Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Qamar Jalalvi's Photo'

Qamar Jalalvi

1887 - 1968 | Karachi, Pakistan

Famous indian poet who migrated to Pakistan. He earned polularity with many of his oft-quoted shers.

Famous indian poet who migrated to Pakistan. He earned polularity with many of his oft-quoted shers.

Sher of Qamar Jalalvi

14K
Favorite

SORT BY

zarā ruuTh jaane pe itnī ḳhushāmad

'qamar' tum bigāḌoge aadat kisī

zara ruTh jaane pe itni KHushamad

'qamar' tum bigaDoge aadat kisi ki

shukriya ai qabr tak pahuñchāne vaalo shukriya

ab akele chale jā.eñge is manzil se ham

shukriya ai qabr tak pahunchane walo shukriya

ab akele hi chale jaenge is manzil se hum

sunā hai ġhair mahfil meñ tum na jāoge

kaho to aaj sajā luuñ ġharīb-ḳhāne ko

suna hai ghair ki mahfil mein tum na jaoge

kaho to aaj saja lun gharib-KHane ko

zabt kartā huuñ to ghuTtā hai qafas meñ mirā dam

aah kartā huuñ to sayyād ḳhafā hotā hai

zabt karta hun to ghuTta hai qafas mein mera dam

aah karta hun to sayyaad KHafa hota hai

kabhī kahā na kisī se tire fasāne ko

na jaane kaise ḳhabar ho ga.ī zamāne ko

kabhi kaha na kisi se tere fasane ko

na jaane kaise KHabar ho gai zamane ko

pūchho na araq ruḳhsāroñ se rañgīnī-e-husn ko baḌhne do

sunte haiñ ki shabnam ke qatre phūloñ ko nikhārā karte haiñ

wipe not the droplets from your face, let beauty's lustre grow

drops of dew when flowers grace, enhance their freshness so

puchho na araq ruKHsaron se rangini-e-husn ko baDhne do

sunte hain ki shabnam ke qatre phulon ko nikhaara karte hain

wipe not the droplets from your face, let beauty's lustre grow

drops of dew when flowers grace, enhance their freshness so

vo chaar chāñd falak ko lagā chalā huuñ 'qamar'

ki mere ba.ad sitāre kaheñge afsāne

wo chaar chand falak ko laga chala hun 'qamar'

ki mere baad sitare kahenge afsane

aa.eñ haiñ vo mazār pe ghūñghaT utaar ke

mujh se nasīb achchhe hai mere mazār ke

aaen hain wo mazar pe ghunghaT utar ke

mujh se nasib achchhe hai mere mazar ke

rusvā karegī dekh ke duniyā mujhe 'qamar'

is chāñdnī meñ un ko bulāne ko jaa.e kaun

ruswa karegi dekh ke duniya mujhe 'qamar'

