Sher of Azhar Adeeb
ham ne ghar kī salāmtī ke liye
ḳhud ko ghar se nikāl rakkhā hai
hum ne ghar ki salamti ke liye
KHud ko ghar se nikal rakkha hai
-
Tag : Ghar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tū apnī marzī ke sabhī kirdār aazmā le
mire baġhair ab tirī kahānī nahīñ chalegī
tu apni marzi ke sabhi kirdar aazma le
mere baghair ab teri kahani nahin chalegi
nikal aayā huuñ aage us jagah se
jahāñ se lauT jaanā chāhiye thā
nikal aaya hun aage us jagah se
jahan se lauT jaana chahiye tha
ham un kī aas pe umreñ guzār dete haiñ
vo mo.ajize jo kabhī rūnumā nahīñ hote
hum un ki aas pe umren guzar dete hain
wo moajize jo kabhi runuma nahin hote
zarā sī der tujhe aa.ina dikhāyā hai
zarā sī baat par itne ḳhafā nahīñ hote
zara si der tujhe aaina dikhaya hai
zara si baat par itne KHafa nahin hote
lahje aur āvāz meñ rakkhā jaatā hai
ab to zahr alfāz meñ rakkhā jaatā hai
lahje aur aawaz mein rakkha jata hai
ab to zahr alfaz mein rakkha jata hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
usī ne sab se pahle haar maanī
vahī sab se dilāvar lag rahā thā
usi ne sab se pahle haar mani
wahi sab se dilawar lag raha tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
samajh meñ aa to saktī hai sabā kī guftugū bhī
magar is ke liye ma.asūm honā lāzmī hai
samajh mein aa to sakti hai saba ki guftugu bhi
magar is ke liye masum hona lazmi hai
hameñ roko nahīñ ham ne bahut se kaam karne haiñ
kisī gul meñ mahaknā hai kisī bādal meñ rahnā hai
hamein roko nahin hum ne bahut se kaam karne hain
kisi gul mein mahakna hai kisi baadal mein rahna hai
maiñ us kā naam le baiThā thā ik din
zamāne ko bahāna chāhiye thā
main us ka nam le baiTha tha ek din
zamane ko bahana chahiye tha
ye shaḳhs jo tujhe aadhā dikhā.ī detā hai
is aadhe shaḳhs ko apnā banā ke dekh kabhī
ye shaKHs jo tujhe aadha dikhai deta hai
is aadhe shaKHs ko apna bana ke dekh kabhi
ek lamhe ko sahī us ne mujhe dekhā to hai
aaj kā mausam guzishta roz se achchhā to hai
ek lamhe ko sahi us ne mujhe dekha to hai
aaj ka mausam guzishta roz se achchha to hai
havā ko zid ki uḌā.egī dhuul har sūrat
hameñ ye dhun hai ki ā.īna saaf karnā hai
hawa ko zid ki uDaegi dhul har surat
hamein ye dhun hai ki aaina saf karna hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab bhī chāhūñ terā chehrā soch sakūñ
bas itnī sī baat mire imkān meñ rakh
jab bhi chahun tera chehra soch sakun
bas itni si baat mere imkan mein rakh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-ḳhvābī kab chhup saktī hai kājal se bhī
jāgne vaalī aañkh meñ laalī rah jaatī hai
be-KHwabi kab chhup sakti hai kajal se bhi
jagne wali aankh mein lali rah jati hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sub.h kaisī hai vahāñ shaam kī rañgat kyā hai
ab tire shahr meñ hālāt kī sūrat kyā hai
subh kaisi hai wahan sham ki rangat kya hai
ab tere shahr mein haalat ki surat kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī kī zaat meñ zam ho gayā huuñ
maiñ apne aap meñ ġham ho gayā huuñ
kisi ki zat mein zam ho gaya hun
main apne aap mein gham ho gaya hun
