Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Khayal's Photo'

Ahmad Khayal

1979

Sher of Ahmad Khayal

1K
Favorite

SORT BY

mahakte phuul sitāre damaktā chāñd dhanak

tire jamāl se kitnoñ ne istifāda kyā

mahakte phul sitare damakta chand dhanak

tere jamal se kitnon ne istifada kya

ye bhī ejaaz mujhe ishq ne baḳhshā thā kabhī

us āvāz se maiñ diip jalā saktā thā

ye bhi ejaz mujhe ishq ne baKHsha tha kabhi

us ki aawaz se main dip jala sakta tha

havā ke haath pe chhāle haiñ aaj tak maujūd

mire charāġh lau meñ kamāl aisā thā

hawa ke hath pe chhaale hain aaj tak maujud

mere charagh ki lau mein kamal aisa tha

maiñ thā sadiyoñ ke safar meñ 'ahmad'

aur sadiyoñ safar thā mujh meñ

main tha sadiyon ke safar mein 'ahmad'

aur sadiyon ka safar tha mujh mein

ain mumkin hai ki bīnā.ī mujhe dhoka de

ye jo shabnam hai sharāra bhī to ho saktā hai

ain mumkin hai ki binai mujhe dhoka de

ye jo shabnam hai sharara bhi to ho sakta hai

ye bhī tirī shikast nahīñ hai to aur kyā

jaisā chāhtā thā maiñ vaisā nahīñ banā

ye bhi teri shikast nahin hai to aur kya

jaisa tu chahta tha main waisa nahin bana

koī hairat hai na is baat ronā hai hameñ

ḳhaak se uTThe haiñ so ḳhaak honā hai hameñ

koi hairat hai na is baat ka rona hai hamein

KHak se uTThe hain so KHak hi hona hai hamein

sukūt toḌne ehtimām karnā chāhiye

kabhī-kabhār ḳhud se bhī kalām karnā chāhiye

sukut toDne ka ehtimam karna chahiye

kabhi-kabhaar KHud se bhi kalam karna chahiye

tumhārī jiit meñ pinhāñ hai merī jiit kahīñ

tumhāre sāmne har baar hārtā huā maiñ

tumhaari jit mein pinhan hai meri jit kahin

tumhaare samne har bar haarta hua main

jo ye jaan hathelī pe liye phirtā hai

terā kirdār kahānī se nikal saktā hai

tu jo ye jaan hatheli pe liye phirta hai

tera kirdar kahani se nikal sakta hai

kisī darvesh ke hujre se abhī aayā huuñ

so tire hukm tāmīl nahīñ karnī mujhe

kisi darwesh ke hujre se abhi aaya hun

so tere hukm ki tamil nahin karni mujhe

vo sar uThā.e yahāñ se palaT gayā 'ahmad'

maiñ sar jhukā.e khaḌā huuñ savāl aisā thā

wo sar uThae yahan se palaT gaya 'ahmad'

main sar jhukae khaDa hun sawal aisa tha

vo zahr hai fazāoñ meñ ki aadmī baat kyā

havā saañs lenā bhī muhāl kar diyā gayā

wo zahr hai fazaon mein ki aadmi ki baat kya

hawa ka sans lena bhi muhaal kar diya gaya

koī to dasht samundar meñ Dhal gayā āḳhir

kisī ke hijr meñ ro ro ke bhar gayā thā maiñ

koi to dasht samundar mein Dhal gaya aaKHir

kisi ke hijr mein ro ro ke bhar gaya tha main

dasht meñ vādi-e-shādāb ko chhū kar aayā

maiñ khulī-āñkh hasīñ ḳhvāb ko chhū kar aayā

dasht mein wadi-e-shadab ko chhu kar aaya

main khuli-ankh hasin KHwab ko chhu kar aaya

mere kashkol meñ Daal aur zarā ijz ki maiñ

itnī ḳhairāt se aage nahīñ jaane vaalā

mere kashkol mein Dal aur zara ijz ki main

itni KHairaat se aage nahin jaane wala

vo de rahā thā talab se sivā sabhī ko 'ḳhayāl'

so maiñ ne dāman-e-dil aur kuchh kushāda kiyā

wo de raha tha talab se siwa sabhi ko 'KHayal'

so main ne daman-e-dil aur kuchh kushada kiya

dil kisī bazm meñ jaate machaltā hai 'ḳhayāl'

so tabī.at kahīñ be-zār nahīñ bhī hotī

dil kisi bazm mein jate hi machalta hai 'KHayal'

so tabiat kahin be-zar nahin bhi hoti

bas chand lamhe pesh-tar vo paañv dho ke palTā hai

aur nuur sailāb is aabjū meñ aa gayā

bas chand lamhe pesh-tar wo panw dho ke palTa hai

aur nur ka sailab sa is aabju mein aa gaya

dasht o junūñ silsila mere lahū meñ aa gayā

ye kis jagah pe maiñ tumhārī justujū meñ aa gayā

TRANSLATION

In my blood got embedded a chain of jungle and frenzy,

What is this place that I have arrived at, searching for thee.

Sagar Akbarabadi

dasht o junun ka silsila mere lahu mein aa gaya

ye kis jagah pe main tumhaari justuju mein aa gaya

TRANSLATION

In my blood got embedded a chain of jungle and frenzy,

What is this place that I have arrived at, searching for thee.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now