SEARCH RESULTS
Showing search results for "ملتفت"
Ghazal MATCHES FOR "ملتفت"
Ghazal
aur apne haq me.n ta.an-e-taGaaful Gazab hu.aa
Gairo.n se multafit but-e-KHud-kaam ho gayaa
Ismail Merathi
Ghazal
vo multafit ho.n to kunj-e-qafas bhii aazaadii
na ho.n to sehn-e-chaman bhii maqaam-e-majbuurii
Allama Iqbal
Ghazal
jaane vo multafit huu.n kidhar bazm me.n
aa.nsu.o.n kii taraf yaa ha.nsii kii taraf
Ehsan Danish
Ghazal
rahaa vo multafit merii taraf aur in dino.n me.n
KHud apnii samt dekhe jaa rahaa be-KHudii se
Irfan Sattar
Ghazal
but jis pe multafit ho ba-hadd-e-supurdagii
zindiiq hai agar vo KHudaa se du.aa kare
Josh Malihabadi
Ghazal
saaqii na multafit ho to piinaa haraam hai
pyaase bhii mai-kade se nikalte rahe hai.n ham
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
mai.n multajii huu.n na vo multafit magar phir bhii
ye ek aag dilo.n me.n lagii hu.ii kyaa hai
Pirzada Qasim
Ghazal
un ke tevar mehrbaa.n un kii nigaahe.n multafit
de rahii hai zor puurii paarTii mere liye
Shauq Bahraichi
Ghazal
vo multafit hai.n magar ab hame.n dimaaG nahii.n
kahe hu.e ko phir ab ibtidaa se kaun kahe
Khursheed Rizvi
Ghazal
o nigaah-e-multafit be-faa.eda hai iltifaat
dard hii dil me.n nahii.n hai ab davaa se kyaa Garaz
Bismil Saeedi
Ghazal
ham ne vahii.n pe chaa.nd ko dekhaa hai multafit
vo ghar hai taabnaak vahii.n se uThe.nge ham
Arshad Abdul Hamid
Ghazal
shaayad ki multafit ho ko.ii shahsavaar-e-naaz
kis aarzuu se ham sar-e-manzil kha.De rahe
Wasif Dehlvi
Ghazal
ye multafit nigaahe.n sheva viGaa hai jin kaa
hai.n mojib-e-sukuu.n bhii ha.ngaama-aafrii.n bhii
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
daryuuza-gar samajh ke to thii multafit hayaat
vo yuu.n kaho ki daaman-e-dil hii na vaa hu.aa
Arsh Siddiqui
Ghazal
ab mai.n jo multajii huu.n to vo multafit nahii.n
kahte hai.n baar baar ki fursat nahii.n mujhe
Sarfaraz Khan Azmi
Ghazal
dikhaa ga.ii mujhe naira.ngiyaa.n zamaane kii
vo ik nigaah kabhii multafit kabhii barham