Sher on Tasawwur
Imagination is the source
of all our perceptions but imagination bears fruits in many more ways than we may usually perceive. Poets imagine more than we do and they use their imagination more creatively than us. That is how we need to look at these verses that unveil the magic of imagination and leave us stunned.
jī DhūñDtā hai phir vahī fursat ki raat din
baiThe raheñ tasavvur-e-jānāñ kiye hue
Again this heart seeks those days of leisure as of yore
Sitting just enmeshed in thoughts of my paramour
ji DhunDta hai phir wahi fursat ki raat din
baiThe rahen tasawwur-e-jaanan kiye hue
Again this heart seeks those days of leisure as of yore
Sitting just enmeshed in thoughts of my paramour
-
Tags : Famous shayariand 1 more
duniyā-e-tasavvur ham ābād nahīñ karte
yaad aate ho tum ḳhud hī ham yaad nahīñ karte
duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte
yaad aate ho tum KHud hi hum yaad nahin karte
-
Tag : Yaad
un kā ġham un kā tasavvur un kī yaad
kaT rahī hai zindagī ārām se
un ka gham un ka tasawwur un ki yaad
kaT rahi hai zindagi aaram se
ghar kī ta.amīr tasavvur hī meñ ho saktī hai
apne naqshe ke mutābiq ye zamīñ kuchh kam hai
ghar ki tamir tasawwur hi mein ho sakti hai
apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai
-
Tag : Ghar
yuuñ barastī haiñ tasavvur meñ purānī yādeñ
jaise barsāt kī rim-jhim meñ samāñ hotā hai
yun barasti hain tasawwur mein purani yaaden
jaise barsat ki rim-jhim mein saman hota hai
jaane kyuuñ ik ḳhayāl sā aayā
maiñ na hūñgā to kyā kamī hogī
jaane kyun ek KHayal sa aaya
main na hunga to kya kami hogi
-
Tag : Maut
un kā ġham un kā tasavvur un ke shikve ab kahāñ
ab to ye bāteñ bhī ai dil ho ga.iiñ aa.ī ga.ī
un ka gham un ka tasawwur un ke shikwe ab kahan
ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai
-
Tags : Ghamand 5 more
yuuñ tirī yaad meñ din raat magan rahtā huuñ
dil dhḌaknā tire qadmoñ kī sadā lagtā hai
yun teri yaad mein din raat magan rahta hun
dil dhDakna tere qadmon ki sada lagta hai
-
Tags : Ishqand 3 more
tere ḳhayāl ke dīvār-o-dar banāte haiñ
ham apne ghar meñ bhī terā hī ghar banāte haiñ
tere KHayal ke diwar-o-dar banate hain
hum apne ghar mein bhi tera hi ghar banate hain
tasavvur meñ bhī ab vo be-naqāb aate nahīñ mujh tak
qayāmat aa chukī hai log kahte haiñ shabāb aayā
tasawwur mein bhi ab wo be-naqab aate nahin mujh tak
qayamat aa chuki hai log kahte hain shabab aaya
phir nazar meñ phuul mahke dil meñ phir sham.eñ jalīñ
phir tasavvur ne liyā us bazm meñ jaane kā naam
phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam
maiñ jab bhī us ke ḳhayāloñ meñ kho sā jaatā huuñ
vo ḳhud bhī baat kare to burā lage hai mujhe
main jab bhi us ke KHayalon mein kho sa jata hun
wo KHud bhi baat kare to bura lage hai mujhe
tasavvur zulf kā hai aur maiñ huuñ
balā kā sāmnā hai aur maiñ huuñ
tasawwur zulf ka hai aur main hun
bala ka samna hai aur main hun
ḳhafā haiñ phir bhī aa kar chheḌ jaate haiñ tasavvur meñ
hamāre haal par kuchh mehrbānī ab bhī hotī hai
KHafa hain phir bhi aa kar chheD jate hain tasawwur mein
hamare haal par kuchh mehrbani ab bhi hoti hai
-
Tag : Khafa
haañ dikhā de ai tasavvur phir vo sub.h o shaam tū
dauḌ pīchhe kī taraf ai gardish-e-ayyām tū
han dikha de ai tasawwur phir wo subh o sham tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyam tu
chāhiye us kā tasavvur hī se naqsha khīñchnā
dekh kar tasvīr ko tasvīr phir khīñchī to kyā
chahiye us ka tasawwur hi se naqsha khinchna
dekh kar taswir ko taswir phir khinchi to kya
-
Tag : Tasweer
ik tirī yaad se ik tere tasavvur se hameñ
aa ga.e yaad ka.ī naam hasīnāoñ ke
ek teri yaad se ek tere tasawwur se hamein
aa gae yaad kai nam hasinaon ke
ham haiñ us ke ḳhayāl kī tasvīr
jis kī tasvīr hai ḳhayāl apnā
