Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Wazir Ali Saba Lakhnavi

1793 - 1855 | Lucknow, India

Sher of Wazir Ali Saba Lakhnavi

5.8K
Favorite

SORT BY

aap apne zarā jaur-o-sitam ko dekheñ

ham agar arz kareñge to shikāyat hogī

aap hi apne zara jaur-o-sitam ko dekhen

hum agar arz karenge to shikayat hogi

ham riñd-e-pareshāñ haiñ māh-e-ramazāñ hai

chamkī huī in rozoñ meñ vaa.iz dukāñ hai

hum rind-e-pareshan hain mah-e-ramazan hai

chamki hui in rozon mein waiz ki dukan hai

baat bhī aap ke aage na zabāñ se niklī

lījiye aa.e the ham soch ke kyā kyā dil meñ

baat bhi aap ke aage na zaban se nikli

lijiye aae the hum soch ke kya kya dil mein

apne paañv mehñdī chhuḌā ke de ai mahr

falak ko chāhiye ġhāza ruḳh-e-qamar ke liye

tu apne panw ki mehndi chhuDa ke de ai mahr

falak ko chahiye ghaza ruKH-e-qamar ke liye

na paḌhā yaar ne ahvāl-e-shikasta merā

ḳhat ke purze kiye bāzū-e-kabūtar toḌā

na paDha yar ne ahwal-e-shikasta mera

KHat ke purze kiye bazu-e-kabutar toDa

ma.adūm hue jaate haiñ ham fikr ke maare

mazmūñ kamar-e-yār paidā nahīñ hotā

madum hue jate hain hum fikr ke mare

mazmun kamar-e-yar ka paida nahin hota

saj diyā hairat-e-ushshāq ne is but makāñ

qadd-e-ādam haiñ lage aa.ine dīvāroñ meñ

saj diya hairat-e-ushshaq ne is but ka makan

qadd-e-adam hain lage aaine diwaron mein

kahte haiñ mere dost mirā haal dekh kar

dushman ko bhī ḳhudā na kare mubtalā-e-ishq

kahte hain mere dost mera haal dekh kar

dushman ko bhi KHuda na kare mubtala-e-ishq

mai ke iid kījiye guzrā mah-e-siyām

tasbīh rakhiye sāġhar-o-mīnā uThā.iye

mai pi ke id kijiye guzra mah-e-siyam

tasbih rakhiye saghar-o-mina uThaiye

mere ash.ār se mazmūn-e-ruḳh-e-yār khulā

be-ahādīs nahīñ matlab-e-qur.ān niklā

mere ashaar se mazmun-e-ruKH-e-yar khula

be-ahadis nahin matlab-e-quran nikla

sāqiyā ab ke baḌe zoroñ pe haiñ ham mai-parast

chal ke vaa.iz ko sar-e-mimbar latāḌā chāhiye

saqiya ab ke baDe zoron pe hain hum mai-parast

chal ke waiz ko sar-e-mimbar lataDa chahiye

ka.abe samt sajda kiyā dil ko chhoḌ kar

to kis taraf thā dhyān hamārā kidhar gayā

kabe ki samt sajda kiya dil ko chhoD kar

to kis taraf tha dhyan hamara kidhar gaya

kaleja kāñptā hai dekh kar is sard-mehrī ko

tumhāre ghar meñ kyā aa.e ki ham kashmīr meñ aa.e

kaleja kanpta hai dekh kar is sard-mehri ko

tumhaare ghar mein kya aae ki hum kashmir mein aae

tumhārī zulf na girdāb-e-nāf tak pahuñchī

huī na chashma-e-haivāñ se faiz-yāb ghaTā

tumhaari zulf na girdab-e-naf tak pahunchi

hui na chashma-e-haiwan se faiz-yab ghaTa

ka.aba banā.iye ki kalīsā banā.iye

dil makāñ havāle kiyā hai janāb ke

kaba banaiye ki kalisa banaiye

dil sa makan hawale kiya hai janab ke

mere baġhal meñ rah ke mujhī ko kyā zalīl

nafrat ho ga.ī dil-e-ḳhāna-ḳharāb se

mere baghal mein rah ke mujhi ko kya zalil

nafrat si ho gai dil-e-KHana-KHarab se

