Sher on Women's Day
A woman is half the world. She is also a paragon of beauty as well as a symbol humility. She also stands out as a figure of strength and forbearance. In fact, the richness of her being cannot be ever exhausted in words. Some examples are here for you to appreciate the various facets of woman.
tire māthe pe ye āñchal bahut hī ḳhuub hai lekin
tū is āñchal se ik parcham banā letī to achchhā thā
EXPLANATION
यह शे’र इसरार-उल-हक़ मजाज़ के मशहूर अशआर में से एक है। माथे पे आँचल होने के कई मायने हैं। उदाहरण के लिए शर्म व लाज का होना, मूल्यों का रख रखाव होना आदि और भारतीय समाज में इन चीज़ों को नारी का शृंगार समझा जाता है। मगर जब नारी के इस शृंगार को पुरुष सत्तात्मक समाज में नारी की कमज़ोरी समझा जाता है तो नारी का व्यक्तित्व संकट में पड़ जाता है। इसी तथ्य को शायर ने अपने शे’र का विषय बनाया है। शायर नारी को सम्बोधित करते हुए कहते हैं कि यद्यपि तुम्हारे माथे पर शर्म व हया का आँचल ख़ूब लगता है मगर उसे अपनी कमज़ोरी मत बना। वक़्त का तक़ाज़ा है कि आप अपने इस आँचल से क्रांति का झंडा बनाएं और इस ध्वज को अपने अधिकारों के लिए उठाएं।
Shafaq Sopori
tere mathe pe ye aanchal bahut hi KHub hai lekin
tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha
EXPLANATION
यह शे’र इसरार-उल-हक़ मजाज़ के मशहूर अशआर में से एक है। माथे पे आँचल होने के कई मायने हैं। उदाहरण के लिए शर्म व लाज का होना, मूल्यों का रख रखाव होना आदि और भारतीय समाज में इन चीज़ों को नारी का शृंगार समझा जाता है। मगर जब नारी के इस शृंगार को पुरुष सत्तात्मक समाज में नारी की कमज़ोरी समझा जाता है तो नारी का व्यक्तित्व संकट में पड़ जाता है। इसी तथ्य को शायर ने अपने शे’र का विषय बनाया है। शायर नारी को सम्बोधित करते हुए कहते हैं कि यद्यपि तुम्हारे माथे पर शर्म व हया का आँचल ख़ूब लगता है मगर उसे अपनी कमज़ोरी मत बना। वक़्त का तक़ाज़ा है कि आप अपने इस आँचल से क्रांति का झंडा बनाएं और इस ध्वज को अपने अधिकारों के लिए उठाएं।
Shafaq Sopori
-
Tags: Auratand 3 more
aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā
jab jī chāhā maslā kuchlā jab jī chāhā dhutkār diyā
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya
beTiyāñ baap kī āñkhoñ meñ chhupe ḳhvāb ko pahchāntī haiñ
aur koī dūsrā is ḳhvāb ko paḌh le to burā māntī haiñ
beTiyan bap ki aankhon mein chhupe KHwab ko pahchanti hain
aur koi dusra is KHwab ko paDh le to bura manti hain
batā.ūñ kyā tujhe ai ham-nashīñ kis se mohabbat hai
maiñ jis duniyā meñ rahtā huuñ vo is duniyā kī aurat hai
bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai
main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai
ek aurat se vafā karne kā ye tohfa milā
jaane kitnī auratoñ kī bad-duā.eñ saath haiñ
ek aurat se wafa karne ka ye tohfa mila
jaane kitni auraton ki bad-duaen sath hain
shahr kā tabdīl honā shaad rahnā aur udaas
raunaqeñ jitnī yahāñ haiñ auratoñ ke dam se haiñ
shahr ka tabdil hona shad rahna aur udas
raunaqen jitni yahan hain auraton ke dam se hain
ek ke ghar kī ḳhidmat kī aur ek ke dil se mohabbat kī
donoñ farz nibhā kar us ne saarī umr ibādat kī
ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki
donon farz nibha kar us ne sari umr ibaadat ki
aurat ke ḳhudā do haiñ haqīqī o majāzī
par us ke liye koī bhī achchhā nahīñ hotā
aurat ke KHuda do hain haqiqi o majazi
par us ke liye koi bhi achchha nahin hota
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab kī āñkheñ girvī haiñ is nagrī meñ
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab ki aankhen girwi hain is nagri mein
-
Tags: Auratand 1 more
talāq de to rahe ho itāb-o-qahr ke saath
mirā shabāb bhī lauTā do merī mahr ke saath
talaq de to rahe ho itab-o-qahr ke sath
mera shabab bhi lauTa do meri mahr ke sath
vajūd-e-zan se hai tasvīr-e-kā.enāt meñ rañg
isī ke saaz se hai zindagī kā soz-e-darūñ
