aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ",I4u"
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
hai shaayad dil miraa be-zaKHm aur lab par nahii.n chhaalemire siine me.n kab sozinda-tar daaGo.n ke hai.n thaalemagar dozaKH pighal jaa.e jo mere saa.ns apnaa letum apnii maam ke behad muraadii minnato.n vaalemire kuchh bhii nahii.n kuchh bhii nahii.n kuchh bhii nahii.n baalemagar pahle kabhii tum se miraa kuchh silsila to thaagumaa.n me.n mere shaayad ik ko.ii Guncha khilaa to thaavo merii jaavedaana be-du.ii kaa ik sila to thaaso us ko ek abbuu naam kaa gho.Daa milaa to thaa
so ye javaab hai meraa mire aduu ke liyeki mujh ko hirs-e-karam hai na KHauf-e-KHamyaazause hai satvat-e-shamshiir par ghamanD bahutuse shikoh-e-qalam kaa nahii.n hai andaaza
sitam to ye hai ki dono.n ke marG-zaaro.n sehavaa-e-fitna o buu-e-fasaad aatii haialam to ye hai ki dono.n ko vahm hai ki bahaaraduu ke KHuu.n me.n nahaane ke baa'd aatii hai
kyuu.n lambe baal hai.n bhaaluu kekyuu.n us kii Tu.nD karaa.ii nahii.nkyaa vo bhii ganda bachcha haiyaa us ke abbuu bhaa.ii nahii.nye us kaa hair style haiyaa jangal me.n ko.ii naa.ii nahii.n
kyuu.n ta'ajjub hai mirii sahraa-navardii par tujheye tagaa-puu-e-damaadam zindagii kii hai daliilai rahiin-e-KHaana tuu ne vo samaa.n dekhaa nahii.nguu.njtii hai jab fazaa-e-dasht me.n baa.ng-e-rahiilret ke Tiile pe vo aahuu kaa be-parvaa KHiraamvo hazar be-barg-o-saamaa.n vo safar be-sa.ng-o-miilvo numuud-e-aKHtar-e-siimaab-paa ha.ngaam-e-sub.hyaa numaayaa.n baam-e-garduu.n se jabiin-e-jibra.iilvo sukuut-e-shaam-e-sahraa me.n Guruub-e-aaftaabjas se raushan-tar hu.ii chashm-e-jahaa.n-biin-e-KHaliilaur vo paanii ke chashme par maqaam-e-kaarvaa.nahl-e-iimaa.n jas tarah jannat me.n gird-e-salsabiiltaaza viiraane kii saudaa-e-mohabbat ko talaashaur aabaadii me.n tuu zanjiirii-e-kisht-o-naKHiilpuKHta-tar hai gardish-e-paiham se jaam-e-zindagiihai yahii ai be-KHabar raaz-e-davaam-e-zindagii
ye bachcha kis kaa bachcha haiye bachcha kaisaa bachcha haijo ret pe tanhaa baiThaa hainaa is ke peT me.n roTii hainaa is ke tan par kap.Daa hainaa is ke sar par Topii hainaa is ke pair me.n juutaa hainaa is ke paas khilauno.n me.nko.ii bhaaluu hai, ko.ii gho.Daa hainaa is kaa jii bahlaane koko.ii lorii hai, ko.ii jhuulaa hainaa is kii jeb me.n dhelaa hainaa is ke haath me.n paisaa hainaa is ke ammii abbuu hai.nnaa is kii aapaa KHaalaa hai
haa.n kis ke liye sab us ke liyevo jis ke lab par Tesuu hai.nvo jis ke nainaa.n aahuu hai.njo KHaar bhii hai aur KHushbuu bhiijo dard bhii hai aur daaruu bhiivo allha.D sii vo chanchal siivo shaa.er sii vo paagal siilog aap-hii-aap samajh jaa.e.nham naam na us kaa batlaa.e.nai dekhne vaalo tum ne bhiius naar kii piit kii aa.ncho.n me.nis dil kaa tiinaa dekhaa hai?kal ham ne sapnaa dekhaa hai
sar pe apne juu.Daa baa.ndhemaa.njhii kii ummiid lagaa.ebhiigii ujlii sub.h me.n tumkohre kii chaadar me.n lipTiinadii kinaare soch me.n gumtaaj-mahal sii lagtii ho
