SEARCH RESULTS
Showing search results for "قاصد"
Ghazal MATCHES FOR "قاصد"
Ghazal
pahle qaasid kii nazar dekh ke dil sahm gayaa
phir tirii surKHi-e-tahriir pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
qaasid tire bayaa.n se dil aisaa Thahar gayaa
goyaa kisii ne rakh diyaa siine pe aa ke haath
Nizam Rampuri
Ghazal
tark kar chuke qaasid kuu-e-naa-muraadaa.n ko
kaun ab KHabar laave shahr-e-aashnaa.ii kii
Ahmad Faraz
Ghazal
qaasid ke aate aate KHat ik aur likh rakhuu.n
mai.n jaantaa huu.n jo vo likhe.nge javaab me.n
Mirza Ghalib
Ghazal
kahnaa Galat Galat to chhupaanaa sahii sahii
qaasid kahaa jo us ne bataanaa sahii sahii
Unknown
Ghazal
qaasid nahii.n ye kaam tiraa apnii raah le
us kaa payaam dil ke sivaa kaun laa sake
Khwaja Meer Dard
Ghazal
qaasid ko apne haath se gardan na maariye
us kii KHataa nahii.n hai ye meraa qusuur thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
ishq farmuuda-e-qaasid se subuk-gaam-e-amal
aql samjhii hii nahii.n ma.anii-e-paiGaam abhii
Allama Iqbal
Ghazal
qaasid-e-aashiq-e-saudaa-zada kyaa laa.e javaab
jab na maa'luum ho ghar aur na pataa yaad rahe
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
qaasid kii guftuguu se tasallii ho kis tarah
chhuptii nahii.n vo baat jo terii zabaa.n kii hai
Dagh Dehlvi
Ghazal
ko.ii qaasid ho ki naaseh ko.ii aashiq ki aduu
sab kii us shoKH se vaabastagiyaa.n ek sii hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
qismat ke pho.Dne ko ko.ii aur dar na thaa
qaasid makaan-e-Gair ke kyuu.n muttasil gayaa
Muztar Khairabadi
Ghazal
yuu.n bahaar aa.ii hai is baar ki jaise qaasid
kuucha-e-yaar se be-nail-e-maraam aataa hai