Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shahryar's Photo'

Shahryar

1936 - 2012 | Aligarh, India

One of the most prominent modern Urdu poets and lyricist. Wrote songs for the movie "Umrao Jaan". Recipient of the Bhartiya Gyan Peeth award.

One of the most prominent modern Urdu poets and lyricist. Wrote songs for the movie "Umrao Jaan". Recipient of the Bhartiya Gyan Peeth award.

TOP 20 SHAYARI of Shahryar

shadīd pyaas thī phir bhī chhuā na paanī ko

maiñ dekhtā rahā dariyā tirī ravānī ko

shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko

main dekhta raha dariya teri rawani ko

jahāñ meñ hone ko ai dost yuuñ to sab hogā

tire laboñ pe mire lab hoñ aisā kab hogā

jahan mein hone ko ai dost yun to sab hoga

tere labon pe mere lab hon aisa kab hoga

justujū jis thī us ko to na paayā ham ne

is bahāne se magar dekh duniyā ham ne

justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne

is bahane se magar dekh li duniya hum ne

siyāh raat nahīñ letī naam Dhalne

yahī to vaqt hai sūraj tire nikalne

siyah raat nahin leti nam Dhalne ka

yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka

shikva koī dariyā ravānī se nahīñ hai

rishta mirī pyaas paanī se nahīñ hai

shikwa koi dariya ki rawani se nahin hai

rishta hi meri pyas ka pani se nahin hai

kyā koī na.ī baat nazar aatī hai ham meñ

ā.īna hameñ dekh ke hairān kyuuñ hai

kya koi nai baat nazar aati hai hum mein

aaina hamein dekh ke hairan sa kyun hai

ghar ta.amīr tasavvur meñ ho saktī hai

apne naqshe ke mutābiq ye zamīñ kuchh kam hai

ghar ki tamir tasawwur hi mein ho sakti hai

apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai

ye kyā hai mohabbat meñ to aisā nahīñ hotā

maiñ tujh se judā ho ke bhī tanhā nahīñ hotā

ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota

main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota

ik buuñd zahr ke liye phailā rahe ho haath

dekho kabhī ḳhud apne badan ko nichoḌ ke

ek bund zahr ke liye phaila rahe ho hath

dekho kabhi KHud apne badan ko nichoD ke

sabhī ko ġham hai samundar ke ḳhushk hone

ki khel ḳhatm huā kashtiyāñ Dubone

sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka

ki khel KHatm hua kashtiyan Dubone ka

pahle nahā.ī os meñ phir āñsuoñ meñ raat

yuuñ buuñd buuñd utrī hamāre gharoñ meñ raat

pahle nahai os mein phir aansuon mein raat

yun bund bund utri hamare gharon mein raat

tere alāva bhī kisī shai talab hai

apnī mohabbat pe bharosā nahīñ ham ko

ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai

ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko

umr lambā hissa kar ke dānā.ī ke naam

ham bhī ab ye soch rahe haiñ pāgal ho jaa.eñ

umr ka lamba hissa kar ke danai ke nam

hum bhi ab ye soch rahe hain pagal ho jaen

jam.a karte rahe jo apne ko zarra zarra

vo ye kyā jāneñ bikharne meñ sukūñ kitnā hai

jama karte rahe jo apne ko zarra zarra

wo ye kya jaanen bikharne mein sukun kitna hai

ab raat dīvār ko Dhānā hai zarūrī

ye kaam magar mujh se akele nahīñ hogā

ab raat ki diwar ko Dhana hai zaruri

ye kaam magar mujh se akele nahin hoga

aañkh ye ek hasrat thī ki bas puurī huī

āñsuoñ meñ bhiig jaane havas puurī huī

aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puri hui

aansuon mein bhig jaane ki hawas puri hui

āsmāñ kuchh bhī nahīñ ab tere karne ke liye

maiñ ne sab tayyāriyāñ kar haiñ marne ke liye

aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye

main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye

ye jab hai ki ik ḳhvāb se rishta hai hamārā

din Dhalte dil Dūbne lagtā hai hamārā

ye jab hai ki ek KHwab se rishta hai hamara

din Dhalte hi dil Dubne lagta hai hamara

āñkhoñ meñ terī dekh rahā huuñ maiñ apnī shakl

ye koī vāhima ye koī ḳhvāb to nahīñ

aankhon mein teri dekh raha hun main apni shakl

ye koi wahima ye koi KHwab to nahin

kahāñ hai tujh se ik nisbat thī merī zaat ko

kab se palkoñ par uThā.e phir rahā huuñ raat ko

tu kahan hai tujh se ek nisbat thi meri zat ko

kab se palkon par uThae phir raha hun raat ko

Recitation

Speak Now