Sher of Ameer Qazalbash
mire junūñ kā natīja zarūr niklegā
isī siyāh samundar se nuur niklegā
mere junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nur niklega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
log jis haal meñ marne kī duā karte haiñ
maiñ ne us haal meñ jiine kī qasam khaa.ī hai
log jis haal mein marne ki dua karte hain
main ne us haal mein jine ki qasam khai hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik parinda abhī uḌaan meñ hai
tiir har shaḳhs kī kamān meñ hai
ek parinda abhi uDan mein hai
tir har shaKHs ki kaman mein hai
use bechain kar jā.ūñgā maiñ bhī
ḳhamoshī se guzar jā.ūñgā maiñ bhī
use bechain kar jaunga main bhi
KHamoshi se guzar jaunga main bhi
-
Tag : Khamoshi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yakum january hai nayā saal hai
december meñ pūchhūñgā kyā haal hai
yakum january hai naya sal hai
december mein puchhunga kya haal hai
-
Tag : New Year
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
usī kā shahr vahī mudda.ī vahī munsif
hameñ yaqīñ thā hamārā qusūr niklegā
usi ka shahr wahi muddai wahi munsif
hamein yaqin tha hamara qusur niklega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj kī raat bhī guzrī hai mirī kal kī tarah
haath aa.e na sitāre tire āñchal kī tarah
TRANSLATION
Tonight, same as the night before, has been spent,
Vying for the stars, which like thy drape, remained distant.
Sagar Akbarabadi
aaj ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarah
hath aae na sitare tere aanchal ki tarah
TRANSLATION
Tonight, same as the night before, has been spent,
Vying for the stars, which like thy drape, remained distant.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum raah meñ chup-chāp khaḌe ho to ga.e ho
kis kis ko batāoge ki ghar kyuuñ nahīñ jaate
tum rah mein chup-chap khaDe ho to gae ho
kis kis ko bataoge ki ghar kyun nahin jate
har qadam pe nākāmī har qadam pe mahrūmī
ġhāliban koī dushman dostoñ meñ shāmil hai
It was as if amidst my friends there was an enemy
A failure and deprived at every step did I remain
har qadam pe nakaami har qadam pe mahrumi
ghaaliban koi dushman doston mein shamil hai
It was as if amidst my friends there was an enemy
A failure and deprived at every step did I remain
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaqt ke saath badalnā to bahut āsāñ thā
mujh se har vaqt muḳhātib rahī ġhairat merī
waqt ke sath badalna to bahut aasan tha
mujh se har waqt muKHatib rahi ghairat meri
sunā hai ab bhī mire haath kī lakīroñ meñ
najūmiyoñ ko muqaddar dikhā.ī detā hai
suna hai ab bhi mere hath ki lakiron mein
najumiyon ko muqaddar dikhai deta hai
-
Tag : Qismat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mire paḌos meñ aise bhī log baste haiñ
jo mujh meñ DhūñD rahe haiñ burā.iyāñ apnī
mere paDos mein aise bhi log baste hain
jo mujh mein DhunD rahe hain buraiyan apni
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh se bach bach ke chalī hai duniyā
mere nazdīk ḳhudā ho jaise
mujh se bach bach ke chali hai duniya
mere nazdik KHuda ho jaise
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī aur haiñ kitne tire chehre ye batā
tujh se ik umr kī hālāñki shanāsā.ī hai
zindagi aur hain kitne tere chehre ye bata
tujh se ek umr ki haalanki shanasai hai
-
Tag : Zindagi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aa.ine se nazar churāte haiñ
jab se apnā javāb dekhā hai
aaine se nazar churaate hain
jab se apna jawab dekha hai
yaar kyā zindagī hai sūraj kī
sub.h se shaam tak jalā karnā
yar kya zindagi hai suraj ki
subh se sham tak jala karna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā guzartī hai mire baad us par
aaj maiñ us se bichhaḌ kar dekhūñ
kya guzarti hai mere baad us par
aaj main us se bichhaD kar dekhun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sukūt-e-shab meñ dar-e-dil pe ek dastak thī
bikhar ga.ī tirī yādoñ kī kahkashāñ mujh se
sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai teri yaadon ki kahkashan mujh se
mire ghar meñ to koī bhī nahīñ hai
ḳhudā jaane maiñ kis se Dar rahā huuñ
mere ghar mein to koi bhi nahin hai
KHuda jaane main kis se Dar raha hun
-
Tag : Tanhai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sub.h tak maiñ sochtā huuñ shaam se