aahuu maa.nge ban kaa ramnaabha.nvraa chaahe phuul kii Daaliisuukhe khet kii ko.npal maa.ngeik ghanghor badriyaa kaaliidhuup jale kahii.n saaya chaahe.nandhii raate.n diip divaaliiham kyaa maa.nge.n ham kyaa chaahe.nho.nT sile aur jholii KHaaliidil bha.nvraa na phuul na ko.npalbagiyaa naa bagiyaa kaa maaliidil aahuu na dhuup na saayaadil kii apnii baat niraaliidil to kisii darshan kaa bhuukaadil to kisii darshan kaa savaaliinaam liye bin pa.Daa pukaarekise pukaare dasht kinaare
ai dekhne vaalois husn ko dekhois raaz ko samjhoye naqsh-e-KHayaaliiye fikrat-e-aaliiye paikar-e-tanviirye krishn kii tasviirma.anii hai ki suuratsan.at hai ki fitratzaahir hai ki mastuurnazdiik hai yaa duurye naar hai yaa nuurduniyaa se niraalaaye baa.nsurii vaalaagokul kaa gvaalaahai sehr ki e.ajaazkhultaa hii nahii.n raazkyaa shaan hai vallaahkyaa aan hai vallaahhairaan huu.n kyaa haiik shaan-e-KHudaa haibut-KHaane ke andarKHud husn kaa but-garbut ban gayaa aa karvo turfa nazzaareyaad aa ga.e saarejamunaa ke kinaaresabze kaa lahaknaaphuulo.n kaa mahaknaaghanghor ghaTaa.e.nsarmast havaa.e.nma.asuum uma.nge.nulfat kii tara.nge.nvo gopiyo.n ke saathhaatho.n me.n diye haathraqsaa.n hu.aa brijnaathbansii me.n jo lai hainashsha hai na mai haikuchh aur hii shai haiik ruuh hai raqsaa.nik kaif hai larzaa.nek aql hai mai-noshik hosh hai mad.hoshik KHanda hai sayyaalik girya hai KHush-haalik ishq hai maGruurik husn hai majbuurik sehr hai mas.huurdarbaar me.n tanhaalaachaar hai kirishnaaaa shyaam idhar aasab ahl-e-KHusuumathai.n dar pa.e izzatye raaj dulaarebuzdil hu.e saareparda na ho taaraajbekas kii rahe laajaa jaa mere kaalebhaarat ke ujaaledaaman me.n chhupaa levo ho ga.ii an-banvo garm hu.aa ranGaalib hai duryodhanvo aa ga.e jagdiishvo miT ga.ii tashviisharjun ko bulaayaaupdesh sunaayaaGam-zaad kaa Gam kyaaustaad kaa Gam kyaalo ho ga.ii tadbiirlo ban ga.ii taqdiirlo chal ga.ii shamshiirsiirat hai aduu-sozsuurat nazar-afrozdil kaifiyat-andozGusse me.n jo aa jaa.ebijlii hii giraa jaa.eaur lutf par aa.eto ghar bhii luTaa jaa.epariyo.n me.n hai gulfaamraadhaa ke liye shyaambalraam kaa bhayyaamathuraa kaa basayyaabindraa me.n kanhayyaaban ho ga.e viiraa.nbarbaad gulistaa.nsakhiyaa.n hai.n pareshaa.njamunaa kaa kinaaraasunsaan hai saaraatuufaan hai.n KHaamoshmaujo.n me.n nahii.n joshlau tujh se lagii haihasrat hii yahii haiai hind ke raajaaik baar phir aa jaadukh dard miTaa jaaabr aur havaa sebulbul kii sadaa sephuulo.n kii ziyaa sejaaduu-asarii gumshoriida-sarii gumhaa.n terii judaa.iimathuraa ko na bhaa.iituu aa.e to shaan aa.etuu aa.e to jaan aa.eaanaa na akeleho.n saath vo melesakhiyo.n ke jhamele