wajud-e-zan se hai taswir-e-kaenat mein rang
isi ke saz se hai zindagi ka soz-e-darun
tū aag meñ ai aurat zinda bhī jalī barsoñ
sāñche meñ har ik ġham ke chup-chāp Dhalī barsoñ
tu aag mein ai aurat zinda bhi jali barson
sanche mein har ek gham ke chup-chap Dhali barson
tamām paikar-e-badsūrtī hai mard kī zaat
mujhe yaqīñ hai ḳhudā mard ho nahīñ saktā
tamam paikar-e-badsurti hai mard ki zat
mujhe yaqin hai KHuda mard ho nahin sakta
aurat ko samajhtā thā jo mardoñ kā khilaunā
us shaḳhs ko dāmād bhī vaisā hī milā hai
aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilauna
us shaKHs ko damad bhi waisa hi mila hai
abhī raushan huā jaatā hai rasta
vo dekho ek aurat aa rahī hai
abhi raushan hua jata hai rasta
wo dekho ek aurat aa rahi hai
raushnī bhī nahīñ havā bhī nahīñ
maañ kā nemul-badal ḳhudā bhī nahīñ
raushni bhi nahin hawa bhi nahin
man ka nemul-badal KHuda bhi nahin
ye auratoñ meñ tavā.if to DhūñD letī haiñ
tavā.ifoñ meñ inheñ aurteñ nahīñ miltīñ
ye auraton mein tawaif to DhunD leti hain
tawaifon mein inhen aurten nahin miltin
aurat apnā aap bachā.e tab bhī mujrim hotī hai
aurat apnā aap gañvā.e tab bhī mujrim hotī hai
aurat apna aap bachae tab bhi mujrim hoti hai
aurat apna aap ganwae tab bhi mujrim hoti hai
aurteñ kaam pe niklī thiiñ badan ghar rakh kar
jism ḳhālī jo nazar aa.e to mard aa baiThe
aurten kaam pe nikli thin badan ghar rakh kar
jism KHali jo nazar aae to mard aa baiThe
aurat huuñ magar sūrat-e-kohsār khaḌī huuñ
ik sach ke tahaffuz ke liye sab se laḌī huuñ
aurat hun magar surat-e-kohsar khaDi hun
ek sach ke tahaffuz ke liye sab se laDi hun
tum bhī āḳhir ho mard kyā jaano
ek aurat kā dard kyā jaano
tum bhi aaKHir ho mard kya jaano
ek aurat ka dard kya jaano
yahāñ kī auratoñ ko ilm kī parvā nahīñ be-shak
magar ye shauharoñ se apne be-parvā nahīñ hotīñ
yahan ki auraton ko ilm ki parwa nahin be-shak
magar ye shauharon se apne be-parwa nahin hotin
aurat ho tum to tum pe munāsib hai chup raho
ye bol ḳhāndān kī izzat pe harf hai
aurat ho tum to tum pe munasib hai chup raho
ye bol KHandan ki izzat pe harf hai
hai kāmyābī-e-mardāñ meñ haath aurat kā
magar tū ek hī aurat pe inhisār na kar
hai kaamyabi-e-mardan mein hath aurat ka
magar tu ek hi aurat pe inhisar na kar
maanā jīvan meñ aurat ik baar mohabbat kartī hai
lekin mujh ko ye to batā de kyā tū aurat zaat nahīñ
mana jiwan mein aurat ek bar mohabbat karti hai
lekin mujh ko ye to bata de kya tu aurat zat nahin
dekh kar shā.ir ne us ko nukta-e-hikmat kahā
aur be-soche zamāne ne use ''aurat'' kahā
dekh kar shair ne us ko nukta-e-hikmat kaha
aur be-soche zamane ne use aurat kaha
ḳhud pe ye zulm gavārā nahīñ hogā ham se
ham to sho.aloñ se na guzreñge na siitā samjheñ
KHud pe ye zulm gawara nahin hoga hum se
hum to shoalon se na guzrenge na sita samjhen
ḳhudā ne gaḌ.h to diyā ālam-e-vajūd magar
sajāvaToñ kī binā auratoñ kī zaat huī
KHuda ne gaDh to diya aalam-e-wajud magar
sajawaTon ki bina auraton ki zat hui
qissa-e-ādam meñ ek aur hī vahdat paidā kar lī hai
maiñ ne apne andar apnī aurat paidā kar lī hai
qissa-e-adam mein ek aur hi wahdat paida kar li hai
main ne apne andar apni aurat paida kar li hai
jis ko tum kahte ho ḳhush-baḳht sadā hai mazlūm
jiinā har daur meñ aurat kā ḳhatā hai logo
jis ko tum kahte ho KHush-baKHt sada hai mazlum
jina har daur mein aurat ka KHata hai logo
nikal ke ḳhuld se un ko milī ḳhilāfat-e-arz
nikāle jaane kī tohmat hamāre sar aa.ī
nikal ke KHuld se un ko mili KHilafat-e-arz
nikale jaane ki tohmat hamare sar aai
show-case meñ rakkhā huā aurat kā jo but hai
gūñgā hī sahī phir bhī dil-āvez bahut hai
show-case mein rakkha hua aurat ka jo but hai
gunga hi sahi phir bhi dil-awez bahut hai