Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Meer Taqi Meer

Mir Taqi Mir has been

used by a number of poets as a subject in their poetry. All poets who wrote after Mir acknowledged him as a master. While reading these verses you may see how Mir has been a healthy obsession with the poets through ages.

haiñ chāroñ taraf ḳheme khaḌe gard-bād ke

kyā jāniye junūñ ne irāda kidhar kiyā

TRANSLATION

The whirlwinds have struck camp; they stand around read to go.

Which way is madness traveling now, one wonders.

Shamsur Rahman Faruqi

hain chaaron taraf KHeme khaDe gard-baad ke

kya jaaniye junun ne irada kidhar kiya

TRANSLATION

The whirlwinds have struck camp; they stand around read to go.

Which way is madness traveling now, one wonders.

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

'mīr' kyā ġhazal paḌhī ham ne

āshiqī meñ bhī jal rahe haiñ ham

'mir' ki kya ghazal paDhi hum ne

aashiqi mein bhi jal rahe hain hum

Shahrukh Abeer

pujārī haiñ azal se 'mīr'-jī ke

vahī ham haiñ vahī qashqa hamārā

pujari hain azal se 'mir'-ji ke

wahi hum hain wahi qashqa hamara

Vikas Sharma Raaz

'dāġh' ke sher javānī meñ bhale lagte haiñ

'mīr' koī ġhazal gaao ki kuchh chain paḌe

'dagh' ke sher jawani mein bhale lagte hain

'mir' ki koi ghazal gao ki kuchh chain paDe

Ganesh Bihari Tarz

ahvāl-e-'mīr' kyūñkar āḳhir ho ek shab meñ

ik umr ham ye qissa tum se kahā kareñge

TRANSLATION

How would it be possible to give a full account of Mir in a single night?

A whole lifetime gone and I'd still be narrating his story to you.

Shamsur Rahman Faruqi

ahwal-e-'mir' kyunkar aaKHir ho ek shab mein

ek umr hum ye qissa tum se kaha karenge

TRANSLATION

How would it be possible to give a full account of Mir in a single night?

A whole lifetime gone and I'd still be narrating his story to you.

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

ho 'mīr' zamāna ki maujūda vaqt ho

dillī se lakhna.ū hamesha Thanī rahī

ho 'mir' ka zamana ki maujuda waqt ho

dilli se lakhnau ki hamesha Thani rahi

Usman Minai

mere allāh mujhe aise ḳhayāloñ se navāz

vo jinheñ mīr-taqī-'mīr' nahīñ soch sakā

mere allah mujhe aise KHayalon se nawaz

wo jinhen mir-taqi-'mir' nahin soch saka

Lucky farooqi Hasrat

aag ik dil meñ sulge hai kabhū bhaḌkī to 'mīr'

degī merī haDDiyoñ Dher juuñ īñdhan jalā

TRANSLATION

Some kind of fire smolders in my breast, Mir, and if it ever blazed up

it would incinerate my heap of bones like so much kindling

Shamsur Rahman Faruqi

aag si ek dil mein sulge hai kabhu bhaDki to 'mir'

degi meri haDDiyon ka Dher jun indhan jala

TRANSLATION

Some kind of fire smolders in my breast, Mir, and if it ever blazed up

it would incinerate my heap of bones like so much kindling

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

nigāh-e-mast ne us luTā.ī ḳhānqa saarī

paḌā hai barham ab tak kārḳhāna zohd-o-tā.at

TRANSLATION

To cast a despairing eye on the hunter is more than abundant fortune.

Oh mortally wounded prey, the window of the leisure to look is very narrow.

Shamsur Rahman Faruqi

nigah-e-mast ne us ki luTai KHanqa sari

paDa hai barham ab tak karKHana zohd-o-taat ka

TRANSLATION

To cast a despairing eye on the hunter is more than abundant fortune.

Oh mortally wounded prey, the window of the leisure to look is very narrow.

