SEARCH RESULTS
Showing search results for "Bahr"
Ghazal MATCHES FOR "bahr"
Ghazal
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
sunaa hai us ke labo.n se gulaab jalte hai.n
so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
rahegaa raavii o niil o furaat me.n kab tak
tiraa safiina ki hai bahr-e-be-karaa.n ke liye
Allama Iqbal
Ghazal
aa.nkho.n me.n rahaa dil me.n utar kar nahii.n dekhaa
kashtii ke musaafir ne samundar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Ghazal
aab-e-muhiit-e-ishq kaa bahr 'ajiib bahr hai
taire to Garq ho ga.e Duube to paar kar ga.e
Adeem Hashmi
Ghazal
mohabbat me.n jo Duubaa ho use saahil se kyaa lenaa
kise is bahr me.n jaa kar kinaara yaad rahtaa hai
Adeem Hashmi
Ghazal
viiraa.n hai mai-kada KHum-o-saaGar udaas hai.n
tum kyaa ga.e ki ruuTh ga.e din bahaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
falsafii ko bahs ke andar KHudaa miltaa nahii.n
Dor ko suljhaa rahaa hai aur siraa miltaa nahii.n
Akbar Allahabadi
Ghazal
Muztar Khairabadi
Ghazal
KHudii vo bahr hai jis kaa ko.ii kinaara nahii.n
tuu aabjuu ise samjhaa agar to chaara nahii.n
Allama Iqbal
Ghazal
ghar hamaaraa jo na rote bhii to viiraa.n hotaa
bahr gar bahr na hotaa to bayaabaa.n hotaa
Mirza Ghalib
Ghazal
mai.n bahr-e-fikr me.n huu.n Garq is liye 'naayaab'
guhar mujhe bhii ko.ii zer-e-aab mil jaa.e