Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Waseem Barelvi's Photo'

Waseem Barelvi

1940 | Bareilly, India

Popular poet having vast mass following.

Popular poet having vast mass following.

Sher of Waseem Barelvi

174.6K
Favorite

SORT BY

charāġh ghar ho mahfil ho ki mandir

havā ke paas koī maslahat nahīñ hotī

charagh ghar ka ho mahfil ka ho ki mandir ka

hawa ke pas koi maslahat nahin hoti

tum aa ga.e ho to kuchh chāñdnī bāteñ hoñ

zamīñ pe chāñd kahāñ roz roz utartā hai

how often does the moon condescend to come to earth

let us talk of love and joy now that you are here

tum aa gae ho to kuchh chandni si baaten hon

zamin pe chand kahan roz roz utarta hai

how often does the moon condescend to come to earth

let us talk of love and joy now that you are here

sabhī rishte gulāboñ tarah ḳhushbū nahīñ dete

kuchh aise bhī to hote haiñ jo kāñTe chhoḌ jaate haiñ

sabhi rishte gulabon ki tarah KHushbu nahin dete

kuchh aise bhi to hote hain jo kanTe chhoD jate hain

ġham aur hotā sun ke gar aate na vo 'vasīm'

achchhā hai mere haal un ko ḳhabar nahīñ

on knowing if she did not come the pain would be much worse

her ignorance of my condition is surely not a curse

gham aur hota sun ke gar aate na wo 'wasim'