is liye maiñ ne muhāfiz nahīñ rakkhe apne
mire dushman mire is jism se bāhar kam haiñ
is liye main ne muhafiz nahin rakkhe apne
mere dushman mere is jism se bahar kam hain
der lagtī hai bahut lauT ke aate aate
aur vo itne meñ hameñ bhuul chukā hotā hai
der lagti hai bahut lauT ke aate aate
aur wo itne mein hamein bhul chuka hota hai
saare manzar meñ samāyā huā lagtā hai mujhe
koī is shahr meñ aayā huā lagtā hai mujhe
sare manzar mein samaya hua lagta hai mujhe
koi is shahr mein aaya hua lagta hai mujhe
logo ham to ek hī sūrat meñ hathiyār uThāte haiñ
jab dushman ho apne jaisā ḳhud-sar bhī aur ham-sar bhī
logo hum to ek hi surat mein hathiyar uThate hain
jab dushman ho apne jaisa KHud-sar bhi aur ham-sar bhi
ai shahr-e-sitam chhoḌ ke jaate hue logo
ab raah meñ koī bhī madīna nahīñ aatā
ai shahr-e-sitam chhoD ke jate hue logo
ab rah mein koi bhi madina nahin aata
maiñ jis lamhe ko zinda kar rahā huuñ muddatoñ se
vahī lamha mirā inkār karnā chāhtā hai
main jis lamhe ko zinda kar raha hun muddaton se
wahi lamha mera inkar karna chahta hai
jo zindagī kī maañg sajāte rahe sadā
qistoñ meñ baañT kar unheñ jiinā diyā gayā
jo zindagi ki mang sajate rahe sada
qiston mein banT kar unhen jina diya gaya
donoñ hāthoñ se chhupā rakkhā hai muñh
aa.ine ke vaar se Dartā huuñ maiñ
donon hathon se chhupa rakkha hai munh
aaine ke war se Darta hun main
kabhī us se duā kī khetiyāñ sairāb karnā
jo paanī aañkh ke andar kahīñ Thahrā huā hai
kabhi us se dua ki khetiyan sairab karna
jo pani aankh ke andar kahin Thahra hua hai
itnā bhī inhisār mire saa.e par na kar
kyā jaane kab ye mom kī dīvār gir paḌe
itna bhi inhisar mere sae par na kar
kya jaane kab ye mom ki diwar gir paDe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamāre naam kī taḳhtī bhī un pe lag na sakī
lahū meñ gūñdh ke miTTī jo ghar banā.e ga.e
hamare nam ki taKHti bhi un pe lag na saki
lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banae gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shab bhar aañkh meñ bhīgā thā
puure din meñ sūkhā ḳhvāb
shab bhar aankh mein bhiga tha
pure din mein sukha KHwab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj nikle yaad kī zambīl se
mor ke TuuTe hue do chaar par
aaj nikle yaad ki zambil se
mor ke TuTe hue do chaar par
dasht-e-shab meñ patā hī nahīñ chal sakā
apnī āñkheñ ga.iiñ yā sitāre ga.e
dasht-e-shab mein pata hi nahin chal saka
apni aankhen gain ya sitare gae
use bām-e-pazīrā.ī pe kaise chhoḌ duuñ ab
yahī tanhā.ī to mere liye sīḌhī banī hai
use baam-e-pazirai pe kaise chhoD dun ab
yahi tanhai to mere liye siDhi bani hai
ġhazal us ke liye kahte haiñ lekin dar-haqīqat ham
ghane jañgal meñ kirnoñ ke liye rasta banāte haiñ
ghazal us ke liye kahte hain lekin dar-haqiqat hum
ghane jangal mein kirnon ke liye rasta banate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mere hare vajūd se pahchān us kī thī
be-chehra ho gayā hai vo jab se jhaḌā huuñ maiñ
mere hare wajud se pahchan us ki thi
be-chehra ho gaya hai wo jab se jhaDa hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download