dasht-e-junūñ meñ aa ga.iiñ āñkheñ jo un yaad

bhāgā meñ ḳhaak Daal ke chashm-e-ġhazāl meñ

dasht-e-junun mein aa gain aankhen jo un ki yaad

bhaga mein KHak Dal ke chashm-e-ghazal mein

aap ko ġhair bahut dekhte haiñ

ek din dekhiye pachhtā.iyegā

aap ko ghair bahut dekhte hain

ek din dekhiye pachhtaiyega

huā dhuup meñ bhī na kam husn-e-yār

kanhayyā banā vo jo sañvlā gayā

hua dhup mein bhi na kam husn-e-yar

kanhayya bana wo jo sanwla gaya

tā.ir-e-aql ko ma.azūr kahā zāhid ne

par-e-parvāz meñ tasbīh Dorā bāñdhā

tair-e-aql ko mazur kaha zahid ne

par-e-parwaz mein tasbih ka Dora bandha

ḳhud-raftagī hai chashm-e-haqīqat jo huī

darvāza khul gayā to maiñ ghar se nikal gayā

KHud-raftagi hai chashm-e-haqiqat jo wa hui

darwaza khul gaya to main ghar se nikal gaya

chashm rah ga.ī dekhā jo tilismāt-e-jahāñ

aa.ina ban ga.e ham mahv-e-tamāshā ho kar

chashm wa rah gai dekha jo tilismat-e-jahan

aaina ban gae hum mahw-e-tamasha ho kar

roz o shab furqat-e-jānāñ meñ basar ham ne

tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-daurāñ niklā

roz o shab furqat-e-jaanan mein basar ki hum ne

tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-dauran nikla

tirī talāsh meñ mah tarah maiñ phirtā huuñ

kahāñ raat ko ai āftāb rahtā hai

teri talash mein mah ki tarah main phirta hun

kahan tu raat ko ai aaftab rahta hai

jab maiñ rotā huuñ to allāh re hañsnā un

qahqahoñ meñ mire nāloñ ko uḌā dete haiñ

jab main rota hun to allah re hansna un ka

qahqahon mein mere nalon ko uDa dete hain

ulfat-e-kūcha-e-jānāñ ne kiyā ḳhāna-ḳharāb

barhaman dair se ka.abe se musalmāñ niklā

ulfat-e-kucha-e-jaanan ne kiya KHana-KHarab

barhaman dair se kabe se musalman nikla

bosa-e-sabza-e-ḳhat de ke gunahgār kiyā

ne kāñToñ meñ mujhe ai gul-e-ra.anā khīñchā

bosa-e-sabza-e-KHat de ke gunahgar kiya

tu ne kanTon mein mujhe ai gul-e-rana khincha

sākin-e-dair huuñ ik but huuñ banda ba-ḳhudā

ḳhud vo kāfir haiñ jo kahte haiñ musalmāñ mujh ko

sakin-e-dair hun ek but ka hun banda ba-KHuda

KHud wo kafir hain jo kahte hain musalman mujh ko

donoñ chashmoñ se marī ashk bahā karte haiñ

maujzan rahtā hai dariyā ke kināre dariyā

donon chashmon se mari ashk baha karte hain

maujzan rahta hai dariya ke kinare dariya

majnūñ nahīñ ki ek lailā ke ho raheñ

rahtā hai apne saath nayā ik nigār roz

majnun nahin ki ek hi laila ke ho rahen

rahta hai apne sath naya ek nigar roz

jab us be-mehr ko ai jazb-e-dil kuchh josh aatā hai

mah-e-nau tarah khole hue āġhosh aatā hai

jab us be-mehr ko ai jazb-e-dil kuchh josh aata hai

mah-e-nau ki tarah khole hue aaghosh aata hai

chaar unsur ke sab tamāshe haiñ

vaah ye chaar baaġh kis hai

chaar unsur ke sab tamashe hain

wah ye chaar bagh kis ka hai

ab to sāhab huī ḳhātir jam.a

san chuke hāl-e-pareshāñ merā

ab to sahab ki hui KHatir jama

san chuke haal-e-pareshan mera

