Sher on Charagar
One who redeems, or
brings a relief, is the one we love. We also cherish their companionship. This redeemer is a stock character of classical Urdu poetry and has often stayed with the lover to provide sustenance and make the affairs of love and life pleasurable.
mujhe chhoḌ de mere haal par tirā kyā bharosa hai chāragar
ye tirī navāzish-e-muḳhtasar merā dard aur baḌhā na de
Leave me to my present state, I do not trust your medicine
Your mercy minor though may be,might increase my pain today
mujhe chhoD de mere haal par tera kya bharosa hai chaaragar
ye teri nawazish-e-muKHtasar mera dard aur baDha na de
Leave me to my present state, I do not trust your medicine
Your mercy minor though may be,might increase my pain today
goyā tumhārī yaad hī merā ilaaj hai
hotā hai pahroñ zikr tumhārā tabīb se
goya tumhaari yaad hi mera ilaj hai
hota hai pahron zikr tumhaara tabib se
-
Tag : Yaad
kis se ummīd kareñ koī ilāj-e-dil kī
chārāgar bhī to bahut dard kā maarā niklā
kis se ummid karen koi ilaj-e-dil ki
chaaragar bhi to bahut dard ka mara nikla
-
Tags : Diland 1 more
kis se jā kar māñgiye dard-e-mohabbat kī davā
chāra-gar ab ḳhud hī bechāre nazar aane lage
kis se ja kar mangiye dard-e-mohabbat ki dawa
chaara-gar ab KHud hi bechaare nazar aane lage
koī davā na de sake mashvara-e-duā diyā
chāragaroñ ne aur bhī dard dil kā baḌhā diyā
koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya
chaaragaron ne aur bhi dard dil ka baDha diya
-
Tags : Dardand 1 more
ik ye bhī to andāz-e-ilāj-e-ġham-e-jāñ hai
ai chāragaro dard baḌhā kyuuñ nahīñ dete
ek ye bhi to andaz-e-ilaj-e-gham-e-jaan hai
ai chaaragaro dard baDha kyun nahin dete
-
Tag : Dard
chāragarī kī baat kisī aur se karo
ab ho ga.e haiñ yaaro purāne marīz ham
talk not of cure to me my friends,nor of therapy
I am a chronic patient now, well past remedy
chaaragari ki baat kisi aur se karo
ab ho gae hain yaro purane mariz hum
talk not of cure to me my friends,nor of therapy
I am a chronic patient now, well past remedy
is maraz se koī bachā bhī hai
chārāgar ishq kī davā bhī hai
is maraz se koi bacha bhi hai
chaaragar ishq ki dawa bhi hai
ab mirā dard mirī jaan huā jaatā hai
ai mire chāragaro ab mujhe achchhā na karo
ab mera dard meri jaan hua jata hai
ai mere chaaragaro ab mujhe achchha na karo
-
Tag : Dard
ai mire chārāgar tire bas meñ nahīñ mo.āmla
sūrat-e-hāl ke liye vāqif-e-hāl chāhiye
ai mere chaaragar tere bas mein nahin moamla
surat-e-haal ke liye waqif-e-haal chahiye
kabhī jo zahmat-e-kār-e-rafū nahīñ kartā
hamāre zaḳhm usī chārāgar ke naam tamām
kabhi jo zahmat-e-kar-e-rafu nahin karta
hamare zaKHm usi chaaragar ke nam tamam
na.ī nahīñ hai ye tanhā.ī mere hujre kī
maraz ho koī bhī hai chārāgar se Dar jaanā
nai nahin hai ye tanhai mere hujre ki
maraz ho koi bhi hai chaaragar se Dar jaana
-
Tags : Gharand 1 more
ḳhabar hai koī chārāgar aa.egā
salīqe se baiThe haiñ bīmār sab
KHabar hai koi chaaragar aaega
saliqe se baiThe hain bimar sab
tabīboñ kī tavajjoh se maraz hone lagā duunā
davā is dard kī batlā dil-e-āgāh kyā kiije
tabibon ki tawajjoh se maraz hone laga duna
dawa is dard ki batla dil-e-agah kya kije