Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Siraj Lakhnavi's Photo'

Siraj Lakhnavi

1894 - 1968 | Lucknow, India

Prominent pre-modern poet reflecting shades of modernity

Prominent pre-modern poet reflecting shades of modernity

Sher of Siraj Lakhnavi

4.3K
Favorite

SORT BY

āñkheñ khulīñ to jaag uThīñ hasrateñ tamām

us ko bhī kho diyā jise paayā thā ḳhvāb meñ

as my eyes did ope my yearnings did rebound

for I lost the person who in my dreams I found

aankhen khulin to jag uThin hasraten tamam

us ko bhi kho diya jise paya tha KHwab mein

as my eyes did ope my yearnings did rebound

for I lost the person who in my dreams I found

kahāñ haiñ aaj vo sham-e-vatan ke parvāne

bane haiñ aaj haqīqat unhīñ ke afsāne

kahan hain aaj wo sham-e-watan ke parwane

bane hain aaj haqiqat unhin ke afsane

aap ke paañv ke nīche dil hai

ik zarā aap ko zahmat hogī

aap ke panw ke niche dil hai

ek zara aap ko zahmat hogi

haañ tum ko bhuul jaane koshish kareñge ham

tum se bhī ho sake to na aanā ḳhayāl meñ

han tum ko bhul jaane ki koshish karenge hum

tum se bhi ho sake to na aana KHayal mein

ye aadhī raat ye kāfir añdherā

na sotā huuñ na jaagā rahā hai

ye aadhi raat ye kafir andhera

na sota hun na jaga ja raha hai

is soch meñ baiThe haiñ jhukā.e hue sar ham

uTThe tirī mahfil se to jā.eñge kidhar ham

is soch mein baiThe hain jhukae hue sar hum

uTThe teri mahfil se to jaenge kidhar hum

ishq banda bhī huuñ kāfir bhī huuñ momin bhī huuñ

aap dil jo gavāhī de vahī kah lījiye

ishq ka banda bhi hun kafir bhi hun momin bhi hun

aap ka dil jo gawahi de wahi kah lijiye

aag aur dhuāñ aur havas aur hai ishq aur

har hausla-e-dil ko mohabbat nahīñ kahte

aag aur dhuan aur hawas aur hai ishq aur

har hausla-e-dil ko mohabbat nahin kahte

qafas se duur sahī mausam-e-bahār to hai

asīro aao zarā zikr-e-āshiyāñ ho jaa.e

qafas se dur sahi mausam-e-bahaar to hai

asiro aao zara zikr-e-ashiyan ho jae

ik kāfir-e-mutlaq hai zulmat javānī bhī

be-rahm añdherā hai sham.eñ haiñ na parvāne

ek kafir-e-mutlaq hai zulmat ki jawani bhi

be-rahm andhera hai shamen hain na parwane

namāz-e-ishq paḌhī to magar ye hosh kise

kahāñ kahāñ kiye sajde kahāñ qayām kiyā

namaz-e-ishq paDhi to magar ye hosh kise

kahan kahan kiye sajde kahan qayam kiya

is dil meñ to ḳhizāñ havā tak nahīñ lagī

is phuul ko tabāh kiyā hai bahār ne

is dil mein to KHizan ki hawa tak nahin lagi

is phul ko tabah kiya hai bahaar ne

tujhe ke tujh se judā ho ga.e ham

kahāñ kho diyā ne kyā ho ga.e ham

tujhe pa ke tujh se juda ho gae hum

kahan kho diya tu ne kya ho gae hum

dam ghuTā jaatā hai mohabbat

band band guftugū hai abhī

dam ghuTa jata hai mohabbat ka

band hi band guftugu hai abhi

diyā hai dard to rañg-e-qubūl de aisā

jo ashk aañkh se Tapke vo dāstāñ ho jaa.e

diya hai dard to rang-e-qubul de aisa

jo ashk aankh se Tapke wo dastan ho jae

āñkhoñ par apnī rakh kar sāhil āstīñ ko

ham dil ke Dūbne par aañsū bahā rahe haiñ

aankhon par apni rakh kar sahil ki aastin ko

hum dil ke Dubne par aansu baha rahe hain

kuchh aur māñgnā mere mashrab meñ kufr hai

apnā haath de mire dast-e-savāl meñ

kuchh aur mangna mere mashrab mein kufr hai

la apna hath de mere dast-e-sawal mein

Takrā.ūñ kyuuñ zamāne se kyā fā.eda 'sirāj'