ahl-e-daulat kaa sun chuke tum haalab suno ruu.edaad-e-ahl-e-kamaalfaazilo.n ko hai faazilo.n se inaadpandito.n me.n pa.De hu.e hai.n fasaadhai tabiibo.n me.n nok-jhok sadaaek se ek kaa hai thuuk judaarahne do ahl-e-ilm hai.n is tarahpahalvaano.n me.n laag ho jis tarahiiduu vaalo.n kaa hai agar paTThaasheKHuu vaalo.n me.n jaa nahii.n saktaashaa.iro.n me.n bhii hai yahii takraarKHushnaveso.n ko hai yahii aazaarlaakh neko.n kaa kyuu.n na ho ik nekdekh saktaa nahii.n hai ek ko ekis pe turra ye hai ki ahl-e-hunarduur samjhe hu.e hai.n apnaa gharmilii ik gaa.nTh jis ko haldii kiius ne samjhaa ki mai.n huu.n pansaariinusKHa ik tib kaa jis ko aataa haisage-bhaa.ii se vo chhupaataa haijis ko aataa hai phuu.nknaa kushtahai hamaarii taraf se vo guu.ngaajis ko hai kuchh ramal me.n maaluumaatvo nahii.n kartaa siidhe mu.nh se baatbaap bhaa.ii ho yaa ki ho beTaabhed paataa nahii.n munajjam kaakaam ka.ndle kaa jis ko hai ma.aluumhai zamaane me.n us kii buKHl kii dhuumal-Garaz jis ke paas hai kuchh chiizjaan se bhii sivaa hai us ko aziizqaum par un kaa kuchh nahii.n ehsaa.nun kaa honaa na honaa hai yaksaa.nsab kamaalaat aur hunar un keqabr me.n un ke saath jaa.e.ngeqaum kyaa kah ke un ko ro.egiinaam par kyuu.n ki jaan kho.egiitarbiyat-yaafta hai.n jo yaa.n keKHvaah b-a ho.n is me.n yaa m.abharte hubb-e-vatan kaa go dam hai.npar muhibb-e-vatan bahut kam hai.nqaum ko un se jo umiide.n thii.nab jo dekhaa to sab Galat niklii.nhistory un kii aur geographysaat parde me.n mu.nh diye hai pa.Diiband us qufl me.n hai ilm un kaajis kii kunjii kaa kuchh nahii.n hai pataalete hai.n apne dil hii dil me.n mazegoyaa guu.nge kaa gu.D hai.n khaa.e hu.ekarte phirte hai.n sair-e-gul tanhaako.ii paas un ke jaa nahii.n saktaaahl-e-insaaf sharm kii jaa haigar nahii.n buKHl ye to phir kyaa haitum ne dekhaa hai jo vo sab ko dikhaa.otum ne chakhaa hai jo vo sab ko chakhaa.oye jo daulat tumhaare paas hai aajham-vatan is ke hai.n bahut mohtaajmu.nh ko ek ik tumhaare hai taktaaki nikaltaa hai mu.nh se aap ke kyaaaap shaa.ista hai.n to apne liyekuchh suluuk apnii qaum se bhii kiyemez kursii agar lagaate hai.n aapqaum se puuchhiye to pun hai na paapmu.nDaa juutaa gar aap ko hai pasandqaum ko is se faa.eda na gazandqaum par karte ho agar ehsaa.nto dikhaa.o kuchh apnaa josh-e-nihaa.nkuchh dino.n aish me.n KHalal DaalopeT me.n jo hai sab ugal Daaloilm ko kar do kuu-ba-kuu arzaa.nhind ko kar dikhaa.o englistaa.n
sulaimaa.n sar-ba-zaanuu aur sabaa viiraa.nsabaa viiraa.n, sabaa aaseb kaa maskansabaa aalaam kaa ambaar-e-be-paayaa.n!gayaah o sabza o gul se jahaa.n KHaaliihavaa.e.n tishna-e-baaraa.n,tuyuur is dasht ke minqaar-e-zer-e-partuu surma var guluu insaa.nsulaimaa.n sar-ba-zaanuu aur sabaa viiraa.n!sulaimaa.n sar-ba-zaanuu tursh-ruu Gam-gii.n, pareshaa.n-muujahaa.n-girii, jahaa.n-baanii faqat tarraara-e-aahuumohabbat shola-e-paraa.n havas buu-e-gul be-buuza-raaz-e-dahr kam-tar-go!sabaa viiraa.n ke ab tak is zamii.n par hai.nkisii ayyaar ke Gaarat-garo.n ke naqsh-e-paa baaqiisabaa baaqii, na mahru-e-sabaa baaqii!sulaimaa.n sar-ba-zaanuuab kahaa.n se qaasid-e-farKHanda-pai aa.e?kahaa.n se, kis subuu se kaasa-e-piirii me.n mai aa.e?
