aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Parwana

Moth that sheds its

life whirling round a lamp has emerged as a strong metaphor in Urdu poetry. Classical Urdu poetry has exploited the metaphoric value of this spectacle in most creative ways. You may like to see some of the examples around this theme.

sab ik charāġh ke parvāne honā chāhte haiñ

ajiib log haiñ dīvāne honā chāhte haiñ

sab ek charagh ke parwane hona chahte hain

ajib log hain diwane hona chahte hain

Asad Badayuni

hotī kahāñ hai dil se judā dil aarzū

jaatā kahāñ hai sham.a ko parvāna chhoḌ kar

hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu

jata kahan hai shama ko parwana chhoD kar

Jaleel Manikpuri

kahīñ ho dil-e-dīvāna vahāñ pahuñchegā

sham.a hogī jahāñ parvāna vahāñ pahuñchegā

tu kahin ho dil-e-diwana wahan pahunchega

shama hogi jahan parwana wahan pahunchega

Bahadur Shah Zafar

parvānoñ to hashr jo honā thā ho chukā

guzrī hai raat sham.a pe kyā dekhte chaleñ

parwanon ka to hashr jo hona tha ho chuka

guzri hai raat shama pe kya dekhte chalen

Shad Azimabadi

misl-e-parvāna fidā har ek dil ho gayā

yaar jis mahfil meñ baiThā sham-e-mahfil ho gayā

misl-e-parwana fida har ek ka dil ho gaya

yar jis mahfil mein baiTha sham-e-mahfil ho gaya

Jaleel Manikpuri

yuuñ to jal bujhne meñ donoñ haiñ barābar lekin

vo kahāñ sham.a meñ jo aag hai parvāne meñ

yun to jal bujhne mein donon hain barabar lekin

wo kahan shama mein jo aag hai parwane mein

Jaleel Manikpuri

ḳhud parvāne jal ga.e varna

sham.a jaltī hai raushnī ke liye

the moths got burned in their own plight

the flame just burns to shed some light

KHud hi parwane jal gae warna

shama jalti hai raushni ke liye

the moths got burned in their own plight

the flame just burns to shed some light

Sanam Partapgarhi

jaane kyā mahfil-e-parvāna meñ dekhā us ne

phir zabāñ khul na sakī sham.a jo ḳhāmosh huī

jaane kya mahfil-e-parwana mein dekha us ne

phir zaban khul na saki shama jo KHamosh hui

Aleem Masroor

mat karo sham.a kuuñ badnām jalātī vo nahīñ

aap siiñ shauq patañgoñ ko hai jal jaane

cast not blame upon the flame it doesn’t burn to sear

the moths are

mat karo shama kun badnam jalati wo nahin

aap sin shauq patangon ko hai jal jaane ka

cast not blame upon the flame it doesn’t burn to sear

the moths are

Siraj Aurangabadi

sham.a par ḳhuun ilzām ho sābit kyūñ-kar

phūñk laash bhī kambaḳht ne parvāne

shama par KHun ka ilzam ho sabit kyun-kar

phunk di lash bhi kambaKHt ne parwane ki

Jaleel Manikpuri

ye apne dil lagī ko bujhāne aate haiñ

parā.ī aag meñ jalte nahīñ haiñ parvāne

they come to extinguish the fire in their heart

in senseless immolation the moths do not take part

ye apne dil ki lagi ko bujhane aate hain

parai aag mein jalte nahin hain parwane

they come to extinguish the fire in their heart

in senseless immolation the moths do not take part

Makhmoor Saeedi

ḳhud bhī jaltī hai agar us ko jalātī hai ye

kam kisī tarah nahīñ sham.a bhī parvāne se

it aslo burns itself if it sears him

the flame is not lesser than the moth in any way

KHud bhi jalti hai agar us ko jalati hai ye

kam kisi tarah nahin shama bhi parwane se

it aslo burns itself if it sears him

the flame is not lesser than the moth in any way

Unknown

parvāne aa jā.eñge khiñch kar ba-jabr-e-ishq

mahfil meñ sirf sham.a jalāne der hai

parwane aa hi jaenge khinch kar ba-jabr-e-ishq

mahfil mein sirf shama jalane ki der hai

Mahirul Qadri

parvāne tapish ne ḳhudā jaane kaan meñ

kyā kah diyā ki sham.a ke sar se dhuāñ uThā

parwane ki tapish ne KHuda jaane kan mein

kya kah diya ki shama ke sar se dhuan uTha

Ismail Merathi

ishq meñ nisbat nahīñ bulbul ko parvāne ke saath

vasl meñ vo jaan de ye hijr meñ jiitī rahe

ishq mein nisbat nahin bulbul ko parwane ke sath

wasl mein wo jaan de ye hijr mein jiti rahe

Jafar Ali Khan Zaki

mūjid jo nuur hai vo merā charāġh hai

parvāna huuñ maiñ anjuman-e-kā.enāt

mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai

parwana hun main anjuman-e-kaenat ka

Agha Hajju Sharaf

sham.a bujh kar rah ga.ī parvāna jal kar rah gayā

yādgār-e-husn-o-ishq ik daaġh dil par rah gayā

shama bujh kar rah gai parwana jal kar rah gaya

yaadgar-e-husn-o-ishq ek dagh dil par rah gaya

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

tārīkī meñ hotā hai use vasl mayassar

parvāna kahāñ jaa.e shabistāñ se nikal kar

tariki mein hota hai use wasl mayassar

parwana kahan jae shabistan se nikal kar

Mushafi Ghulam Hamdani

ḳhaak kar deve jalā kar pahle phir Tisve bahā.e

sham.a majlis meñ baḌī dil-soz parvāne hai

KHak kar dewe jala kar pahle phir Tiswe bahae

shama majlis mein baDi dil-soz parwane ki hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now