ḳhud apne rāste se haTā rahā huuñ maiñ

Takraun kyun zamane se kya faeda 'siraj'

KHud apne raste se haTa ja raha hun main

har nafs utnī lau degā 'sirāj'

jitnī jis dil meñ harārat hogī

har nafs utni hi lau dega 'siraj'

jitni jis dil mein hararat hogi

ḳhudā-vandā ye kaisī sub.h-e-ġham hai

ujāle meñ barastī hai siyāhī

KHuda-wanda ye kaisi subh-e-gham hai

ujale mein barasti hai siyahi

aah ye aañsū pyāre pyāre

likh de hisāb-e-ġham meñ hamāre

aah ye aansu pyare pyare

likh de hisab-e-gham mein hamare

na mohtasib ḳhushāmad na mai-kade tavāf

ḳhudī meñ mast huuñ apnī bahār meñ gum huuñ

na mohtasib ki KHushamad na mai-kade ka tawaf

KHudi mein mast hun apni bahaar mein gum hun

sajda-e-ishq pe tanqīd na kar ai vaa.iz

dekh māthe pe abhī chāñd numāyāñ hogā

sajda-e-ishq pe tanqid na kar ai waiz

dekh mathe pe abhi chand numayan hoga

raat bhar sham.a jalātā huuñ bujhātā huuñ 'sirāj'

baiThe baiThe yahī shaġhl-e-shab-e-tanhā.ī hai

raat bhar shama jalata hun bujhata hun 'siraj'

