Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ehya Bhojpuri's Photo'

Ehya Bhojpuri

1977 | Dubai, UAE

Sher of Ehya Bhojpuri

1.1K
Favorite

SORT BY

bachchoñ ko bhūke peT sulāne ke baad ham

kaise ġhazal ke sher sunā.eñ jahāñ-panāh

bachchon ko bhuke peT sulane ke baad hum

kaise ghazal ke sher sunaen jahan-panah

ḳhud par kisī ko hañsne mauqa nahīñ diyā

pūchhā kisī ne haal to cigarette jalā liyā

KHud par kisi ko hansne ka mauqa nahin diya

puchha kisi ne haal to cigarette jala liya

milā hai taḳht jo jamhūriyat meñ bandar ko

to un se kyā sabhī jañgal ke sher Dar jaa.eñ

mila hai taKHt jo jamhuriyat mein bandar ko

to un se kya sabhi jangal ke sher Dar jaen

aa jaate ho ḳhvāb meñ har shab

tum mirā kitnā dhyān rakhte ho

aa hi jate ho KHwab mein har shab

tum mera kitna dhyan rakhte ho

nazar utārtī haiñ vaqt vaqt par merī

milī haiñ maaoñ ko bīnā.iyāñ ajīb-o-ġharīb

nazar utarti hain waqt waqt par meri

mili hain maon ko binaiyan ajib-o-gharib

jalā.e merī cigarette mirī ayādat par

ye merā dost bhī hai kā.iyāñ ajīb-o-ġharīb

jalae meri hi cigarette meri ayaadat par

ye mera dost bhi hai kaiyan ajib-o-gharib

mirā ghar jalāne vaale mujhe fikr hai tirī bhī

ki havā ruḳh jo badlā tirā ghar bhī jal na jaa.e

mera ghar jalane wale mujhe fikr hai teri bhi

ki hawa ka ruKH jo badla tera ghar bhi jal na jae

kaam kuchh to kījiye apnī baqā k vāste

inqilābī naam se to inqalāb aatā nahīñ

kaam kuchh to kijiye apni baqa k waste

inqilabi nam se to inqalab aata nahin

sukūn kitnā thā jhoñpaḌī meñ

mahal meñ aa kar patā chalā hai

sukun kitna tha jhonpaDi mein

mahal mein aa kar pata chala hai

yuuñ to laḌā.ī-jhagḌe aadat nahīñ mujhe

phir bhī ġhalat kiyā thā garebān chhoḌ kar

yun to laDai-jhagDe ki aadat nahin mujhe

phir bhi ghalat kiya tha gareban chhoD kar

ḳhushbū bikhernā mirī fitrat hai dosto

ḳhushbū bikhertā huuñ maiñ gul-dān chhoḌ kar

KHushbu bikherna meri fitrat hai dosto

KHushbu bikherta hun main gul-dan chhoD kar

aatā nahīñ adū se yaarī mujhe nibhānā

miltā nahīñ vo dil se phir haath kyā milānā

aata nahin adu se yari mujhe nibhana

milta nahin wo dil se phir hath kya milana

ye kyā ki har vaqt jī-huzūrī meñ sar jhukā.e khaḌe ho 'ahyā'

agar baġhāvat par tumhārā bhī phaḌphaḌā.e to sar uThāo

ye kya ki har waqt ji-huzuri mein sar jhukae khaDe ho 'ahya'

agar baghawat ka par tumhaara bhi phaDphaDae to sar uThao

miTtī nahīñ tārīḳh se koī bhī ibārat

tārīḳh likhegī ki likhā kaaT rahe haiñ

miTti nahin tariKH se koi bhi ibarat

tariKH likhegi ki likha kaT rahe hain

sab hifāzat kar raheñ haiñ mustaqil dīvār

jab ki hamla ho rahā hai mustaqil buniyād par

sab hifazat kar rahen hain mustaqil diwar ki

jab ki hamla ho raha hai mustaqil buniyaad par

chain miltā hai tire shauq ko puurā kar ke

varna ai laḳht-e-jigar kaun kamāne nikle

chain milta hai tere shauq ko pura kar ke

warna ai laKHt-e-jigar kaun kamane nikle

khaTak rahā huuñ musalsal kisī āñkhoñ meñ

isī liye to nishāne pe baar baar huuñ maiñ

khaTak raha hun musalsal kisi ki aankhon mein

isi liye to nishane pe bar bar hun main

dil ke andar bhī chaar ḳhāne haiñ

koī kaise na bad-gumāñ hogā

dil ke andar bhi chaar KHane hain

koi kaise na bad-guman hoga

jis raushnī pe aks dār-o-madār hai

us raushnī ko kaun dikhā.egā aa.ina

jis raushni pe aks ka dar-o-madar hai

us raushni ko kaun dikhaega aaina

purāne pattoñ ko jhaaḌ denā na.e-naveloñ ko raah denā

ḳhudā k bande agar ye kār-e-ḳhudā nahīñ hai to aur kyā hai

purane patton ko jhaD dena nae-nawelon ko rah dena

KHuda k bande agar ye kar-e-KHuda nahin hai to aur kya hai

Recitation

Speak Now