achchha hai mere haal ki un ko KHabar nahin

on knowing if she did not come the pain would be much worse

her ignorance of my condition is surely not a curse

dukh apnā agar ham ko batānā nahīñ aatā

tum ko bhī to andāza lagānā nahīñ aatā

dukh apna agar hum ko batana nahin aata

tum ko bhi to andaza lagana nahin aata

maiñ ne chāhā hai tujhe aam se insāñ tarah

mirā ḳhvāb nahīñ hai jo bikhar jā.egā

main ne chaha hai tujhe aam se insan ki tarah

tu mera KHwab nahin hai jo bikhar jaega

apne chehre se jo zāhir hai chhupā.eñ kaise

terī marzī ke mutābiq nazar aa.eñ kaise

how do I hide the obvious, which from my face is clear

as you wish me to be seen, how do I thus appear

apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise

teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise

how do I hide the obvious, which from my face is clear

as you wish me to be seen, how do I thus appear

aaj lene de saaqī mujhe lene de

kal mirī raat ḳhudā jaane kahāñ guzregī

aaj pi lene de saqi mujhe ji lene de

kal meri raat KHuda jaane kahan guzregi

'vasīm' zehn banāte haiñ to vahī aḳhbār

jo le ke ek bhī achchhī ḳhabar nahīñ aate

'wasim' zehn banate hain to wahi aKHbar

jo le ke ek bhi achchhi KHabar nahin aate

shaam tak sub.h nazroñ se utar jaate haiñ

itne samjhautoñ pe jiite haiñ ki mar jaate haiñ

sham tak subh ki nazron se utar jate hain

itne samjhauton pe jite hain ki mar jate hain

aate aate mirā naam rah gayā

us ke hoñToñ pe kuchh kāñptā rah gayā

aate aate mera nam sa rah gaya

us ke honTon pe kuchh kanpta rah gaya

phuul to phuul haiñ āñkhoñ se ghire rahte haiñ

kāñTe be-kār hifāzat meñ lage rahte haiñ

phul to phul hain aankhon se ghire rahte hain

kanTe be-kar hifazat mein lage rahte hain

na paane se kisī ke hai na kuchh khone se matlab hai

ye duniyā hai ise to kuchh na kuchh hone se matlab hai

na pane se kisi ke hai na kuchh khone se matlab hai

ye duniya hai ise to kuchh na kuchh hone se matlab hai

tamām din talab raah dekhtī hogī

jo ḳhālī haath chale ho to ghar nahīñ jaanā

tamam din ki talab rah dekhti hogi

jo KHali hath chale ho to ghar nahin jaana

hoñToñ ko roz ik na.e dariyā aarzū

le jā.egī ye pyaas āvārgī kahāñ

honTon ko roz ek nae dariya ki aarzu

le jaegi ye pyas ki aawargi kahan

tum merī taraf dekhnā chhoḌo to batā.ūñ

har shaḳhs tumhārī taraf dekh rahā hai

tum meri taraf dekhna chhoDo to bataun

har shaKHs tumhaari hi taraf dekh raha hai

jhuuT ke aage pīchhe dariyā chalte haiñ

sach bolā to pyāsā maarā jā.egā

jhuT ke aage pichhe dariya chalte hain

sach bola to pyasa mara jaega

vo pūchhtā thā mirī aañkh bhīgne sabab

mujhe bahāna banānā bhī to nahīñ aayā

wo puchhta tha meri aankh bhigne ka sabab

mujhe bahana banana bhi to nahin aaya

inheñ to ḳhaak meñ milnā thā ki mere the

ye ashk kaun se ūñche gharāne vaale the

inhen to KHak mein milna hi tha ki mere the

ye ashk kaun se unche gharane wale the

kisī se koī bhī ummīd rakhnā chhoḌ kar dekho

to ye rishta nibhānā kis qadar āsān ho jaa.e

kisi se koi bhi ummid rakhna chhoD kar dekho

to ye rishta nibhana kis qadar aasan ho jae

rakh detā hai ke muqābil na.e sūraj

vo mere charāġhoñ se kahāñ bol rahā hai

rakh deta hai la la ke muqabil nae suraj

wo mere charaghon se kahan bol raha hai

jhuuT vaale kahīñ se kahīñ baḌh ga.e

aur maiñ thā ki sach boltā rah gayā

jhuT wale kahin se kahin baDh gae

aur main tha ki sach bolta rah gaya

jism chaah lakīroñ se adā kartā hai

ḳhaak samjhegā musavvir tirī añgḌā.ī ko

jism ki chah lakiron se ada karta hai

KHak samjhega musawwir teri angDai ko

aise rishte bharam rakhnā koī khel nahīñ

terā honā bhī nahīñ aur tirā kahlānā bhī

aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin

tera hona bhi nahin aur tera kahlana bhi

kabhī lafzoñ se ġhaddārī na karnā

ġhazal paḌhnā adākārī na karnā

kabhi lafzon se ghaddari na karna

ghazal paDhna adakari na karna

bhare makāñ bhī apnā nasha hai kyā jaane

sharāb-ḳhāne meñ rāteñ guzārne vaalā

bhare makan ka bhi apna nasha hai kya jaane

sharab-KHane mein raaten guzarne wala

kuchh hai ki jo ghar de nahīñ paatā hai kisī ko

varna koī aise to safar meñ nahīñ rahtā

kuchh hai ki jo ghar de nahin pata hai kisi ko

warna koi aise to safar mein nahin rahta

thake-hāre parinde jab basere ke liye lauTeñ

salīqa-mañd shāḳhoñ lachak jaanā zarūrī hai

thake-haare parinde jab basere ke liye lauTen

saliqa-mand shaKHon ka lachak jaana zaruri hai

āsmāñ itnī bulandī pe jo itrātā hai

bhuul jaatā hai zamīñ se nazar aatā hai

aasman itni bulandi pe jo itraata hai

bhul jata hai zamin se hi nazar aata hai

bahut se ḳhvāb dekhoge to āñkheñ

tumhārā saath denā chhoḌ deñgī

bahut se KHwab dekhoge to aankhen

tumhaara sath dena chhoD dengi

usī ko jiine haq hai jo is zamāne meñ

idhar lagtā rahe aur udhar ho jaa.e

usi ko jine ka haq hai jo is zamane mein

idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jae

raat to vaqt pāband hai Dhal jā.egī

dekhnā ye hai charāġhoñ safar kitnā hai

raat to waqt ki paband hai Dhal jaegi

dekhna ye hai charaghon ka safar kitna hai

maiñ is umiid pe Duubā ki bachā legā

ab is ke ba.ad mirā imtihān kyā legā

TRANSLATION

I drowned with the hope that you will rescue,

What bigger test can you possibly put me to.

Sagar Akbarabadi

main is umid pe Duba ki tu bacha lega

ab is ke baad mera imtihan kya lega

TRANSLATION

I drowned with the hope that you will rescue,

What bigger test can you possibly put me to.