chhoTii sii billuuchhoTaa saa bastaThuu.nsaa hai jis me.nkaaGaz kaa dastalak.Dii kaa gho.Daaru.ii kaa bhaaluuchuuran kii shiishiiaaluu kachaaluubilluu kaa bastajin kii piTaariijab is ko dekhopahle se bhaariilaTTuu bhii is me.nrassii bhii is me.nDa.nDaa bhii is me.ngillii bhii is me.nai pyaarii billuuye to bataa.okyaa kaam karneschool jaa.ourdu na jaanoenglish na jaanokahtii ho KHud kobilqiis baanoumr kii itniikachchii nahii.n hochhe saal kii hobachchii nahii.n hobaahar nikaalolak.Dii kaa gho.Daaye laTTuu rassiiye gillii Da.nDaagu.Diyaa ke juutejampar juraabe.nbaste me.n rakkhoapnii kitaabe.nmu.nh na banaa.oschool jaa.oai pyaarii billuuai pyaarii billuu
kaale kos Gam-e-ulfat ke aur mai.n naan-e-shabiina-juukabhii chaman-zaaro.n me.n uljhaa aur kabhii gandum kii buunaafa-e-mushk-e-tataarii ban kar liye phirii mujh ko har-suuyahii hayaat-e-saa.iqa-fitrat banii ta.attul kabhii numuukabhii kiyaa ram ishq se aise jaise ko.ii vahshii aahuuaur kabhii mar-mar ke sahar kii is aabaad KHaraabe me.ndekho ham kaise basar kii is aabaad KHaraabe me.n
lambe vaqt se soch rahaa huu.njaane kyuu.n aisaa huu.n mai.nmilne se ghabraataa huu.n mai.n jhuuT nahii.n kah paataa huu.nus ke shikve us kii shikaayat jhag.De se Dar jaataa huu.nidhar-udhar kii baate.n mujh ko zaraa na KHush kar paatii hai.njaane kyuu.n aisaa huu.n mai.ndost nahii.n ban paate mererishte nahii.n sambhalte hai.nbejaa mohabbat bejaa takallufdono.n ochhe lagte hai.nauro.n kii kamiyo.n ko bilkulachchhaa nahii.n kah paataa huu.njaane kyuu.n aisaa huu.n mai.nachchhe bhale kaamo.n me.n aksarder bahut kar detaa huu.nammii se baate.n karnii huu.n beTii ke school ho jaanaako.ii nayaa novel pa.Dhnaa ho ko.ii kahaanii likhnii hosab ko Taaltaa rahtaa huu.njaane kyuu.n aisaa huu.n mai.nbhii.D bhare shahro.n se mujh kovahshat sii ho jaatii haigaa.nv jangal sunsaan jag.he.naksar KHush aa jaatii hai.nko.ii alha.D chehra dekhuu.n man ko vo bhaa jaataa haijaane kyuu.n aisaa huu.n mai.npe.Do.n ke pairaahan dekhuu.n phuulo.n kii KHushbuu ko suu.nghuu.nra.ng-bira.ngii titliyaa.n pak.Duu.n halkii halkii buu.nde.n bhiiThanDii naram havaa.e.n jab jab chupke se chhuu jaatii hai.nyaa koyal kii bolii sun luu.n man byaakul ho jaataa haijaane kyuu.n aisaa huu.n mai.nnaT banjaaran sanyaasii aur khel-tamaashe vaale logkha.nDar viiraana jaltii dhuup phuulii sarso.n dhaan ke khetlaal pata.ng aur piilii mainaa indr-dhanush aur nadii kii dhaaraate hai.n jab KHvaab me.n mere diivaana ho jaataa huu.njaane