baiThe baiThe yahi shaghl-e-shab-e-tanhai hai

sotā rahā hoñToñ pe tabassum saverā

rah rah ke jagāte rahe taqdīr-e-sahar ham

sota raha honTon pe tabassum ka sawera

rah rah ke jagate rahe taqdir-e-sahar hum

ġhusl-e-tauba ke liye bhī nahīñ miltī hai sharāb

ab hameñ pyaas lagī hai to koī jaam nahīñ

ghusl-e-tauba ke liye bhi nahin milti hai sharab

ab hamein pyas lagi hai to koi jam nahin

vo bhiiḌ hai ki DhūñDhnā terā to darkinār

ḳhud khoyā rahā huuñ hujūm-e-ḳhayāl meñ

wo bhiD hai ki DhunDhna tera to darkinar

KHud khoya ja raha hun hujum-e-KHayal mein

ho gayā ā.ina-e-hāl bhī gard-ālūda

god meñ lāsha-e-māzi ko liye baiThā huuñ

ho gaya aaina-e-haal bhi gard-aluda

god mein lasha-e-mazi ko liye baiTha hun

baḌoñ-baḌoñ ke qadam Dagmagā.e jaate haiñ

paḌā hai kaam badalte hue zamāne se

baDon-baDon ke qadam Dagmagae jate hain

paDa hai kaam badalte hue zamane se

na sako to idhar aao poñchh duuñ aañsū

ye tum ne sun liye is dil ke sānehāt kahāñ

na pi sako to idhar aao ponchh dun aansu

ye tum ne sun liye is dil ke sanehat kahan

kam-zarf niyyat kyā pighlā huā lohā hai

bhar bhar ke chhalakte haiñ aksar yahī paimāne

kam-zarf ki niyyat kya pighla hua loha hai

bhar bhar ke chhalakte hain aksar yahi paimane

jaan shai mujhe ishq meñ kuchh qadr nahīñ

zindagī jaise kahīñ maiñ ne paḌī paa.ī hai

jaan si shai ki mujhe ishq mein kuchh qadr nahin

zindagi jaise kahin main ne paDi pai hai

jo ashk surḳh hai nāma-nigār hai dil

sukūt-e-shab meñ likhe rahe haiñ afsāne

jo ashk surKH hai nama-nigar hai dil ka

sukut-e-shab mein likhe ja rahe hain afsane

kaise phāñdegā baaġh dīvār

giraftār-e-rañg-o-bū hai abhī

kaise phandega bagh ki diwar

tu giraftar-e-rang-o-bu hai abhi

abhī rakkhā rahne do taaq par yūñhī āftāb aa.ina

ki abhī to merī nigāh meñ vahī merā māh-e-tamām hai

abhi rakkha rahne do taq par yunhi aaftab ka aaina

ki abhi to meri nigah mein wahi mera mah-e-tamam hai

zarb-ul-masal haiñ ab mirī mushkil-pasandiyāñ

suljhā ke har girah ko phir uljhā rahā huuñ maiñ

zarb-ul-masal hain ab meri mushkil-pasandiyan

suljha ke har girah ko phir uljha raha hun main

har ashk-e-surḳh hai dāmān-e-shab meñ aag phuul

baġhair sham.a ke bhī jal rahe haiñ parvāne

har ashk-e-surKH hai daman-e-shab mein aag ka phul

baghair shama ke bhi jal rahe hain parwane

ḳhabar rihā.ī mil chukī hai charāġh phūloñ ke jal rahe haiñ

magar baḌī tez raushnī hai qafas dar sūjhtā nahīñ hai

KHabar rihai ki mil chuki hai charagh phulon ke jal rahe hain

magar baDi tez raushni hai qafas ka dar sujhta nahin hai

hairān haiñ ab jaa.eñ kahāñ DhūñDne tum ko

ā.īna-e-idrāk meñ bhī tum nahīñ rahte

hairan hain ab jaen kahan DhunDne tum ko

aaina-e-idrak mein bhi tum nahin rahte

zarā dekho ye sarkash zarra-e-ḳhāk

falak chāñd bantā rahā hai

zara dekho ye sarkash zarra-e-KHak

falak ka chand banta ja raha hai

chamak shāyad abhī giitī ke zarroñ nahīñ dekhī

sitāre muskurāte kyuuñ haiñ zeb-e-āsmāñ ho kar

chamak shayad abhi giti ke zarron ki nahin dekhi

sitare muskuraate kyun hain zeb-e-asman ho kar

ḳhushā vo daur ki jab markaz-e-nigāh the ham

paḌā jo vaqt to ab koī rū-shanās nahīñ

KHusha wo daur ki jab markaz-e-nigah the hum

paDa jo waqt to ab koi ru-shanas nahin

charāġh sajda jalā ke dekho hai but-kada dafn zer-e-ka.aba

hudūd-e-islām ke andar ye sarhad-e-kāfirī milegī

charagh sajda jala ke dekho hai but-kada dafn zer-e-kaba

hudud-e-islam hi ke andar ye sarhad-e-kafiri milegi

chand tinkoñ salīqe se agar tartīb ho

bijliyoñ ko bhī tavāf-e-āshiyāñ karnā paḌe

chand tinkon ki saliqe se agar tartib ho

bijliyon ko bhi tawaf-e-ashiyan karna paDe

phir bhī peshānī-e-tūfāñ pe shikan baaqī hai

Dūbte vaqt bhī dekhā na kināra ham ne

phir bhi peshani-e-tufan pe shikan baqi hai

Dubte waqt bhi dekha na kinara hum ne

qafas bhī bigḌī huī shakl hai nasheman

ye ghar jo phir se sañvar jaa.e āshiyāñ ho jaa.e

qafas bhi bigDi hui shakl hai nasheman ki

ye ghar jo phir se sanwar jae aashiyan ho jae

lahū meñ Duubī hai tārīḳh-e-ḳhilqat-e-insāñ

abhī ye nasl hai shā.ista-e-hayāt kahāñ

lahu mein Dubi hai tariKH-e-KHilqat-e-insan

abhi ye nasl hai shaista-e-hayat kahan

ek ek se bhiik āñsuoñ maañg rahā huuñ

kis ne mujhe jhoñkā hai jahannam fazā meñ

ek ek se bhik aansuon ki mang raha hun

kis ne mujhe jhonka hai jahannam ki faza mein

ye ek laḌī ke sab chhiTke hue motī haiñ

ka.abe shāḳheñ haiñ bikhre hue but-ḳhāne

ye ek laDi ke sab chhiTke hue moti hain

kabe hi ki shaKHen hain bikhre hue but-KHane

aañsū haiñ kafan-posh sitāre haiñ kafan-rañg

lo chaak kiye dete haiñ dāmān-e-sahar ham

aansu hain kafan-posh sitare hain kafan-rang

lo chaak kiye dete hain daman-e-sahar hum

Recitation

Speak Now