hum hain us ke KHayal ki taswir
jis ki taswir hai KHayal apna
-
Tag : Tasweer
mere pahlū meñ tum aao ye kahāñ mere nasīb
ye bhī kyā kam hai tasavvur meñ to aa jaate ho
mere pahlu mein tum aao ye kahan mere nasib
ye bhi kya kam hai tasawwur mein to aa jate ho
khul nahīñ saktī haiñ ab āñkheñ mirī
jī meñ ye kis kā tasavvur aa gayā
khul nahin sakti hain ab aankhen meri
ji mein ye kis ka tasawwur aa gaya
lamha lamha mujhe vīrān kiye detā hai
bas gayā mere tasavvur meñ ye chehra kis kā
lamha lamha mujhe viran kiye deta hai
bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka
-
Tag : Chehra
puurī hotī haiñ tasavvur meñ umīdeñ kyā kyā
dil meñ sab kuchh hai magar pesh-e-nazar kuchh bhī nahīñ
puri hoti hain tasawwur mein umiden kya kya
dil mein sab kuchh hai magar pesh-e-nazar kuchh bhi nahin
lab-e-ḳhayāl se us lab kā jo liyā bosa
to muñh hī muñh meñ ajab tarah kā mazā aayā
lab-e-KHayal se us lab ka jo liya bosa
to munh hi munh mein ajab tarah ka maza aaya
raat bhar un kā tasavvur dil ko taḌpātā rahā
ek naqsha sāmne aatā rahā jaatā rahā
raat bhar un ka tasawwur dil ko taDpata raha
ek naqsha samne aata raha jata raha
yaad meñ ḳhvāb meñ tasavvur meñ
aa ki aane ke haiñ hazār tarīq
yaad mein KHwab mein tasawwur mein
aa ki aane ke hain hazar tariq
-
Tags : Khwaband 1 more
mahv huuñ is qadar tasavvur meñ
shak ye hotā hai maiñ huuñ yā tū hai
mahw hun is qadar tasawwur mein
shak ye hota hai main hun ya tu hai
haiñ tasavvur meñ us ke āñkheñ band
log jāneñ haiñ ḳhvāb kartā huuñ
hain tasawwur mein us ke aankhen band
log jaanen hain KHwab karta hun
bichhaḌ kar us se sīkhā hai tasavvur ko badan karnā
akele meñ use chhūnā akele meñ suḳhan karnā
bichhaD kar us se sikha hai tasawwur ko badan karna
akele mein use chhuna akele mein suKHan karna
is qadar mahv-e-tasavvur huuñ ki shak hotā hai
ā.īne meñ mirī sūrat hai ki sūrat terī
is qadar mahw-e-tasawwur hun ki shak hota hai
aaine mein meri surat hai ki surat teri
banātā huuñ maiñ tasavvur meñ us kā chehra magar
har ek baar na.ī kā.enāt bantī hai
banata hun main tasawwur mein us ka chehra magar
har ek bar nai kaenat banti hai
-
Tag : Chehra
hai ābād mere tasavvur kī duniyā
hasīñ aa rahe haiñ hasīñ jā rahe haiñ
hai aabaad mere tasawwur ki duniya
hasin aa rahe hain hasin ja rahe hain
na hogā koī mujh sā mahv-e-tasavvur
jise dekhtā huuñ samajhtā huuñ tū hai
na hoga koi mujh sa mahw-e-tasawwur
jise dekhta hun samajhta hun tu hai
josh-e-junūñ meñ lutf-e-tasavvur na pūchhiye
phirte haiñ saath saath unheñ ham liye hue
josh-e-junun mein lutf-e-tasawwur na puchhiye
phirte hain sath sath unhen hum liye hue
maiñ ik thakā huā insān aur kyā kartā
tarah tarah ke tasavvur ḳhudā se bāñdh liye
main ek thaka hua insan aur kya karta
tarah tarah ke tasawwur KHuda se bandh liye
maiñ ki tere dhyān meñ gum thā
duniyā mujh ko DhūñDh rahī thī
main ki tere dhyan mein gum tha
duniya mujh ko DhunDh rahi thi
dekhūñ huuñ tujh ko duur se baiThā hazār kos
ainak na chāhiye na yahāñ dūrbīñ mujhe
dekhun hun tujh ko dur se baiTha hazar kos
ainak na chahiye na yahan durbin mujhe
kuchh to miltā hai maza sā shab-e-tanhā.ī meñ
par ye ma.alūm nahīñ kis se ham-āġhosh huuñ maiñ
kuchh to milta hai maza sa shab-e-tanhai mein
par ye malum nahin kis se ham-aghosh hun main
maiñ ne to tasavvur meñ aur aks dekhā thā
fikr muḳhtalif kyuuñ hai shā.erī ke paikar meñ
main ne to tasawwur mein aur aks dekha tha
fikr muKHtalif kyun hai shaeri ke paikar mein
jo tasavvur se māvarā na huā
vo to banda huā ḳhudā na huā
jo tasawwur se mawara na hua
wo to banda hua KHuda na hua
yahāñ to paik-e-tasavvur se kaam chaltā hai
sabā nahīñ na sahī nāma-bar nahīñ na sahī
yahan to paik-e-tasawwur se kaam chalta hai
saba nahin na sahi nama-bar nahin na sahi