Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Qamar Abbas Qamar's Photo'

Qamar Abbas Qamar

1993 | Delhi, India

Prominent among upcoming generation of urdu poets.

Prominent among upcoming generation of urdu poets.

Sher of Qamar Abbas Qamar

1.1K
Favorite

SORT BY

tishna-lab aisā ki hoñToñ pe paḌe haiñ chhāle

mutma.in aisā huuñ dariyā ko bhī hairānī hai

tishna-lab aisa ki honTon pe paDe hain chhaale

mutmain aisa hun dariya ko bhi hairani hai

mere māthe pe ubhar aate the vahshat ke nuqūsh

merī miTTī kisī sahrā se uThā.ī ga.ī thī

mere mathe pe ubhar aate the wahshat ke nuqush

meri miTTi kisi sahra se uThai gai thi

ye ehtijāj ajab hai ḳhilāf-e-teġh-e-sitam

zamīñ meñ jazb nahīñ ho rahā hai ḳhuuñ merā

ye ehtijaj ajab hai KHilaf-e-tegh-e-sitam

zamin mein jazb nahin ho raha hai KHun mera

pahāḌ peḌ nadī saath de rahe haiñ mirā

ye terī or mirā āḳhirī safar to nahīñ

pahaD peD nadi sath de rahe hain mera

ye teri or mera aaKHiri safar to nahin

majnūñ se ye kahnā ki mire shahar meñ aa jaa.e

vahshat ke liye ek bayābān abhī hai

majnun se ye kahna ki mere shahar mein aa jae

wahshat ke liye ek bayaban abhi hai

ab ki mumkin hai zamīñ ḳhuun pyāsī na rahe

ik qabīle ne merī baat nahīñ maanī hai

ab ki mumkin hai zamin KHun ki pyasi na rahe

ek qabile ne meri baat nahin mani hai

bahut ġhurūr thā sūraj ko apnī shiddat par

so ek pal sahī bādaloñ se haar gayā

bahut ghurur tha suraj ko apni shiddat par

so ek pal hi sahi baadalon se haar gaya

yuuñ raat ga.e kis ko sadā dete haiñ aksar

vo kaun hamārā thā jo vāpas nahīñ aaya

yun raat gae kis ko sada dete hain aksar

wo kaun hamara tha jo wapas nahin aaya

sard rātoñ taqāza thā badan jal jaa.e

phir vo ik aag jo siine se lagā.ī maiñ ne

sard raaton ka taqaza tha badan jal jae

phir wo ek aag jo sine se lagai main ne

mujhe bachā le mire yaar soz-e-imshab se

ki ik sitāra-e-vahshat jabīñ se guzregā

mujhe bacha le mere yar soz-e-imshab se

ki ek sitara-e-wahshat jabin se guzrega

alag alag hai samtoñ ab safar darpesh

tumhārā haath mire haath se judā bhī nahīñ

alag alag si hai samton ka ab safar darpesh

tumhaara hath mere hath se juda bhi nahin

palaTne vaale parindoñ pe bad-havāsī hai

maiñ is zamīñ kahīñ āḳhirī shajar to nahīñ

palaTne wale parindon pe bad-hawasi hai

main is zamin ka kahin aaKHiri shajar to nahin

maiñ ro paḌūñgā bahut bhīñch ke gale na lagā

maiñ pahle jaisā nahīñ huuñ kisī dukh hai mujhe

main ro paDunga bahut bhinch ke gale na laga

main pahle jaisa nahin hun kisi ka dukh hai mujhe

is ke Thahrāo se tham jaatī hai sab mauj-e-hayāt

yā'nī dariyā meñ nahīñ saañs meñ gahrā.ī hai

is ke Thahrao se tham jati hai sab mauj-e-hayat

ya'ni dariya mein nahin sans mein gahrai hai

shiddat-e-ġham se koī ġham bhī nahīñ ho paayā

jaane vaale tirā mātam bhī nahīñ ho paayā

shiddat-e-gham se koi gham bhi nahin ho paya

jaane wale tera matam bhi nahin ho paya

ham vo nādāñ the jo shahroñ ko sukūñ jānte the

tum nahīñ aa.e idhar tum ne samajhdārī

hum wo nadan the jo shahron ko sukun jaante the

tum nahin aae idhar tum ne samajhdari ki

anā ne donoñ ke biich nafrat ek dīvār khīñch hai

udhar se aane mas.ala hai idhar se jaane mas.ala hai

ana ne donon ke bich nafrat ki ek diwar khinch di hai

udhar se aane ka masala hai idhar se jaane ka masala hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now