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

tarāshiye to hameñ 'mīr' kījiye varna

hamāre naam ke pīchhe ye 'dīp' kaafī hai

tarashiye to hamein 'mir' kijiye warna

hamare nam ke pichhe ye 'dip' kafi hai

Deepak Sharma Deep

girya-o-zārī sāmān uThā lete haiñ

hijr meñ 'mīr' dīvān uThā lete haiñ

girya-o-zari ka saman uTha lete hain

hijr mein 'mir' ka diwan uTha lete hain

Hamza Bilal

jab bhī TuuTā mire ḳhvāboñ hasīñ tāj-mahal

maiñ ne ghabrā ke kahī 'mīr' ke lahje meñ ġhazal

jab bhi TuTa mere KHwabon ka hasin taj-mahal

main ne ghabra ke kahi 'mir' ke lahje mein ghazal

Tahir Faraz

tum pe kyā ḳhaak asar hogā mire sheroñ

tum ko to mīr-taqī-'mīr' nahīñ khīñch sakā

tum pe kya KHak asar hoga mere sheron ka

tum ko to mir-taqi-'mir' nahin khinch saka

Umair Najmi

'mīr' ishq maanā ki ne.amat nahīñ par maiñ is ko balā bhī nahīñ māntā

māntā huuñ ḳhudā-e-suḳhan bhī tumheñ aur hukm-e-ḳhudā bhī nahīñ māntā

'mir' ji ishq mana ki neamat nahin par main is ko bala bhi nahin manta

manta hun KHuda-e-suKHan bhi tumhein aur hukm-e-KHuda bhi nahin manta

Charagh Sharma

'mīr' 'ġhālib' yahīñ to rahte the

ham bhī dillī se dil lagā leñ kyā

'mir' 'ghaalib' yahin to rahte the

hum bhi dilli se dil laga len kya

Aslam Rashid

'iqbāl' navā se musharraf hai go 'na.īm'

urdu ke sar pe 'mīr' ġhazloñ taaj hai

'iqbaal' ki nawa se musharraf hai go 'naim'

urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon ka taj hai

Hasan Naim

nāhaq ham majbūroñ par ye tohmat hai muḳhtārī

chāhte haiñ so aap kareñ haiñ ham ko abas badnām kiyā

TRANSLATION

Us weak, she wrongfully accuses, of taking untold liberty

while she acts as she chooses, and maligns us needlessly

Rekhta

nahaq hum majburon par ye tohmat hai muKHtari ki

chahte hain so aap karen hain hum ko abas badnam kiya

TRANSLATION

Us weak, she wrongfully accuses, of taking untold liberty

while she acts as she chooses, and maligns us needlessly

Rekhta

Meer Taqi Meer

martā thā maiñ to baaz rakkhā marne se mujhe

ye kah ke koī aisā kare hai are are

TRANSLATION

I was going to take my own life but she prevented me,

saying: Does anyone do such a deed? No! DON't do it! don't!

Shamsur Rahman Faruqi

marta tha main to baz rakkha marne se mujhe

ye kah ke koi aisa kare hai are are

TRANSLATION

I was going to take my own life but she prevented me,

saying: Does anyone do such a deed? No! DON't do it! don't!

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

hamārā 'mīr'-jī se muttafiq honā hai nā-mumkin

uThānā hai jo patthar ishq to halkā bhārī kyā

hamara 'mir'-ji se muttafiq hona hai na-mumkin

uThana hai jo patthar ishq ka to halka bhaari kya

Nida Fazli

jab ġhazal 'mīr' paḌhtā hai paḌosī merā

ik namī mirī dīvār meñ aa jaatī hai

jab ghazal 'mir' ki paDhta hai paDosi mera

ek nami si meri diwar mein aa jati hai

Atul Ajnabi

un ne to teġh khīñchī thī par chalā ke 'mīr'

ham ne bhī ek dam meñ tamāshā dikhā diyā

TRANSLATION

She merely drew her sword, Mir, but the daring of my love

made a spectacular show for a glorious moment.

