Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ameeq Hanafi's Photo'

Ameeq Hanafi

1928 - 1988 | Delhi, India

One of the most prominent modern poets and also a critic. He had deep interest in Indian philosophy and music. He was also a broadcaster associated with All India Radio.

One of the most prominent modern poets and also a critic. He had deep interest in Indian philosophy and music. He was also a broadcaster associated with All India Radio.

Sher of Ameeq Hanafi

3.6K
Favorite

SORT BY

donoñ milnā mushkil hai donoñ haiñ majbūr bahut

us ke paañv meñ mehñdī lagī hai mere paañv meñ chhāle haiñ

donon ka milna mushkil hai donon hain majbur bahut

us ke panw mein mehndi lagi hai mere panw mein chhaale hain

phuul khile haiñ likhā huā hai toḌo mat

aur machal kar kahtā hai chhoḌo mat

TRANSLATION

Blossomed flowers and ‘do not pluck’ is diktat,

But the spirited heart says this: ‘don’t leave that’.

Sagar Akbarabadi

phul khile hain likha hua hai toDo mat

aur machal kar ji kahta hai chhoDo mat

TRANSLATION

Blossomed flowers and ‘do not pluck’ is diktat,

But the spirited heart says this: ‘don’t leave that’.

Sagar Akbarabadi

ek usī ko dekh na paa.e varna shahr saḌkoñ par

achchhī achchhī poshākeñ haiñ achchhī sūrat vaale haiñ

ek usi ko dekh na pae warna shahr ki saDkon par

achchhi achchhi poshaken hain achchhi surat wale hain

cigarette jise sulagtā huā koī chhoḌ de

us dhuāñ huuñ aur pareshāñ dhuāñ huuñ maiñ

cigarette jise sulagta hua koi chhoD de

us ka dhuan hun aur pareshan dhuan hun main

ishq ke hijje bhī jo na jāneñ vo haiñ ishq ke dāvedār

jaise ġhazleñ raT kar gaate haiñ bachche schōl meñ

ishq ke hijje bhi jo na jaanen wo hain ishq ke dawedar

jaise ghazlen raT kar gate hain bachche school mein

un āñkhoñ meñ Daal kar jab āñkheñ us raat

maiñ Duubā to mil ga.e Duube hue jahāz

un aankhon mein Dal kar jab aankhen us raat

main Duba to mil gae Dube hue jahaz

sukūt tark-e-ta.alluq ik garāñ lamha

banā gayā hai sadāoñ silsila mujh ko

sukut tark-e-talluq ka ek garan lamha

bana gaya hai sadaon ka silsila mujh ko

aatā huuñ maiñ zamāne āñkhoñ meñ raat din

lekin ḳhud apnī nazroñ se ab tak nihāñ huuñ maiñ

aata hun main zamane ki aankhon mein raat din

lekin KHud apni nazron se ab tak nihan hun main

ghar ke dukhḌe shahr ke ġham aur des bides chintā.eñ

in meñ kuchh āvāra kutte haiñ kuchh ham ne paale haiñ

ghar ke dukhDe shahr ke gham aur des bides ki chintaen

in mein kuchh aawara kutte hain kuchh hum ne pale hain

har ghaḌī ik nayā taqāzā hai

dard-e-sar ban gayā badan merā

har ghaDi ek naya taqaza hai

dard-e-sar ban gaya badan mera

ranj-o-ġham uThā.e haiñ fikr-o-fan bhī paa.e haiñ

zindagī ko jitnā bhī sake jiyā ham ne

ranj-o-gham uThae hain fikr-o-fan bhi pae hain

zindagi ko jitna bhi ji sake jiya hum ne

kabhī haram meñ hai kāfir to dair meñ momin

na jaane kyā dil-e-dīvāna terā maz.hab hai

kabhi haram mein hai kafir to dair mein momin

na jaane kya dil-e-diwana tera mazhab hai

ḳhvāb jo dekhe na the un sazā to mil ga.ī

bārhā dekhā jinheñ un sila miltā nahīñ

KHwab jo dekhe na the un ki saza to mil gai

barha dekha jinhen un ka sila milta nahin

chhūte āshā.eñ bikhrīñ jaise sapne TuuT ga.e

kis ne aTkā.e the ye kāġhaz ke phuul babūl meñ

chhute hi aashaen bikhrin jaise sapne TuT gae

kis ne aTkae the ye kaghaz ke phul babul mein

vo jab mujh ko dekh rahī thī maiñ ne us ko dekh liyā thā

bas itnī baat thī lekin baḌhte baḌhte kitnī baḌhī hai

wo jab mujh ko dekh rahi thi main ne us ko dekh liya tha

bas itni si baat thi lekin baDhte baDhte kitni baDhi hai

dil hai vīrān bayābāñ tarah

gosha-e-shahr-e-ḳhamoshāñ tarah

dil hai viran bayaban ki tarah

gosha-e-shahr-e-KHamoshan ki tarah

dil meñ dukh āñkhoñ meñ namī āsmāñ par ghaTā.eñ

andar bāhar is or us or har or bādal

dil mein dukh aankhon mein nami aasman par ghaTaen

andar bahar is or us or har or baadal

be-sūrat be-jism āvāzeñ andar bhej rahī haiñ havā.eñ

band haiñ kamre ke darvāze lekin khiḌkī khulī huī hai

be-surat be-jism aawazen andar bhej rahi hain hawaen

band hain kamre ke darwaze lekin khiDki khuli hui hai

kartā huuñ tavāf apnā to miltī hai na.ī raah

qibla bhī hai ye zaat mirā qibla-numā bhī

karta hun tawaf apna to milti hai nai rah

qibla bhi hai ye zat mera qibla-numa bhi

ḳhvāhishoñ bijliyoñ jaltī bujhtī raushnī

khīñchtī hai manzaroñ meñ naqsha-e-āsāb

KHwahishon ki bijliyon ki jalti bujhti raushni

khinchti hai manzaron mein naqsha-e-asab sa

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now