Sher of Hafeez Banarasi
dushmanoñ kī jafā kā ḳhauf nahīñ
dostoñ kī vafā se Darte haiñ
I do nor fear injury from my enemies
what frightens me is my friend's fidelities
dushmanon ki jafa ka KHauf nahin
doston ki wafa se Darte hain
I do nor fear injury from my enemies
what frightens me is my friend's fidelities
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gumshudgī hī asl meñ yaaro rāh-numā.ī kartī hai
raah dikhāne vaale pahle barsoñ raah bhaTakte haiñ
gumshudgi hi asl mein yaro rah-numai karti hai
rah dikhane wale pahle barson rah bhaTakte hain
-
Tag : Motivational
us dushman-e-vafā ko duā de rahā huuñ maiñ
merā na ho sakā vo kisī kā to ho gayā
us dushman-e-wafa ko dua de raha hun main
mera na ho saka wo kisi ka to ho gaya
ye kis maqām pe laa.ī hai zindagī ham ko
hañsī laboñ pe hai siine meñ ġham kā daftar hai
ye kis maqam pe lai hai zindagi hum ko
hansi labon pe hai sine mein gham ka daftar hai
-
Tag : Gham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phuul afsurda bulbuleñ ḳhāmosh
fasl gul aa.ī hai ḳhizāñ-bar-dosh
phul afsurda bulbulen KHamosh
fasl gul aai hai KHizan-bar-dosh
mile fursat to sun lenā kisī din
mirā qissa nihāyat muḳhtasar hai
mile fursat to sun lena kisi din
mera qissa nihayat muKHtasar hai
samajh ke aag lagānā hamāre ghar meñ tum
hamāre ghar ke barābar tumhārā bhī ghar hai
samajh ke aag lagana hamare ghar mein tum
hamare ghar ke barabar tumhaara bhi ghar hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har haqīqat hai ek husn 'hafīz'
aur har husn ik haqīqat hai
har haqiqat hai ek husn 'hafiz'
aur har husn ek haqiqat hai
sabhī ke diip sundar haiñ hamāre kyā tumhāre kyā
ujālā har taraf hai is kināre us kināre kyā
sabhi ke dip sundar hain hamare kya tumhaare kya
ujala har taraf hai is kinare us kinare kya
kisī kā ghar jale apnā hī ghar lage hai mujhe
vo haal hai ki ujāloñ se Dar lage hai mujhe
kisi ka ghar jale apna hi ghar lage hai mujhe
wo haal hai ki ujalon se Dar lage hai mujhe
ishq meñ mārka-e-qalb-o-nazar kyā kahiye
choT lagtī hai kahīñ dard kahīñ hotā hai
ishq mein marka-e-qalb-o-nazar kya kahiye
choT lagti hai kahin dard kahin hota hai
āsān nahīñ marhala-e-tark-e-vafā bhī
muddat huī ham is ko bhulāne meñ lage haiñ
aasan nahin marhala-e-tark-e-wafa bhi
muddat hui hum is ko bhulane mein lage hain
kuchh is ke sañvar jaane kī tadbīr nahīñ hai
duniyā hai tirī zulf-e-girah-gīr nahīñ hai
kuchh is ke sanwar jaane ki tadbir nahin hai
duniya hai teri zulf-e-girah-gir nahin hai
jo pardoñ meñ ḳhud ko chhupā.e hue haiñ
qayāmat vahī to uThā.e hue haiñ
jo pardon mein KHud ko chhupae hue hain
qayamat wahi to uThae hue hain
-
Tag : Naqab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kabhī ḳhirad kabhī dīvāngī ne luuT liyā
tarah tarah se hameñ zindagī ne luuT liyā
kabhi KHirad kabhi diwangi ne luT liya
tarah tarah se hamein zindagi ne luT liya
ik husn-e-tasavvur hai jo ziist kā sāthī hai
vo koī bhī manzil ho ham log nahīñ tanhā
ek husn-e-tasawwur hai jo zist ka sathi hai
wo koi bhi manzil ho hum log nahin tanha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chale chaliye ki chalnā hī dalīl-e-kāmrānī hai
jo thak kar baiTh jaate haiñ vo manzil pā nahīñ sakte
chale chaliye ki chalna hi dalil-e-kaamrani hai
jo thak kar baiTh jate hain wo manzil pa nahin sakte
-
Tag : Motivational
us se baḌh kar kiyā milegā aur in.ām-e-junūñ
ab to vo bhī kah rahe haiñ apnā dīvāna mujhe
us se baDh kar kiya milega aur inam-e-junun
ab to wo bhi kah rahe hain apna diwana mujhe
maiñ ne ābād kiye kitne hī vīrāne 'hafīz'
zindagī merī ik ujḌī huī mahfil hī sahī
main ne aabaad kiye kitne hi virane 'hafiz'
zindagi meri ek ujDi hui mahfil hi sahi
vo baat 'hafīz' ab nahīñ miltī kisī shai meñ
jalvoñ meñ kamī hai ki nigāhoñ meñ kamī hai
wo baat 'hafiz' ab nahin milti kisi shai mein
jalwon mein kami hai ki nigahon mein kami hai
kis muñh se kareñ un ke taġhāful kī shikāyat
ḳhud ham ko mohabbat kā sabaq yaad nahīñ hai
kis munh se karen un ke taghaful ki shikayat
KHud hum ko mohabbat ka sabaq yaad nahin hai
hisār-e-zāt ke dīvār-o-dar meñ qaid rahe
tamām umr ham apne hī ghar meñ qaid rahe
hisar-e-zat ke diwar-o-dar mein qaid rahe
tamam umr hum apne hi ghar mein qaid rahe
tadbīr ke dast-e-rañgīñ se taqdīr daraḳhshāñ hotī hai
qudrat bhī madad farmātī hai jab koshish-e-insāñ hotī hai
tadbir ke dast-e-rangin se taqdir daraKHshan hoti hai
qudrat bhi madad farmati hai jab koshish-e-insan hoti hai
-
Tag : Motivational
vafā nazar nahīñ aatī kahīñ zamāne meñ
vafā kā zikr kitāboñ meñ dekh lete haiñ
wafa nazar nahin aati kahin zamane mein
wafa ka zikr kitabon mein dekh lete hain
ek siitā kī rifāqat hai to sab kuchh paas hai
zindagī kahte haiñ jis ko raam kā ban-bās hai
ek sita ki rifaqat hai to sab kuchh pas hai
zindagi kahte hain jis ko ram ka ban-bas hai