Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hafeez Banarasi's Photo'

Hafeez Banarasi

1933 - 2008 | Banaras, India

Sher of Hafeez Banarasi

10.8K
Favorite

SORT BY

dushmanoñ jafā ḳhauf nahīñ

dostoñ vafā se Darte haiñ

I do nor fear injury from my enemies

what frightens me is my friend's fidelities

dushmanon ki jafa ka KHauf nahin

doston ki wafa se Darte hain

I do nor fear injury from my enemies

what frightens me is my friend's fidelities

ek siitā rifāqat hai to sab kuchh paas hai

zindagī kahte haiñ jis ko raam ban-bās hai

ek sita ki rifaqat hai to sab kuchh pas hai

zindagi kahte hain jis ko ram ka ban-bas hai

gumshudgī asl meñ yaaro rāh-numā.ī kartī hai

raah dikhāne vaale pahle barsoñ raah bhaTakte haiñ

gumshudgi hi asl mein yaro rah-numai karti hai

rah dikhane wale pahle barson rah bhaTakte hain

sabhī ke diip sundar haiñ hamāre kyā tumhāre kyā

ujālā har taraf hai is kināre us kināre kyā

sabhi ke dip sundar hain hamare kya tumhaare kya

ujala har taraf hai is kinare us kinare kya

chale chaliye ki chalnā dalīl-e-kāmrānī hai

jo thak kar baiTh jaate haiñ vo manzil nahīñ sakte

chale chaliye ki chalna hi dalil-e-kaamrani hai

jo thak kar baiTh jate hain wo manzil pa nahin sakte

kis muñh se kareñ un ke taġhāful shikāyat

ḳhud ham ko mohabbat sabaq yaad nahīñ hai

kis munh se karen un ke taghaful ki shikayat

KHud hum ko mohabbat ka sabaq yaad nahin hai

kabhī ḳhirad kabhī dīvāngī ne luuT liyā

tarah tarah se hameñ zindagī ne luuT liyā

kabhi KHirad kabhi diwangi ne luT liya

tarah tarah se hamein zindagi ne luT liya

vafā nazar nahīñ aatī kahīñ zamāne meñ

vafā zikr kitāboñ meñ dekh lete haiñ

wafa nazar nahin aati kahin zamane mein

wafa ka zikr kitabon mein dekh lete hain

tadbīr ke dast-e-rañgīñ se taqdīr daraḳhshāñ hotī hai

qudrat bhī madad farmātī hai jab koshish-e-insāñ hotī hai

tadbir ke dast-e-rangin se taqdir daraKHshan hoti hai

qudrat bhi madad farmati hai jab koshish-e-insan hoti hai

jo pardoñ meñ ḳhud ko chhupā.e hue haiñ

qayāmat vahī to uThā.e hue haiñ

jo pardon mein KHud ko chhupae hue hain

qayamat wahi to uThae hue hain

maiñ ne ābād kiye kitne vīrāne 'hafīz'

zindagī merī ik ujḌī huī mahfil sahī

main ne aabaad kiye kitne hi virane 'hafiz'

zindagi meri ek ujDi hui mahfil hi sahi

ishq meñ mārka-e-qalb-o-nazar kyā kahiye

choT lagtī hai kahīñ dard kahīñ hotā hai

ishq mein marka-e-qalb-o-nazar kya kahiye

choT lagti hai kahin dard kahin hota hai

ye kis maqām pe laa.ī hai zindagī ham ko

hañsī laboñ pe hai siine meñ ġham daftar hai

ye kis maqam pe lai hai zindagi hum ko

hansi labon pe hai sine mein gham ka daftar hai

us dushman-e-vafā ko duā de rahā huuñ maiñ

merā na ho sakā vo kisī to ho gayā

us dushman-e-wafa ko dua de raha hun main

mera na ho saka wo kisi ka to ho gaya

mile fursat to sun lenā kisī din

mirā qissa nihāyat muḳhtasar hai

mile fursat to sun lena kisi din

mera qissa nihayat muKHtasar hai

samajh ke aag lagānā hamāre ghar meñ tum

hamāre ghar ke barābar tumhārā bhī ghar hai

samajh ke aag lagana hamare ghar mein tum

hamare ghar ke barabar tumhaara bhi ghar hai

har haqīqat hai ek husn 'hafīz'

aur har husn ik haqīqat hai

har haqiqat hai ek husn 'hafiz'

aur har husn ek haqiqat hai

kisī ghar jale apnā ghar lage hai mujhe

vo haal hai ki ujāloñ se Dar lage hai mujhe

kisi ka ghar jale apna hi ghar lage hai mujhe

wo haal hai ki ujalon se Dar lage hai mujhe

kuchh is ke sañvar jaane tadbīr nahīñ hai

duniyā hai tirī zulf-e-girah-gīr nahīñ hai

kuchh is ke sanwar jaane ki tadbir nahin hai

duniya hai teri zulf-e-girah-gir nahin hai

hisār-e-zāt ke dīvār-o-dar meñ qaid rahe

tamām umr ham apne ghar meñ qaid rahe

hisar-e-zat ke diwar-o-dar mein qaid rahe

tamam umr hum apne hi ghar mein qaid rahe

āsān nahīñ marhala-e-tark-e-vafā bhī

muddat huī ham is ko bhulāne meñ lage haiñ

aasan nahin marhala-e-tark-e-wafa bhi

muddat hui hum is ko bhulane mein lage hain

vo baat 'hafīz' ab nahīñ miltī kisī shai meñ

jalvoñ meñ kamī hai ki nigāhoñ meñ kamī hai

wo baat 'hafiz' ab nahin milti kisi shai mein

jalwon mein kami hai ki nigahon mein kami hai

ik husn-e-tasavvur hai jo ziist sāthī hai

vo koī bhī manzil ho ham log nahīñ tanhā

ek husn-e-tasawwur hai jo zist ka sathi hai

wo koi bhi manzil ho hum log nahin tanha

us se baḌh kar kiyā milegā aur in.ām-e-junūñ

ab to vo bhī kah rahe haiñ apnā dīvāna mujhe

us se baDh kar kiya milega aur inam-e-junun

ab to wo bhi kah rahe hain apna diwana mujhe

phuul afsurda bulbuleñ ḳhāmosh

fasl gul aa.ī hai ḳhizāñ-bar-dosh

phul afsurda bulbulen KHamosh

fasl gul aai hai KHizan-bar-dosh

Recitation

Speak Now