Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hakeem Nasir's Photo'

Hakeem Nasir

1947 - 2007 | Karachi, Pakistan

Sher of Hakeem Nasir

3.7K
Favorite

SORT BY

aap kyā aa.e ki raushan sab añdhere ho ga.e

is qadar ghar meñ kabhī bhī raushnī dekhī na thī

aap kya aae ki raushan sab andhere ho gae

is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi

aap kyā aa.e ki ruḳhsat sab andhere ho ga.e

is qadar ghar meñ kabhī bhī raushnī dekhī na thī

aap kya aae ki ruKHsat sab andhere ho gae

is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi

ye tamāshā bhī ajab hai un ke uTh jaane ke baad

maiñ ne din meñ is se pahle tīrgī dekhī na thī

ye tamasha bhi ajab hai un ke uTh jaane ke baad

main ne din mein is se pahle tirgi dekhi na thi

do ghaḌī dard ne āñkhoñ meñ bhī rahne na diyā

ham to samjhe the baneñge ye sahāre aañsū

do ghaDi dard ne aankhon mein bhi rahne na diya

hum to samjhe the banenge ye sahaare aansu

vo jo kahtā thā ki 'nāsir' ke liye jiitā huuñ

us kyā jāniye kyā haal huā mere baad

wo jo kahta tha ki 'nasir' ke liye jita hun

us ka kya jaaniye kya haal hua mere baad

tumhāre baad ujāle bhī ho ga.e ruḳhsat

hamāre shahr manzar bhī gaañv jaisā hai

tumhaare baad ujale bhi ho gae ruKHsat

hamare shahr ka manzar bhi ganw jaisa hai

vo mujhe chhoḌ ke ik shaam ga.e the 'nāsir'

zindagī apnī usī shaam se aage na baḌhī

wo mujhe chhoD ke ek sham gae the 'nasir'

zindagi apni usi sham se aage na baDhi

mai-kashī gardish-e-ayyām se aage na baḌhī

merī madhoshī mire jaam se aage na baḌhī

mai-kashi gardish-e-ayyam se aage na baDhi

meri madhoshi mere jam se aage na baDhi

ghar meñ jo ik charāġh thā tum ne use bujhā diyā

koī kabhī charāġh ham ghar meñ na phir jalā sake

ghar mein jo ek charagh tha tum ne use bujha diya

koi kabhi charagh hum ghar mein na phir jala sake

pattharo aaj mire sar pe baraste kyuuñ ho

maiñ ne tum ko bhī kabhī apnā ḳhudā rakkhā hai

pattharo aaj mere sar pe baraste kyun ho

main ne tum ko bhi kabhi apna KHuda rakkha hai

us ke dil par bhī kaḌī ishq meñ guzrī hogī

naam jis ne bhī mohabbat sazā rakkhā hai

us ke dil par bhi kaDi ishq mein guzri hogi

nam jis ne bhi mohabbat ka saza rakkha hai

jab se ne mujhe dīvāna banā rakkhā hai

sañg har shaḳhs ne hāthoñ meñ uThā rakkhā hai

jab se tu ne mujhe diwana bana rakkha hai

sang har shaKHs ne hathon mein uTha rakkha hai

jis ne bhī mujhe dekhā hai patthar se navāzā

vo kaun haiñ phūloñ ke jinheñ haar mile haiñ

jis ne bhi mujhe dekha hai patthar se nawaza

wo kaun hain phulon ke jinhen haar mile hain

āsān kis qadar hai samajh lo mirā pata

bastī ke baad pahlā jo vīrāna aa.egā

aasan kis qadar hai samajh lo mera pata

basti ke baad pahla jo virana aaega

ye dard hai hamdam usī zālim nishānī

de mujh ko davā aisī ki ārām na aa.e

ye dard hai hamdam usi zalim ki nishani

de mujh ko dawa aisi ki aaram na aae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now