kyuu.n aisaa huu.n mai.nbahut mujhe achchhaa kahte hai.n buraa bhii ko.ii kahtaa haisaamne merii mad.h-saraa.ii piichhe gaalii detaa haihamdardii hai ko.ii dikhaataa ko.ii saazish kartaa haiphir bhii chup chup saa rahtaa huu.n jaise bahut anjaan huu.n mai.njaane kyuu.n aisaa huu.n mai.ntho.Dii sii aazaadii mujh ko tho.Daa bahut vaqt kaa ziyaa.nkabhii kabhaar kii achchhii baate.n kisii kisii kaa sachchaa pyaarchhoTii-moTii ko.ii sharaarat khilkhilaa kar ha.nsnaa bhiiye sab KHush kar jaate hai.n jab tolagtaa hai ki zinda huu.njaane kyuu.n aisaa huu.n mai.n
KHaakistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jaa.n honaahairat kaa jahaa.n honaa hasrat kaa nishaa.n honaaai shaKHs jo tuu aakar yuu.n dil me.n samaayaa haituu dard ki darmaa.n hai to dhuup ki saayaa hai?nainaa.n tire jaaduu hai.n gesuu tire KHushbuu hai.nbaate.n kisii jangal me.n bhaTkaa hu.aa aahuu hai.nmaqsuud-e-vafaa sun le kyaa saaf hai saada haijiine kii tamannaa hai marne kaa iraada hai
ai jahaa.n dekh le kab se be-ghar hai.n hamab nikal aa.e hai.n le ke apnaa alamye mahallaat ye uu.nche uu.nche makaa.nin kii buniyaad me.n hai hamaaraa lahuukal jo mehmaan the ghar ke maalik baneshaah bhii hai aduu shaiKH bhii hai aduukab talak ham sahe.n Gaasibo.n ke sitamai jahaa.n dekh le kab se be-ghar hai.n hamab nikal aa.e hai.n le ke apnaa alam
ai aligarh ai javaa.n-qismat dabistaan-e-kuhanaql ke faanuus se raushan hai terii anjumanhashr ke din tak phalaa-phuulaa rahe teraa chamantere paimaano.n me.n larzaa.n hai sharaab-e-ilm-o-fanruuh-e-'sir-sayyad' se raushan teraa mai-KHaana raherahtii duniyaa tak tiraa gardish me.n paimaana raheek din ham bhii tirii aa.nkho.n ke biimaaro.n me.n theterii zulf-e-KHam najam ke nau-giraftaaro.n me.n theterii jins-e-ilm-parvar ke KHariidaaro.n me.n thejaan-o-dil se tere jalvo.n ke parastaaro.n me.n themauj-e-kausar thaa tiraa sail-e-adaa apne liyeaab-e-haivaa.n thii terii aab-o-havaa apne liyeilm kaa pahlaa sabaq tuu ne pa.Dhaayaa thaa hame.nkis tarah jiite hai.n tuu ne hii bataayaa thaa hame.nKHvaab se tiflii ke tuu ne hii jagaayaa thaa hame.nnaaz se parvaan tuu ne hii cha.Dhaayaa thaa hame.nmausam-e-gul keii KHabar terii zabaanii aa.ii thiitere baaGo.n me.n havaa khaa kar javaanii aa.ii thiilekin ai ilm-o-jasaarat ke daraKHshaa.n aaftaabkuchh ba-alfaaz-e-digar bhii tujh se karnaa hai KHitaabgo ye dha.Dkaa hai ki huu.ngaa murid-e-qahr-o-itaabkah bhii duu.n jo kuchh hai dil me.n taa-kujaa ye pech-o-taabban pa.De