Sagar Akbarabadi

maiñ bhī use khone hunar siikh na paayā

us ko bhī mujhe chhoḌ ke jaanā nahīñ aatā

main bhi use khone ka hunar sikh na paya

us ko bhi mujhe chhoD ke jaana nahin aata

jo mujh meñ tujh meñ chalā aa rahā hai barsoñ se

kahīñ hayāt isī fāsle naam na ho

jo mujh mein tujh mein chala aa raha hai barson se

kahin hayat isi fasle ka nam na ho

'vasīm' dekhnā muḌ muḌ ke vo usī taraf

kisī ko chhoḌ ke jaanā bhī to nahīñ aayā

'wasim' dekhna muD muD ke wo usi ki taraf

kisi ko chhoD ke jaana bhi to nahin aaya

mujhe paḌhtā koī to kaise paḌhtā

mire chehre pe tum likkhe hue the

mujhe paDhta koi to kaise paDhta

mere chehre pe tum likkhe hue the

vo mere ghar nahīñ aatā maiñ us ke ghar nahīñ jaatā

magar in ehtiyātoñ se ta.alluq mar nahīñ jaatā

wo mere ghar nahin aata main us ke ghar nahin jata

magar in ehtiyaton se talluq mar nahin jata

hamāre ghar patā pūchhne se kyā hāsil

udāsiyoñ koī shahriyat nahīñ hotī

hamare ghar ka pata puchhne se kya hasil

udasiyon ki koi shahriyat nahin hoti

koī ishāra dilāsā na koī va.ada magar

jab aa.ī shaam tirā intizār karne lage

koi ishaara dilasa na koi wada magar

jab aai sham tera intizar karne lage

mohabbat ke gharoñ ke kachche-pan ko ye kahāñ samjheñ

in āñkhoñ ko to bas aatā hai barsāteñ baḌī karnā

mohabbat ke gharon ke kachche-pan ko ye kahan samjhen

in aankhon ko to bas aata hai barsaten baDi karna

maiñ us ko puuj to saktā huuñ chhū nahīñ saktā

jo fāsloñ tarah mere saath rahtā hai

main us ko puj to sakta hun chhu nahin sakta

jo faslon ki tarah mere sath rahta hai

tire ḳhayāl ke hāthoñ kuchh aisā bikhrā huuñ

ki jaise bachcha kitābeñ idhar udhar kar de

tere KHayal ke hathon kuchh aisa bikhra hun

ki jaise bachcha kitaben idhar udhar kar de

tujhe paane koshish meñ kuchh itnā kho chukā huuñ maiñ

ki mil bhī agar jaa.e to ab milne ġham hogā

tujhe pane ki koshish mein kuchh itna kho chuka hun main

ki tu mil bhi agar jae to ab milne ka gham hoga

sharāfatoñ yahāñ koī ahmiyat nahīñ

kisī kuchh na bigāḌo to kaun Dartā hai

sharafaton ki yahan koi ahmiyat hi nahin

kisi ka kuchh na bigaDo to kaun Darta hai

maiñ us ko āñsuoñ se likh rahā huuñ

ki mere ba.ad koī paḌh na paa.e

main us ko aansuon se likh raha hun

ki mere baad koi paDh na pae

har shaḳhs dauḌtā hai yahāñ bhiiḌ taraf

phir ye bhī chāhtā hai use rāstā mile

har shaKHs dauDta hai yahan bhiD ki taraf

phir ye bhi chahta hai use rasta mile

vo ġham atā kiyā dil-e-dīvāna jal gayā

aisī bhī kyā sharāb ki paimāna jal gayā

wo gham ata kiya dil-e-diwana jal gaya

aisi bhi kya sharab ki paimana jal gaya

musalsal hādsoñ se bas mujhe itnī shikāyat hai

ki ye aañsū bahāne bhī to mohlat nahīñ dete

musalsal hadson se bas mujhe itni shikayat hai

ki ye aansu bahane ki bhi to mohlat nahin dete

usūloñ par jahāñ aañch aa.e Takrānā zarūrī hai

jo zinda ho to phir zinda nazar aanā zarūrī hai

usulon par jahan aanch aae Takrana zaruri hai

jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now