jī rahā hai kaun mere naam se
subh tak main sochta hun sham se
ji raha hai kaun mere nam se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qatl ho to merā sā maut ho to merī sī
mere sogvāroñ meñ aaj merā qātil hai
Today amongst my mourners, my murderer too grieves
A death, a murder as was mine, all lovers should attain
qatl ho to mera sa maut ho to meri si
mere sogwaron mein aaj mera qatil hai
Today amongst my mourners, my murderer too grieves
A death, a murder as was mine, all lovers should attain
-
Tag : Qatil
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ne kyuuñ tark-e-ta.alluq kī jasārat kī hai
tum agar ġhaur karoge to pashīmāñ hoge
main ne kyun tark-e-talluq ki jasarat ki hai
tum agar ghaur karoge to pashiman hoge
maiñ kyā jānūñ gharoñ kā haal kyā hai
maiñ saarī zindagī bāhar rahā huuñ
main kya jaanun gharon ka haal kya hai
main sari zindagi bahar raha hun
-
Tag : Hijrat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na jaane kaisā masīhā thā chāhtā kyā thā
tamām shahr ko bīmār dekh kar ḳhush thā
na jaane kaisa masiha tha chahta kya tha
tamam shahr ko bimar dekh kar KHush tha
itnā bedāriyoñ se kaam na lo
dosto ḳhvāb bhī zarūrī hai
itna bedariyon se kaam na lo
dosto KHwab bhi zaruri hai
kuchh to apnī ḳhabar mile mujh ko
mere baare meñ kuchh kahā karnā
kuchh to apni KHabar mile mujh ko
mere bare mein kuchh kaha karna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jahāñ jahāñ bhī hai nahr-e-furāt kā imkāñ
vahīñ yazīd kā lashkar dikhā.ī detā hai
jahan jahan bhi hai nahr-e-furaat ka imkan
wahin yazid ka lashkar dikhai deta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zarā badlūñgā is be-manzarī ko
phir us ke baad mar jā.ūñgā maiñ bhī
zara badlunga is be-manzari ko
phir us ke baad mar jaunga main bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek ḳhabar hai tere liye
dil par patthar bhārī rakh
ek KHabar hai tere liye
dil par patthar bhaari rakh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pūchhā hai ġhair se mire hāl-e-tabāh ko
iz.hār-e-dostī bhī kiyā dushmanī ke saath
puchha hai ghair se mere haal-e-tabah ko
izhaar-e-dosti bhi kiya dushmani ke sath
apne hamrāh ḳhud chalā karnā
kaun aa.egā mat rukā karnā
apne hamrah KHud chala karna
kaun aaega mat ruka karna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
adā huā hai jo ik lafz be-asās na ho
mirā ḳhudā kahīñ merī tarah udaas na ho
ada hua hai jo ek lafz be-asas na ho
mera KHuda kahin meri tarah udas na ho
muztarib haiñ maujeñ kyuuñ uTh rahe haiñ tūfāñ kyuuñ
kyā kisī safīne ko ārzū-e-sāhil hai
Why are the waves so agitated, why do storms unfold?
Does a ship amidst the seas, seek the shores again?
muztarib hain maujen kyun uTh rahe hain tufan kyun
kya kisi safine ko aarzu-e-sahil hai
Why are the waves so agitated, why do storms unfold?
Does a ship amidst the seas, seek the shores again?
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
honā paḌā hai ḳhūgar-e-ġham bhī ḳhushī kī ḳhair
vo mujh pe mehrbāñ haiñ magar be-ruḳhī ke saath
hona paDa hai KHugar-e-gham bhi KHushi ki KHair
wo mujh pe mehrban hain magar be-ruKHi ke sath
mere us ke darmiyāñ haa.il ka.ī kohsār haiñ
mujh tak āte-āte bādal tishna-lab ho jā.egā
mere us ke darmiyan hail kai kohsar hain
mujh tak aate-ate baadal tishna-lab ho jaega
zindagī kī dauḌ meñ pīchhe na thā
rah gayā vo sirf do ik gaam se
zindagi ki dauD mein pichhe na tha
rah gaya wo sirf do ek gam se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab sipar DhūñD koī apne liye
tiir kam rah ga.e kamānoñ meñ
ab sipar DhunD koi apne liye
tir kam rah gae kamanon mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahīñ salīb kahīñ karbalā nazar aa.e
jidhar nigāh uThe zaḳhm sā nazar aa.e
kahin salib kahin karbala nazar aae
jidhar nigah uThe zaKHm sa nazar aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhālī haath nikal ghar se
zād-e-safar hushyārī rakh
KHali hath nikal ghar se
zad-e-safar hushyari rakh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jashn-e-bahār-e-nau hai nasheman kī ḳhair ho
uTThā hai kyuuñ chaman meñ dhuāñ raushnī ke saath
jashn-e-bahaar-e-nau hai nasheman ki KHair ho
uTTha hai kyun chaman mein dhuan raushni ke sath