayaban mein kya

ḳhudā gavāh hai maiñ shaġhl-e-but-parastī meñ

sivā.e ishq kisī kaam se nahīñ vāqif

KHuda gawah hai main shaghl-e-but-parasti mein

siwae ishq kisi kaam se nahin waqif

dekh yār-e-bāda-kash maiñ ne bhī kaam kyā kiyā

de ke kabāb-e-dil tujhe haqq-e-namak adā kiyā

dekh tu yar-e-baada-kash main ne bhi kaam kya kiya

de ke kabab-e-dil tujhe haqq-e-namak ada kiya

pūchhne vāloñ ko kyā kahiye ki dhoke meñ nahīñ

kufr o islām haqīqat meñ haiñ yaksāñ ham ko

puchhne walon ko kya kahiye ki dhoke mein nahin

kufr o islam haqiqat mein hain yaksan hum ko

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now