Shamsur Rahman Faruqi

un ne to tegh khinchi thi par ji chala ke 'mir'

hum ne bhi ek dam mein tamasha dikha diya

TRANSLATION

She merely drew her sword, Mir, but the daring of my love

made a spectacular show for a glorious moment.

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

muā maiñ sajde meñ par naqsh merā baar rahā

us āstāñ pe mirī ḳhaak se ġhubār rahā

TRANSLATION

I died prostrate for her but the imprint of my being remained a burden

on her gate because the dust from my grave swirled around and became a source of vexation.

Shamsur Rahman Faruqi

mua main sajde mein par naqsh mera bar raha

us aastan pe meri KHak se ghubar raha

TRANSLATION

I died prostrate for her but the imprint of my being remained a burden

on her gate because the dust from my grave swirled around and became a source of vexation.

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

is baaġh ke har gul se chipak jaatī haiñ āñkheñ

mushkil banī hai aan ke sāhib-nazaroñ ko

TRANSLATION

The eyes are glued to whichever rose they look at in this garden

and that's a problem for those who have the eyes to see.

Shamsur Rahman Faruqi

is bagh ke har gul se chipak jati hain aankhen

mushkil bani hai aan ke sahib-nazaron ko

TRANSLATION

The eyes are glued to whichever rose they look at in this garden

and that's a problem for those who have the eyes to see.

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

surma jo nuur baḳhshe hai āñkhoñ ko ḳhalq

shāyad ki rāh-e-yār ḳhaak dhuul ho

TRANSLATION

The kohl that sharpens people's sight every where

is probably no more than the fine dust on the road that leads to the beloved.

Shamsur Rahman Faruqi

surma jo nur baKHshe hai aankhon ko KHalq ki

shayad ki rah-e-yar ki hi KHak dhul ho

TRANSLATION

The kohl that sharpens people's sight every where

is probably no more than the fine dust on the road that leads to the beloved.

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

shubh 'nāsiḳh' nahīñ kuchh 'mīr' ustādī meñ

aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ

shubh 'nasiKH' nahin kuchh 'mir' ki ustadi mein

aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin

Imam Bakhsh Nasikh

sair-e-gulzār mubārak ho sabā ko ham to

ek parvāz na thī ki giraftār hue

TRANSLATION

Morning breeze, you should be happy you can enjoy the garden's loveliness. I myself

hadn't made a single flight before I was captured.

Shamsur Rahman Faruqi

sair-e-gulzar mubarak ho saba ko hum to

ek parwaz na ki thi ki giraftar hue

TRANSLATION

Morning breeze, you should be happy you can enjoy the garden's loveliness. I myself

hadn't made a single flight before I was captured.

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

mere rone haqīqat jis meñ thī

ek muddat tak vo kāġhaz nam rahā

TRANSLATION

where the true saga of my weeping was contained

sodden, moist for ages then, that paper remained

Rekhta

EXPLANATION

मीर की शायरी कल्पना की बुलंदी की शायरी है। सादा से शब्दों में सांसारिक विषयों को बयान करना मीर की शान है।

मीर ने ज़िंदगी भर ग़म को महसूस किया, ग़म को बरता और उसको अपनी शायरी के कैनवस पर उभारा। इस रंगा-रंगी ने उनके लहजे को अकेला और उनको ख़ुदा-ए-सुख़न बना दिया।

इस शे’र में शायर इंतहाई आसान लफ़्ज़ों में अपने दुख को बयान करता है। शायर कहता है उसकी ज़िंदगी दुख और दर्द में बसर हुई है। परेशानियों और मुसीबतों में गुज़री है। इस हद तक ग़मों में गुज़री है कि अपने ऊपर बीती हुई परेशानियों को जब उसने काग़ज़ पर लिखा और बहुत मुमकिन है कि ये काग़ज़ एक ख़त के रूप में हो जो उसने अपने महबूब को भेजा हो, तो शिद्दत-ए-ग़म से उसके आँसू इस काग़ज़ या ख़त में समाहित हो गए। बाद में वो काग़ज़ आँसुओं के प्रभाव से एक लंबे समय तक रह गया यानी नम रहा।

