Sher on Subah
We like the morning
hour for so many qualities like its coolness, freshness, pleasant breeze, chirping of birds, and such other reasons. Metaphorically, it also announces the victory of light over darkness. Poets have celebrated this hour with great enthusiasm. Here are some examples.
sub.h savere ran paḌnā hai aur ghamsān kā ran
rātoñ raat chalā jaa.e jis ko jaanā hai
subh sawere ran paDna hai aur ghamsan ka ran
raaton raat chala jae jis ko jaana hai
na.ī sub.h par nazar hai magar aah ye bhī Dar hai
ye sahar bhī rafta rafta kahīñ shaam tak na pahuñche
nai subh par nazar hai magar aah ye bhi Dar hai
ye sahar bhi rafta rafta kahin sham tak na pahunche
-
Tag : Shaam
raat aa kar guzar bhī jaatī hai
ik hamārī sahar nahīñ hotī
raat aa kar guzar bhi jati hai
ek hamari sahar nahin hoti
-
Tags : Mayoosiand 2 more
ham aise ahl-e-nazar ko subūt-e-haq ke liye
agar rasūl na hote to sub.h kaafī thī
hum aise ahl-e-nazar ko subut-e-haq ke liye
agar rasul na hote to subh kafi thi
ab aa ga.ī hai sahar apnā ghar sambhālne ko
chalūñ ki jaagā huā raat bhar kā maiñ bhī huuñ
ab aa gai hai sahar apna ghar sambhaalne ko
chalun ki jaga hua raat bhar ka main bhi hun
rone vaale hue chup hijr kī duniyā badlī
sham.a be-nūr huī sub.h kā taarā niklā
rone wale hue chup hijr ki duniya badli
shama be-nur hui subh ka tara nikla
raushan-dān se dhuup kā TukḌā aa kar mere paas girā
aur phir sūraj ne koshish kī mujh se aañkh milāne kī
raushan-dan se dhup ka TukDa aa kar mere pas gira
aur phir suraj ne koshish ki mujh se aankh milane ki
kaun sī baat na.ī ai dil-e-nākām huī
shaam se sub.h huī sub.h se phir shaam huī
o luckless heart what was new today you tell me pray
day first turned into night, then night turned into day
kaun si baat nai ai dil-e-nakaam hui
sham se subh hui subh se phir sham hui
o luckless heart what was new today you tell me pray
day first turned into night, then night turned into day
-
Tag : Shaam