Sher of Dr. Jafar Askari
niiñd aatī hī nahīñ thī āgahī ke dard se
maut ne āġhosh meñ le kar sulāyā hai mujhe
nind aati hi nahin thi aagahi ke dard se
maut ne aaghosh mein le kar sulaya hai mujhe
chhīn letī hai aadmī kā vaqār
muflisī bhī 'azāb hai yaaro
chhin leti hai aadmi ka waqar
muflisi bhi 'azab hai yaro
mullā tirī akaḌ se ye hone lagā gumān
jaise ḳhudā zamīñ pe numūdār ho gayā
mulla teri akaD se ye hone laga guman
jaise KHuda zamin pe numudar ho gaya
ik maañ ke dam se ziist meñ raunaq thī barqarār
ab vo nahīñ to raunaq-e-bazm-e-jahāñ nahīñ
ek man ke dam se zist mein raunaq thi barqarar
ab wo nahin to raunaq-e-bazm-e-jahan nahin
barsāt muflisoñ kī sadā se raqīb hai
kachche makān girne kā mausam 'ajīb hai
barsat muflison ki sada se raqib hai
kachche makan girne ka mausam 'ajib hai
maz.hab se us ke dil meñ na paidā huā gudāz
ye aadmī to aur bhī saffāk ho gayā
mazhab se us ke dil mein na paida hua gudaz
ye aadmi to aur bhi saffak ho gaya
chhānī hai ḳhaak ham ne bahut kū-e-yār kī
'jā’far' is 'āshiqī se kisī ko amaañ nahīñ
chhani hai KHak hum ne bahut ku-e-yar ki
'ja’far' is 'ashiqi se kisi ko aman nahin
ab 'ishq meñ chhupī huī lālach hai dahr kī
majnūñ bhī is zamāne kā chālāk ho gayā
ab 'ishq mein chhupi hui lalach hai dahr ki
majnun bhi is zamane ka chaalak ho gaya
ye shab-e-ġham ye merī tanhā.ī
is rifāqat kā kaun saanī hai
ye shab-e-gham ye meri tanhai
is rifaqat ka kaun sani hai
tasādum dekh kar afkār-e-nau kā jahl-e-daurāñ se
suḳhan raushan-ḳhayālī kā sunānā saḳht mushkil hai
tasadum dekh kar afkar-e-nau ka jahl-e-dauran se
suKHan raushan-KHayali ka sunana saKHt mushkil hai
miT jā.egī vatan se jahālat kī tīrgī
vo dekh inqalāb kā sūraj qarīb hai
miT jaegi watan se jahaalat ki tirgi
wo dekh inqalab ka suraj qarib hai