इस ऊपरी मायने के अलावा एक और प्रभाव भी इस शे’र से उभर कर आता है और वो ये है कि शायर की दुखी ज़िंदगी की कहानी जिस ख़त में या जिस काग़ज़ पर लिखी थी वो काग़ज़ उस तहरीर के दुख से भरे होने की वजह से जैसे दर्द की तस्वीर बन कर रह गया।

गम को बरतने और उसके अन्य दृष्टिकोणों के बयान करने का जो अंदाज़ मीर के हाँ है वो शायद ही कहीं और मिलता हो। मीर बहुत सरल शब्दों में अपने आपको बयान करते हैं और उनका वर्णन सांसारिक रंग हासिल कर लेता है। एक और ज़रूरी नुक्ता जो इस शे’र के तअल्लुक़ से बयान करना ज़रूरी है वो ये कि इस शे’र में एक हाल का ज़िक्र बढ़ा चढ़ा कर किया गया है मगर ये अतिशयोक्ति बहुत हसीन है, जिसने शे’र के क्रा़फ्ट को बहुत ही रंगीन बना दिया है, बहुत हसीन बना दिया है।

Sohail Azad

mere rone ki haqiqat jis mein thi

ek muddat tak wo kaghaz nam raha

tumhārī yaad bhī chupke se aa ke baiTh ga.ī

ġhazal jo 'mīr' ik gungunā rahā thā maiñ

tumhaari yaad bhi chupke se aa ke baiTh gai

ghazal jo 'mir' ki ek gunguna raha tha main

Mohsin Aftab Kelapuri

āshiqī meñ 'mīr' jaise ḳhvāb mat dekhā karo

bāvle ho jāoge mahtāb mat dekhā karo

aashiqi mein 'mir' jaise KHwab mat dekha karo

bawle ho jaoge mahtab mat dekha karo

Ahmad Faraz

saḳht mushkil thā imtihān-e-ġhazal

'mīr' naql kar ke paas hue

saKHt mushkil tha imtihan-e-ghazal

'mir' ki naql kar ke pas hue

Fahmi Badayuni

hamāre mīr-taqī-'mīr' ne kahā thā kabhī

miyāñ ye āshiqī izzat bigāḌ detī hai

hamare mir-taqi-'mir' ne kaha tha kabhi

miyan ye aashiqi izzat bigaD deti hai

Rahat Indori

paañv ke nīche miTTī bhī na hogī ham

kyā kaheñ umr ko is tarah basar ham ne kiyā

TRANSLATION

The dirt of the road trampled underfoot day and night can't compare with my state.

What more can I say, except that that was how I lived my life?

Shamsur Rahman Faruqi

panw ke niche ki miTTi bhi na hogi hum si

kya kahen umr ko is tarah basar hum ne kiya

TRANSLATION

The dirt of the road trampled underfoot day and night can't compare with my state.

What more can I say, except that that was how I lived my life?

