Sher of Agha Shayar Qazalbash
pahle is meñ ik adā thī naaz thā andāz thā
rūThnā ab to tirī aadat meñ shāmil ho gayā
pahle is mein ek ada thi naz tha andaz tha
ruThna ab to teri aadat mein shamil ho gaya
baḌe sīdhe-sādhe baḌe bhole-bhāle
koī dekhe is vaqt chehrā tumhārā
baDe sidhe-sadhe baDe bhole-bhaale
koi dekhe is waqt chehra tumhaara
is liye kahte the dekhā muñh lagāne kā maza
ā.īna ab aap kā madd-e-muqābil ho gayā
is liye kahte the dekha munh lagane ka maza
aaina ab aap ka madd-e-muqabil ho gaya
tum kahāñ vasl kahāñ vasl kī ummīd kahāñ
dil ke bahkāne ko ik baat banā rakhī hai
tum kahan wasl kahan wasl ki ummid kahan
dil ke bahkane ko ek baat bana rakhi hai
mire karīm ināyat se terī kyā na milā
gunāh kar ke bhī be-muzad āb-o-dāna milā
mere karim inayat se teri kya na mila
gunah kar ke bhi be-muzad aab-o-dana mila
kis tarah javānī meñ chalūñ raah pe nāseh
ye umr hī aisī hai sujhā.ī nahīñ detā
kis tarah jawani mein chalun rah pe naseh
ye umr hi aisi hai sujhai nahin deta
-
Tag : Jawani
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik baat kaheñ tum se ḳhafā to nahīñ hoge
pahlū meñ hamāre dil-e-muztar nahīñ miltā
ek baat kahen tum se KHafa to nahin hoge
pahlu mein hamare dil-e-muztar nahin milta
pāmāl kar ke pūchhte haiñ kis adā se vo
is dil meñ aag thī mire talve jhulas ga.e
pamal kar ke puchhte hain kis ada se wo
is dil mein aag thi mere talwe jhulas gae
lo ham batā.eñ ġhuncha-o-gul meñ hai farq kyā
ik baat hai kahī huī ik be-kahī huī
lo hum bataen ghuncha-o-gul mein hai farq kya
ek baat hai kahi hui ek be-kahi hui
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaleje meñ hazāroñ daaġh dil meñ hasrateñ lākhoñ
kamā.ī le chalā huuñ saath apne zindagī bhar kī
kaleje mein hazaron dagh dil mein hasraten lakhon
kamai le chala hun sath apne zindagi bhar ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
abrū na sañvārā karo kaT jā.egī uñglī
nādān ho talvār se khelā nahīñ karte
abru na sanwara karo kaT jaegi ungli
nadan ho talwar se khela nahin karte
hamīñ haiñ maujib-e-bāb-e-fasāhat hazrat-e-'shā.ir'
zamāna sīkhtā hai ham se ham vo dillī vaale haiñ
hamin hain maujib-e-bab-e-fasahat hazrat-e-'shair'
zamana sikhta hai hum se hum wo dilli wale hain
milnā na milnā ye to muqaddar kī baat hai
tum ḳhush raho raho mire pyāre jahāñ kahīñ
milna na milna ye to muqaddar ki baat hai
tum KHush raho raho mere pyare jahan kahin