Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Hasrat Azimabadi

1727 - 1795 | Patna, India

Prominent Contemporary of Mir Taqi Mir who had written a Masnavi called 'Khwab e Hasrat'.

Prominent Contemporary of Mir Taqi Mir who had written a Masnavi called 'Khwab e Hasrat'.

Sher of Hasrat Azimabadi

588
Favorite

SORT BY

ishq meñ ḳhvāb ḳhayāl kise

na lagī aañkh jab se aañkh lagī

ishq mein KHwab ka KHayal kise

na lagi aankh jab se aankh lagi

bhar ke nazar yaar na dekhā kabhī

jab gayā aañkh bhar kar gayā

bhar ke nazar yar na dekha kabhi

jab gaya aankh hi bhar kar gaya

burā na maane to ik baat pūchhtā huuñ maiñ

kisī dil kabhī tujh se bhī ḳhush huā hargiz

bura na mane to ek baat puchhta hun main

kisi ka dil kabhi tujh se bhi KHush hua hargiz

haq adā karnā mohabbat bahut dushvār hai

haal bulbul sunā dekhā hai parvāne ko ham

haq ada karna mohabbat ka bahut dushwar hai

haal bulbul ka suna dekha hai parwane ko hum

zulf-e-kalmūñhī ko pyāre itnā bhī sar mat chaḌhā

be-mahābā muñh pe tere paañv kartī hai darāz

zulf-e-kalmunhi ko pyare itna bhi sar mat chaDha

be-mahaba munh pe tere panw karti hai daraaz

mai-kashī meñ rakhte haiñ ham mashrab-e-durd-e-sharāb

jām-e-mai chaltā jahāñ dekhā vahāñ par jam ga.e

mai-kashi mein rakhte hain hum mashrab-e-durd-e-sharab

jam-e-mai chalta jahan dekha wahan par jam gae

mat halāk itnā karo mujh ko malāmat kar kar

nek-nāmo tumheñ kyā mujh se hai bad-nām se kaam

mat halak itna karo mujh ko malamat kar kar

nek-namo tumhein kya mujh se hai bad-nam se kaam

mohabbat ek tarah nirī samājat hai

maiñ chhoḌūñ huuñ tirī ab justujū huā so huā

mohabbat ek tarah ki niri samajat hai

main chhoDun hun teri ab justuju hua so hua

kheleñ aapas meñ parī-chehra jahāñ zulfeñ khol

kaun pūchhe hai vahāñ hāl-e-pareshāñ merā

khelen aapas mein pari-chehra jahan zulfen khol

kaun puchhe hai wahan haal-e-pareshan mera

rahe hai naqsh mere chashm-o-dil par yuuñ tirī sūrat

musavvir nazar meñ jis tarah tasvīr phirtī hai

rahe hai naqsh mere chashm-o-dil par yun teri surat

musawwir ki nazar mein jis tarah taswir phirti hai

maiñ 'hasrat' mujtahid huuñ but-parastī tarīqat

na pūchho mujh ko kaisā kufr hai islām kyā hogā

main 'hasrat' mujtahid hun but-parasti ki tariqat ka

na puchho mujh ko kaisa kufr hai islam kya hoga

māḳhūz hoge shaiḳh-e-riyā-kār roz-e-hashr

paḌhte ho tum azaab āyāt be-tarah

maKHuz hoge shaiKH-e-riya-kar roz-e-hashr

paDhte ho tum azab ki aayat be-tarah

tā-abad ḳhālī rahe yā-rab diloñ meñ us

jo koī laave mire ghar us ke aane ḳhabar

ta-abad KHali rahe ya-rab dilon mein us ki ja

jo koi lawe mere ghar us ke aane ki KHabar

uThūñ dahshat se mahfil se us

itaab us hai har ik ham-nashīñ par

uThun dahshat se ta mahfil se us ki

itab us ka hai har ek ham-nashin par

ham na jāneñ kis taraf ka.aba hai aur kīdhar hai dair

ek rahtī hai yahī us dar pe jaane ḳhabar

hum na jaanen kis taraf kaba hai aur kidhar hai dair

ek rahti hai yahi us dar pe jaane ki KHabar

gul kabhū ham ko dikhātī hai kabhī sarv-o-saman

apne gul-rū bin hameñ kyā kyā khijātī hai bahār

gul kabhu hum ko dikhati hai kabhi sarw-o-saman

apne gul-ru bin hamein kya kya khijati hai bahaar

duniyā va diiñ ham ko kyā hosh

mast aa.e va be-ḳhabar ga.e ham

duniya ka wa din ka hum ko kya hosh

mast aae wa be-KHabar gae hum

sajda-gāh-e-barhaman aur shaiḳh haiñ dair-o-haram

mai-parastoñ ke liye buniyād mai-ḳhāne hue

sajda-gah-e-barhaman aur shaiKH hain dair-o-haram

mai-paraston ke liye buniyaad mai-KHane hue

saugand hai hasrat mujhe ejāz-e-suḳhan

ye sehr haiñ jaadū haiñ na ash.ār haiñ tere

saugand hai hasrat mujhe ejaz-e-suKHan ki

ye sehr hain jadu hain na ashaar hain tere

is jahāñ meñ sifat-e-ishq se mausūf haiñ ham

na karo aib hamāre hunar-e-zātī

is jahan mein sifat-e-ishq se mausuf hain hum

na karo aib hamare hunar-e-zati ka

nā-ḳhalaf bas-ki uThī ishq o junūñ aulād

koī ābād-kun-e-ḳhāna-e-zanjīr nahīñ

na-KHalaf bas-ki uThi ishq o junun ki aulad

koi aabaad-kun-e-KHana-e-zanjir nahin

zāhidā kis husn-e-gandum-e-gūñ pe hai terī nigāh

aaj merī nazar meñ gūna-e-ādam lagā

zahida kis husn-e-gandum-e-gun pe hai teri nigah

aaj tu meri nazar mein guna-e-adam laga

kāfir-e-ishq huuñ ai shaiḳh pe zinhār nahīñ

terī tasbīh ko nisbat mirī zunnār ke saath

kafir-e-ishq hun ai shaiKH pe zinhaar nahin

teri tasbih ko nisbat meri zunnar ke sath

azīzo tum na kuchh us ko kaho huā so huā

nipaT tund hai zālim ḳhū huā so huā

TRANSLATION

Friends! Don’t you say anything to her, whatever happened, happened,

For the nature of that tyrant is extremely violent, whatever happened, happened.

Sagar Akbarabadi

azizo tum na kuchh us ko kaho hua so hua

nipaT hi tund hai zalim ki KHu hua so hua

TRANSLATION

Friends! Don’t you say anything to her, whatever happened, happened,

For the nature of that tyrant is extremely violent, whatever happened, happened.

Sagar Akbarabadi

sāqiyā paiham pilā de mujh ko mālā-māl jaam

aayā huuñ yaañ maiñ azāb-e-hoshyārī khīñch kar

saqiya paiham pila de mujh ko mala-mal jam

aaya hun yan main azab-e-hoshyari khinch kar

nibhe thī aan unhoñ hamesha ishq meñ ḳhuub

tumhāre daur meñ merī gadā huiiñ āñkheñ

nibhe thi aan unhon ki hamesha ishq mein KHub

tumhaare daur mein meri gada huin aankhen

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now