in mizha hai ka.aba-e-abrū meñ mo.atakif

khīñchā kabhī na tiir ne chilla kamān meñ

in ki mizha hai kaba-e-abru mein moatakif

khincha kabhi na tir ne chilla kaman mein

haiñ vo suufī jo kabhī nālā-e-nāqūs sunā

vajd karne lage ham dil ajab haal huā

hain wo sufi jo kabhi nala-e-naqus suna

wajd karne lage hum dil ka ajab haal hua

paayā hai is qadar suḳhan-e-saḳht ne rivāj

punjabi baat karte haiñ pashtū zabān meñ

paya hai is qadar suKHan-e-saKHt ne riwaj

punjabi baat karte hain pashtu zaban mein

dekhiye aaj vo tashrīf kahāñ farmā.eñ

ham se va.ada hai judā ġhair se iqrār judā

dekhiye aaj wo tashrif kahan farmaen

hum se wada hai juda ghair se iqrar juda

tirchhī nazroñ se na dekho āshiq-e-dil-gīr ko

kaise tīr-andāz ho sīdhā to kar lo tiir ko

tirchhi nazron se na dekho aashiq-e-dil-gir ko

kaise tir-andaz ho sidha to kar lo tir ko

diloñ meñ gabr-o-musalmāñ zarā ḳhayāl kareñ

ḳhudā ke vāste qisse infisāl kareñ

dilon mein gabr-o-musalman zara KHayal karen

KHuda ke waste qisse ka infisal karen

nahīñ hai hājiyoñ ko mai-kashī kaifiyyat

ga.e haram ko to hogī bahut ḳharāb ghaTā

nahin hai hajiyon ko mai-kashi ki kaifiyyat

gae haram ko to hogi bahut KHarab ghaTa

itnī to dīd-e-ishq tāsīr dekhiye

jis samt dekhiye tirī tasvīr dekhiye

itni to did-e-ishq ki tasir dekhiye

jis samt dekhiye teri taswir dekhiye

āshiq haiñ ham ko harf-e-mohabbat se kaam hai

mullā nikāltā phire matlab kitāb se

aashiq hain hum ko harf-e-mohabbat se kaam hai

mulla nikalta phire matlab kitab se

fasl-e-gul zāhidoñ ko ġham mai-kash shaad haiñ

masjideñ suunī paḌī haiñ bhTTiyāñ ābād haiñ

fasl-e-gul hi zahidon ko gham hi mai-kash shad hain

masjiden suni paDi hain bhTTiyan aabaad hain

ham bhī zarūr kahte kisī kaam ke liye

fursat na āsmāñ ko milī apne kaam se

hum bhi zarur kahte kisi kaam ke liye

fursat na aasman ko mili apne kaam se

ai sabā qil.a-e-hastī se jo dam ghabrāyā

baḌh ke do-chār qadam maut aagā bāñdhā

ai saba qila-e-hasti se jo dam ghabraya

baDh ke do-chaar qadam maut ka aaga bandha

uThā qaid-e-maz.hab dil se ham ne

qafas se tā.ir-e-idrāk niklā

uTha di qaid-e-mazhab dil se hum ne

qafas se tair-e-idrak nikla

saaf qulqul se sadā aatī hai āmīn āmīn

apne saaqī ko jo ham riñd duā dete haiñ

saf qulqul se sada aati hai aamin aamin

apne saqi ko jo hum rind dua dete hain

ḳhaak meñ mujh ko milā ke vo sanam kahtā hai

apne allāh se kar mirī fariyād karo

KHak mein mujh ko mila ke wo sanam kahta hai

apne allah se ja kar meri fariyaad karo

kudūrat nahīñ apnī tab-e-ravāñ meñ

bahut saaf bahtā hai dariyā hamārā

kudurat nahin apni tab-e-rawan mein

bahut saf bahta hai dariya hamara

yād-e-mizhgāñ meñ mirī aañkh lagī jaatī hai

log sach kahte haiñ suulī pe bhī niiñd aatī hai

yaad-e-mizhgan mein meri aankh lagi jati hai

log sach kahte hain suli pe bhi nind aati hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now