Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Yagana Changezi's Photo'

Yagana Changezi

1884 - 1956 | Lucknow, India

One of most inspiring pre-modern poets who laid foundations for modern ghazal. Known for his sustained denunciation of Mirza Ghalib and contemporary poetry in Lucknow.

One of most inspiring pre-modern poets who laid foundations for modern ghazal. Known for his sustained denunciation of Mirza Ghalib and contemporary poetry in Lucknow.

Sher of Yagana Changezi

7.8K
Favorite

SORT BY

gunāh gin ke maiñ kyuuñ apne dil ko chhoTā karūñ

sunā hai tere karam koī hisāb nahīñ

gunah gin ke main kyun apne dil ko chhoTa karun

suna hai tere karam ka koi hisab nahin

sabr karnā saḳht mushkil hai taḌapnā sahl hai

apne bas kaam kar letā huuñ āsāñ dekh kar

sabr karna saKHt mushkil hai taDapna sahl hai

apne bas ka kaam kar leta hun aasan dekh kar

musībat pahāḌ āḳhir kisī din kaT jā.egā

mujhe sar maar kar teshe se mar jaanā nahīñ aatā

musibat ka pahaD aaKHir kisi din kaT hi jaega

mujhe sar mar kar teshe se mar jaana nahin aata

dard ho to davā bhī mumkin hai

vahm kyā davā kare koī

dard ho to dawa bhi mumkin hai

wahm ki kya dawa kare koi

kashish-e-lucknow are tauba

phir vahī ham vahī amīnābād

kashish-e-lucknow are tauba

phir wahi hum wahi aminabaad

pahāḌ kāTne vaale zamīñ se haar ga.e

isī zamīn meñ dariyā samā.e haiñ kyā kyā

pahaD kaTne wale zamin se haar gae

isi zamin mein dariya samae hain kya kya

ilm kyā ilm haqīqat kyā

jaisī jis ke gumān meñ aa.ī

ilm kya ilm ki haqiqat kya

jaisi jis ke guman mein aai

kisī ke ho raho achchhī nahīñ ye āzādī

kisī zulf se lāzim hai silsila dil

kisi ke ho raho achchhi nahin ye aazadi

kisi ki zulf se lazim hai silsila dil ka

ḳhudī nashsha chaḌhā aap meñ rahā na gayā

ḳhudā bane the 'yagānā' magar banā na gayā

KHudi ka nashsha chaDha aap mein raha na gaya

KHuda bane the 'yagana' magar bana na gaya

maut māñgī thī ḳhudā.ī to nahīñ māñgī thī

le duā kar chuke ab tark-e-duā karte haiñ

maut mangi thi KHudai to nahin mangi thi

le dua kar chuke ab tark-e-dua karte hain

sab tire sivā kāfir āḳhir is matlab kyā

sar phirā de insāñ aisā ḳhabt-e-maz.hab kyā

sab tere siwa kafir aaKHir is ka matlab kya

sar phira de insan ka aisa KHabt-e-mazhab kya

vaa.iz āñkheñ khul ga.iiñ piite sāqiyā

ye jām-e-mai thā koī dariyā-e-nūr thā

waiz ki aankhen khul gain pite hi saqiya

ye jam-e-mai tha ya koi dariya-e-nur tha