is chandni mein un ko bulane ko jae kaun

shaam ko aaoge tum achchhā abhī hotī hai shaam

gesuoñ ko khol do sūraj chhupāne ke liye

sham ko aaoge tum achchha abhi hoti hai sham

gesuon ko khol do suraj chhupane ke liye

dabā ke qabr meñ sab chal diye duā na salām

zarā der meñ kyā ho gayā zamāne ko

daba ke qabr mein sab chal diye dua na salam

zara si der mein kya ho gaya zamane ko

'qamar' zarā bhī nahīñ tum ko ḳhauf-e-rusvā.ī

chale ho chāñdnī shab meñ unheñ bulāne ko

'qamar' zara bhi nahin tum ko KHauf-e-ruswai

chale ho chandni shab mein unhen bulane ko

surme til banā ke ruḳh-e-lā-javāb meñ

nuqta baḌhā rahe ho ḳhudā kitāb meñ

surme ka til bana ke ruKH-e-la-jawab mein

nuqta baDha rahe ho KHuda ki kitab mein

ro.eñge dekh kar sab bistar har shikan ko

vo haal likh chalā huuñ karvaT badal badal kar

roenge dekh kar sab bistar ki har shikan ko

wo haal likh chala hun karwaT badal badal kar

ab aage is meñ tumhārā bhī naam aa.egā

jo hukm ho to yahīñ chhoḌ duuñ fasāne ko

ab aage is mein tumhaara bhi nam aaega

jo hukm ho to yahin chhoD dun fasane ko

ab naza.a aalam hai mujh par tum apnī mohabbat vāpas lo

jab kashtī Dūbne lagtī hai to bojh utārā karte haiñ

my end is now upon me, take back your

for when a ship is sinking, the burden is removed

ab naza ka aalam hai mujh par tum apni mohabbat wapas lo

jab kashti Dubne lagti hai to bojh utara karte hain

my end is now upon me, take back your

for when a ship is sinking, the burden is removed

is liye aarzū chhupā.ī hai

muñh se niklī huī parā.ī hai

is liye aarzu chhupai hai

munh se nikli hui parai hai

'qamar' kisī se bhī dil ilaaj ho na sakā

ham apnā daaġh dikhāte rahe zamāne ko

'qamar' kisi se bhi dil ka ilaj ho na saka

hum apna dagh dikhate rahe zamane ko

mujhe mere miTne ġham hai to ye hai

tumheñ bevafā kah rahā hai zamāna

mujhe mere miTne ka gham hai to ye hai

tumhein bewafa kah raha hai zamana

jaatī huī mayyat dekh ke bhī vallāh tum uTh kar aa na sake

do chaar qadam to dushman bhī taklīf gavārā karte haiñ

jati hui mayyat dekh ke bhi wallah tum uTh kar aa na sake

do chaar qadam to dushman bhi taklif gawara karte hain

abhī baaqī haiñ pattoñ par jale tinkoñ tahrīreñ

ye vo tārīḳh hai bijlī girī thī jab gulistāñ par

abhi baqi hain patton par jale tinkon ki tahriren

ye wo tariKH hai bijli giri thi jab gulistan par

tere qurbān 'qamar' muñh sar-e-gulzār na khol

sadqe us chāñd sūrat pe na ho jaa.e bahār

tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol

sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaar

muddateñ huiiñ ab to jal ke āshiyāñ apnā

aaj tak ye aalam hai raushnī se Dartā huuñ

muddaten huin ab to jal ke aashiyan apna

aaj tak ye aalam hai raushni se Darta hun

shab ko mirā janāza jā.egā yuuñ nikal kar

rah jā.eñge sahar ko dushman bhī haath mal kar

shab ko mera janaza jaega yun nikal kar

rah jaenge sahar ko dushman bhi hath mal kar

naza.a aur bhī taklīf baḌhā tum ne

kuchh na ban aayā to āvāz sunā tum ne

naza ki aur bhi taklif baDha di tum ne

kuchh na ban aaya to aawaz suna di tum ne

jalva-gar bazm-e-hasīnāñ meñ haiñ vo is shaan se

chāñd jaise ai 'qamar' tāroñ bharī mahfil meñ hai

jalwa-gar bazm-e-hasinan mein hain wo is shan se

chand jaise ai 'qamar' taron bhari mahfil mein hai

maiñ un sab meñ ik imtiyāzī nishāñ huuñ falak par numāyāñ haiñ jitne sitāre

'qamar' bazm-e-anjum mujh ko mayassar sadārat nahīñ hai to phir aur kyā hai

main un sab mein ek imtiyazi nishan hun falak par numayan hain jitne sitare

'qamar' bazm-e-anjum ki mujh ko mayassar sadarat nahin hai to phir aur kya hai

raushan hai merā naam baḌā nāmvar huuñ maiñ

shāhid haiñ āsmāñ ke sitāre qamar huuñ maiñ

raushan hai mera nam baDa namwar hun main

shahid hain aasman ke sitare qamar hun main

yahī hai gar ḳhushī to raat bhar ginte raho taare

'qamar' is chāñdnī meñ un ab aanā to kyā hogā

yahi hai gar KHushi to raat bhar ginte raho tare

'qamar' is chandni mein un ka ab aana to kya hoga

baḌhā baḌhā ke jafā.eñ jhukā doge kamar

ghaTā ghaTā ke 'qamar' ko hilāl kar doge

baDha baDha ke jafaen jhuka hi doge kamar

ghaTa ghaTa ke 'qamar' ko hilal kar doge

agar aa jaa.e pahlū meñ 'qamar' vo māh-e-kāmil bhī

do aalam jagmagā uTTheñge dohrī chāñdnī hogī

agar aa jae pahlu mein 'qamar' wo mah-e-kaamil bhi

do aalam jagmaga uTThenge dohri chandni hogi

nasheman ḳhaak hone se vo sadma dil ko pahuñchā hai

ki ab ham se koī bhī raushnī dekhī nahīñ jaatī

nasheman KHak hone se wo sadma dil ko pahuncha hai

ki ab hum se koi bhi raushni dekhi nahin jati

jigar daaġh chhupāo 'qamar' ḳhudā ke liye

sitāre TūTte haiñ un ke dīda-e-nam se

jigar ka dagh chhupao 'qamar' KHuda ke liye

sitare TuTte hain un ke dida-e-nam se

aise meñ vo hoñ baaġh ho saaqī ho ai 'qamar'

lag jaa.eñ chaar chāñd shab-e-māhtāb meñ

aise mein wo hon bagh ho saqi ho ai 'qamar'

lag jaen chaar chand shab-e-mahtab mein

'qamar' afshāñ chunī hai ruḳh pe us ne is salīqe se

sitāre āsmāñ se dekhne ko aa.e jaate haiñ

'qamar' afshan chuni hai ruKH pe us ne is saliqe se

sitare aasman se dekhne ko aae jate hain

na ho rihā.ī qafas se agar nahīñ hotī

nigāh-e-shauq to be-bāl-o-par nahīñ hotī

na ho rihai qafas se agar nahin hoti

nigah-e-shauq to be-baal-o-par nahin hoti

tum meñ jo baat hai vo baat nahīñ aa.ī hai

kyā ye tasvīr kisī aur se khiñchvā.ī hai

tum mein jo baat hai wo baat nahin aai hai

kya ye taswir kisi aur se khinchwai hai

har vaqt mahviyat hai yahī sochtā huuñ maiñ

kyuuñ barq ne jalāyā mirā āshiyāñ na pūchh

har waqt mahwiyat hai yahi sochta hun main

kyun barq ne jalaya mera aashiyan na puchh

ḳhuun hotā hai sahar tak mire armānoñ

shām-e-va.ada jo vo pāband-e-hinā hotā hai

KHun hota hai sahar tak mere armanon ka

sham-e-wada jo wo paband-e-hina hota hai

'qamar' apne dāġh-e-dil vo kahānī maiñ ne chheḌī

ki sunā kiye sitāre mirā raat bhar fasāna

'qamar' apne dagh-e-dil ki wo kahani main ne chheDi

ki suna kiye sitare mera raat bhar fasana

Recitation

Speak Now