Shamsur Rahman Faruqi

Meer Taqi Meer

'mīr' hañs ke baat kartī hai

pankhuḌī ik gulāb mujh se

'mir' ji hans ke baat karti hai

pankhuDi ek gulab si mujh se

Shashwat Singh Darpan

'mīr'-o-'ġhālib' bhī rahe ishq meñ sarshār miyāñ

ab bhī fankāroñ ke jiine sahārā hai yahī

'mir'-o-'ghaalib' bhi rahe ishq mein sarshaar miyan

ab bhi fankaron ke jine ka sahaara hai yahi

Salman Zafar

ham us ko saarī umr uThā.e phirā kiye

jo baar 'mīr' se bhī uThāyā na sakā

hum us ko sari umr uThae phira kiye

jo bar 'mir' se bhi uThaya na ja saka

Tariq Qamar

ishq huā jab un ko paḌhte dekhā thā

'mīr' ġhazleñ dariyā-ganj ke circle par

ishq hua jab un ko paDhte dekha tha

'mir' ki ghazlen dariya-ganj ke circle par

Gautam Rajrishi

yahāñ pe āh-o-fuġhāñ dard-o-ġham naam nahīñ

mirā kalām hai ye 'mīr' kalām nahīñ

yahan pe aah-o-fughan dard-o-gham ka nam nahin

mera kalam hai ye 'mir' ka kalam nahin

Ashu mishra

kal shaam chhat pe mīr-taqī-'mīr' ġhazal

maiñ gungunā rahī thī ki tum yaad aa ga.e

kal sham chhat pe mir-taqi-'mir' ki ghazal

main gunguna rahi thi ki tum yaad aa gae

Anjum Rehbar

yuuñ bhī dillī meñ log rahte haiñ

jaise dīvān-e-mīr chaak shuda

yun bhi dilli mein log rahte hain

jaise diwan-e-mir chaak shuda

Muzaffar Hanfi

ik 'mīr' thā so aaj bhī kāġhaz meñ qaid hai

hindī ġhazal dūsrā autār maiñ huuñ

ek 'mir' tha so aaj bhi kaghaz mein qaid hai

hindi ghazal ka dusra autar main hi hun

Bashir Badr

tumheñ to aa.egī bas 'mīr' ḳhumārī pasand

kahāñ 'amulya' ġhazleñ kahāñ tumhārī pasand

tumhein to aaegi bas 'mir' ki KHumari pasand

kahan 'amulya' ki ghazlen kahan tumhaari pasand

Amulya Mishra

reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'

kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā

reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'

kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha

Mirza Ghalib

maiñ ne dekhā to nahīñ 'mīr' dīvān magar

jāntā huuñ tirī āñkhoñ tarah hotā hai

main ne dekha to nahin 'mir' ka diwan magar

jaanta hun teri aankhon ki tarah hota hai

Armaan Jodhpuri

go ki 'mīr' se huā behtar

'mus.hafī' phir bhī 'mīr' 'mīr' hai

go ki tu 'mir' se hua behtar

'mushafi' phir bhi 'mir' 'mir' hi hai

Mushafi Ghulam Hamdani

aisā vaisā koī na samjhe mujhe

'mīr' 'ġhālib' shā.erī huuñ maiñ

aisa waisa koi na samjhe mujhe

'mir' 'ghaalib' ki shaeri hun main

Jyoti Azad Khatri

kah do 'mīr'-o-'ġhālib' se ham bhī sher kahte haiñ

vo sadī tumhārī thī ye sadī hamārī hai

kah do 'mir'-o-'ghaalib' se hum bhi sher kahte hain

wo sadi tumhaari thi ye sadi hamari hai

Manzar Bhopali

'saudā' is ġhazal ko ġhazal-dar-ġhazal kah

honā hai tujh ko 'mīr' se ustād taraf

'sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah

hona hai tujh ko 'mir' se ustad ki taraf

Sauda Mohammad Rafi

aaj ġhālib hai mire sar par ishq

aaj maiñ 'mīr' huā chāhtā huuñ

aaj ghaalib hai mere sar par ishq

aaj main 'mir' hua chahta hun

Shadab Javed

sher mere bhī haiñ pur-dard va-lekin 'hasrat'

'mīr' sheva-e-guftār kahāñ se lā.ūñ

sher mere bhi hain pur-dard wa-lekin 'hasrat'

'mir' ka shewa-e-guftar kahan se laun

Hasrat Mohani

ajnabī tum kabhī na pāoge

martaba jo ġhazal meñ 'mīr' hai

ajnabi tum kabhi na paoge

martaba jo ghazal mein 'mir' ka hai

Atul Ajnabi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now