na.ī zamīn nayā āsmāñ na.ī duniyā

ajiib shai ye tilism ḳhayāl hotā hai

nai zamin naya aasman nai duniya

ajib shai ye tilism KHayal hota hai

dīvāna-vār dauḌ ke koī lipaT na jaa.e

āñkhoñ meñ āñkheñ Daal ke dekhā na kījiye

diwana-war dauD ke koi lipaT na jae

aankhon mein aankhen Dal ke dekha na kijiye

kyuuñ kisī se vafā kare koī

dil na maane to kyā kare koī

kyun kisi se wafa kare koi

dil na mane to kya kare koi

sharbat ghūñT jaan ke piitā huuñ ḳhūn-e-dil

ġham khāte khāte muñh maza tak bigaḌ gayā

sharbat ka ghunT jaan ke pita hun KHun-e-dil

gham khate khate munh ka maza tak bigaD gaya

jaise dozaḳh havā khā ke abhī aayā ho

kis qadar vā.iz-e-makkār Darātā hai mujhe

jaise dozaKH ki hawa kha ke abhi aaya ho

kis qadar waiz-e-makkar Daraata hai mujhe

vahī saaqī vahī sāġhar vahī shīsha vahī baada

magar lāzim nahīñ har ek par yaksāñ asar honā

wahi saqi wahi saghar wahi shisha wahi baada

magar lazim nahin har ek par yaksan asar hona

butoñ ko dekh ke sab ne ḳhudā ko pahchānā

ḳhudā ke ghar to koī banda-e-ḳhudā na gayā

buton ko dekh ke sab ne KHuda ko pahchana

KHuda ke ghar to koi banda-e-KHuda na gaya

be-dhaḌak pichhle pahar nāla-o-shevan na kareñ

kah de itnā to koī tāza-giraftāroñ se

be-dhaDak pichhle pahar nala-o-shewan na karen

kah de itna to koi taza-giraftaron se

parda-e-hijr vahī hasti-e-mauhūm thī 'yās'

sach hai pahle nahīñ mālūm thā ye raaz mujhe

parda-e-hijr wahi hasti-e-mauhum thi 'yas'

sach hai pahle nahin malum tha ye raaz mujhe

muflisī meñ mizāj shāhāna

kis maraz davā kare koī

muflisi mein mizaj shahana

kis maraz ki dawa kare koi

pahuñchī yahāñ bhī shaiḳh o barhaman kashmakash

ab mai-kada bhī sair ke qābil nahīñ rahā

pahunchi yahan bhi shaiKH o barhaman ki kashmakash

ab mai-kada bhi sair ke qabil nahin raha

jhāñkne tākne vaqt gayā

ab vo ham haiñ na vo zamāna hai

jhankne takne ka waqt gaya

ab wo hum hain na wo zamana hai

pukārtā rahā kis kis ko Dūbne vaalā

ḳhudā the itne magar koī aaḌe aa na gayā

pukarta raha kis kis ko Dubne wala

KHuda the itne magar koi aaDe aa na gaya

ḳhudā jaane ajal ko pahle kis par rahm aa.egā

giraftār-e-qafas par giraftār-e-nasheman par

KHuda jaane ajal ko pahle kis par rahm aaega

giraftar-e-qafas par ya giraftar-e-nasheman par

ka.aba nahīñ ki saarī ḳhudā.ī ko daḳhl ho

dil meñ sivā.e yaar kisī guzar nahīñ

kaba nahin ki sari KHudai ko daKHl ho

dil mein siwae yar kisi ka guzar nahin

ġhālib aur mīrzā 'yagānā'