jo sa.ii apne se vo karnaa chaahiyemard ko kahne ke mauqa pe na Darnaa chaahiyeai aligarh ai halaak-e-taabish-e-vaz.a-e-fara.ng'thames' hai aaGosh me.n tere bajaa.e mauj-e-ga.ngvaadii-e-maGrib me.n gum hai tere dil keii har uma.ngvalvalo.n me.n tere shaayad arsa-e-mashriq hai ta.ngkab hai maGrib ka.aba-e-haajat-ravaa tere liyeaa ki hai bechain ruuh-e-asia tere liyekushta-e-maGrib nigaar-e-sharq ke abruu bhii dekhsaaz-e-be-ra.ngii ke juuyaa soz-e-rang-o-buu bhii dekhnargis-e-arzaq ke shaidaa diida-e-aahuu bhii dekhai sunahrii zulf ke qaidii siyah gesuu bhii dekhkar chukaa sair asl markaz par to aanaa chaahiyeapne ghar keii samt bhii aa.nkhe.n uThaanaa chaahiyepuKHta-kaarii siikh ye aa.iin-e-KHaamii taa-kujaajaada-e-afrang par yuu.n tez-gaamii taa-kujaasoch tuu jii me.n ye jhuuTii nek-naamii taa-kujaamaGribii tahziib kaa tauq-e-Gulaamii taa-kujaamard agar hai Gair keii taqliid karnaa chho.D dechho.D de lillaah bil-aqsaat marnaa chho.D de
aataa hai yaad mujh ko bachpan kaa vo zamaanarahtaa thaa saath mere KHushiyo.n kaa jab KHazaanahar roz ghar me.n milte umda laziiz khaanebe-mehnat-o-mashaqqat haasil thaa aab-o-daanabachcho.n ke saath rahnaa KHushiyo.n ke giit gaanaadil me.n na thii kuduurat thaa sab se dostaanameh.ndii ke patte laanaa aur piis kar lagaanaaphir surKH haath apne har ek ko dikhaanaaaavaaz DugDugii kii juu.n hii sunaa.ii detiius kii taraf lapaknaa bachcho.n kaa vaalihaanahar saal pyaare abbuu laate the ek bakraachaara use khilaanaa maidaan me.n ghumaanaavo duur jaa chukaa hai aataa nahii.n palaT karbachpan kaa vo zamaana lagtaa hai ik fasaanadaadii ko mai.n ne ik din ye mashvara diyaa thaachehre kii jhurriyo.n ko aasaan hai miTaanaachehre pe aap ke hai.n jo be-shumaar shikne.naayaa mirii samajh me.n un se najaat paanaakap.De kii saarii shikne.n miTtii hai.n istirii seaasaan saa amal hai ye istirii chalaanaaik garm istirii ko chehre pe aap phere.numda hai meraa nusKHa hai shart aazmaanaaik roz vaalida se jaa kar kahaa kitchen me.nab chho.Diyegaa ammii ye roTiyaa.n pakaanaaik pe.D roTiyo.n kaa daalaan me.n lagaa.e.nus pe.D ko kahe.nge roTii kaa kaarKHaanashaaKHo.n se taaza taaza phir roTiyaa.n mile.ngiito.De.nge roTiyaa.n ham khaa.e.nge ghar me.n khaanaakaisii ajiib baate.n aatii thii.n mere lab paraaj un ko kah rahaa huu.n baate.n hai.n ahmaqaanavo pyaarii pyaarii baate.n ab yaad aa rahii hai.nbachpan kaa vo zamaana kyaa KHvaab thaa suhaanaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books