aaj kyā faisla kare koī

ghaalib aur mirza 'yagana' ka

aaj kya faisla kare koi

mujhe dil ḳhatā par 'yās' sharmānā nahīñ aatā

parāyā jurm apne naam likhvānā nahīñ aatā

mujhe dil ki KHata par 'yas' sharmana nahin aata

paraya jurm apne nam likhwana nahin aata

payām-e-zer-e-lab aisā ki kuchh sunā na gayā

ishāra paate añgḌā.ī rahā na gayā

payam-e-zer-e-lab aisa ki kuchh suna na gaya

ishaara pate hi angDai li raha na gaya

baaz aa sāhil pe ġhote khāne vaale baaz aa

Duub marne maza dariyā-e-be-sāhil meñ hai

baz aa sahil pe ghote khane wale baz aa

Dub marne ka maza dariya-e-be-sahil mein hai

mujhe ai nāḳhudā āḳhir kisī ko muñh dikhānā hai

bahāna kar ke tanhā paar utar jaanā nahīñ aatā

mujhe ai naKHuda aaKHir kisi ko munh dikhana hai

bahana kar ke tanha par utar jaana nahin aata

ḳhudā jaane 'yagānā' maiñ kaun huuñ kyā huuñ

ḳhud apnī zaat pe shak dil meñ aa.e haiñ kyā kyā

KHuda hi jaane 'yagana' main kaun hun kya hun

KHud apni zat pe shak dil mein aae hain kya kya

aa rahī hai ye sadā kaan meñ vīrānoñ se

kal hai baat ki ābād the dīvānoñ se

aa rahi hai ye sada kan mein viranon se

kal ki hai baat ki aabaad the diwanon se

saaqī maiñ dekhtā huuñ zamīñ āsmāñ farq

arsh-e-barīñ meñ aur tire āstāne meñ

saqi main dekhta hun zamin aasman ka farq

arsh-e-barin mein aur tere aastane mein

dair o haram bhī Dhah ga.e jab dil nahīñ rahā

sab dekhte dekhte vīrāna ho gayā

dair o haram bhi Dhah gae jab dil nahin raha

sab dekhte hi dekhte virana ho gaya

duur se dekhne 'yās' gunahgār huuñ maiñ

āshnā tak na hue lab kabhī paimāne se

dur se dekhne ka 'yas' gunahgar hun main

aashna tak na hue lab kabhi paimane se

marte dam tak tirī talvār dam bharte rahe

haq adā ho na sakā phir bhī vafādāroñ se

marte dam tak teri talwar ka dam bharte rahe

haq ada ho na saka phir bhi wafadaron se

duniyā ke saath diin begār al-amāñ

insān aadmī na huā jānvar huā

duniya ke sath din ki begar al-aman

insan aadmi na hua jaanwar hua

fardā ko duur se hamārā salām hai

dil apnā shaam se charāġh-e-sahar huā

farda ko dur hi se hamara salam hai

dil apna sham hi se charagh-e-sahar hua

rañg badlā phir havā mai-kashoñ ke din phire

phir chalī bād-e-sabā phir mai-kade dar khulā

rang badla phir hawa ka mai-kashon ke din phire

phir chali baad-e-saba phir mai-kade ka dar khula

na sañg-e-mīl na naqsh-e-qadam na bāñg-e-jaras

bhaTak na jaa.eñ musāfir adam manzil ke

na sang-e-mil na naqsh-e-qadam na bang-e-jaras

bhaTak na jaen musafir adam ki manzil ke

duniyā se 'yās' jaane ko chāhtā nahīñ

allāh re husn gulshan-e-nā-pā.edār

duniya se 'yas' jaane ko ji chahta nahin

allah re husn gulshan-e-na-paedar ka

husn-e-zātī bhī chhupā.e se kahīñ chhuptā hai

saat pardoñ se ayaañ shāhid-e-ma.anī hogā

husn-e-zati bhi chhupae se kahin chhupta hai

sat pardon se ayan shahid-e-mani hoga

'yās' is charḳh-e-zamāna-sāz kyā e'tibār

mehrbāñ hai aaj kal nā-mehrbāñ ho jā.egā

'yas' is charKH-e-zamana-saz ka kya e'tibar

mehrban hai aaj kal na-mehrban ho jaega

yaksāñ kabhī kisī na guzrī zamāne meñ

yādash-ba-ḳhair baiThe the kal āshiyāne meñ

yaksan kabhi kisi ki na guzri zamane mein

yaadash-ba-KHair baiThe the kal aashiyane mein

kār-gāh-e-duniyā nestī bhī hastī hai

ik taraf ujaḌtī hai ek samt bastī hai

kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai

ek taraf ujaDti hai ek samt basti hai

zamāna ḳhudā ko ḳhudā jāntā hai

yahī jāntā hai to kyā jāntā hai

TRANSLATION

The whole world knows God as God,

If this is what it knows, it knows not.

Sagar Akbarabadi

zamana KHuda ko KHuda jaanta hai

yahi jaanta hai to kya jaanta hai

TRANSLATION

The whole world knows God as God,

If this is what it knows, it knows not.

Sagar Akbarabadi

'yagānā' vahī fāteh-e-lakhknau haiñ

dil-e-sañg-o-āhan meñ ghar karne vaale

'yagana' wahi fateh-e-lakhknau hain

dil-e-sang-o-ahan mein ghar karne wale

haath uljhā hai garebāñ meñ to ghabrāo na 'yās'

beḌiyāñ kyūñkar kaTīñ zindāñ dar kyūñkar khulā

hath uljha hai gareban mein to ghabrao na 'yas'

beDiyan kyunkar kaTin zindan ka dar kyunkar khula

Recitation

Speak Now