Sher of Meena Kumari Naz
hañsī thamī hai in āñkhoñ meñ yuuñ namī kī tarah
chamak uThe haiñ andhere bhī raushnī kī tarah
hansi thami hai in aankhon mein yun nami ki tarah
chamak uThe hain andhere bhi raushni ki tarah
yuuñ terī rahguzar se dīvāna-vār guzre
kāñdhe pe apne rakh ke apnā mazār guzre
yun teri rahguzar se diwana-war guzre
kandhe pe apne rakh ke apna mazar guzre
ābla-pā koī is dasht meñ aayā hogā
varna āñdhī meñ diyā kis ne jalāyā hogā
aabla-pa koi is dasht mein aaya hoga
warna aandhi mein diya kis ne jalaya hoga
āġhāz to hotā hai anjām nahīñ hotā
jab merī kahānī meñ vo naam nahīñ hotā
aaghaz to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani mein wo nam nahin hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye na socho kal kyā ho
kaun kahe is pal kyā ho
ye na socho kal kya ho
kaun kahe is pal kya ho
ayādat hotī jaatī hai ibādat hotī jaatī hai
mire marne kī dekho sab ko aadat hotī jaatī hai
ayaadat hoti jati hai ibaadat hoti jati hai
mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jati hai
chāñd tanhā hai āsmāñ tanhā
dil milā hai kahāñ kahāñ tanhā
chand tanha hai aasman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha
ayādat ko aa.e shifā ho ga.ī
mirī ruuh tan se judā ho ga.ī
ayaadat ko aae shifa ho gai
meri ruh tan se juda ho gai
āñkhoñ ko dekhte hī bole
bin piye koī mad.hosh aayā
aankhon ko dekhte hi bole
bin piye koi madhosh aaya
kahīñ kahīñ koī taara kahīñ kahīñ jugnū
jo merī raat thī vo aap kā saverā hai
kahin kahin koi tara kahin kahin jugnu
jo meri raat thi wo aap ka sawera hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab chāhā iqrār kiyā hai jab chāhā inkār kiyā
dekho ham ne ḳhud hī se ye kaisā anokhā pyaar kiyā
jab chaha iqrar kiya hai jab chaha inkar kiya
dekho hum ne KHud hi se ye kaisa anokha pyar kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tere qadmoñ kī aahaT ko ye dil hai DhūñDtā har dam
har ik āvāz par ik thartharāhaT hotī jaatī hai
tere qadmon ki aahaT ko ye dil hai DhunDta har dam
har ek aawaz par ek thartharahaT hoti jati hai
dil toḌ diyā us ne ye kah ke nigāhoñ se
patthar se jo Takrā.e vo jaam nahīñ hotā
dil toD diya us ne ye kah ke nigahon se
patthar se jo Takrae wo jam nahin hota
-
Tag : Dil
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sham.a huuñ phuul huuñ yā ret pe qadmoñ kā nishāñ
aap ko haq hai mujhe jo bhī jī chāhe kah leñ
shama hun phul hun ya ret pe qadmon ka nishan
aap ko haq hai mujhe jo bhi ji chahe kah len
hañs hañs ke javāñ dil ke ham kyuuñ na chuneñ TukḌe
har shaḳhs kī qismat meñ in.aam nahīñ hotā
hans hans ke jawan dil ke hum kyun na chunen TukDe
har shaKHs ki qismat mein inam nahin hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
an-kahī an-sunī sī kuchh bāteñ
suune din aur ye sunsāñ rāteñ
an-kahi an-suni si kuchh baaten
sune din aur ye sunsan raaten
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na koī shahar na rasta na safar
muntashir zehn kī uljhī ghāteñ
na koi shahar na rasta na safar
muntashir zehn ki uljhi ghaten
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnā hī saudā kar baiThe
tum sā jo sabā-farosh aayā
apna hi sauda kar baiThe
tum sa jo saba-farosh aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab aañkh khulī ab hosh aayā
bahkā sā jab gul-posh aayā
ab aankh khuli ab hosh aaya
bahka sa jab gul-posh aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pūchhte ho to suno kaise basar hotī hai
raat ḳhairāt kī sadqe kī sahar hotī hai
puchhte ho to suno kaise basar hoti hai
raat KHairaat ki sadqe ki sahar hoti hai
kāñch ke TukḌe chune magar
tujh sā vo be-kal kyā ho
kanch ke TukDe chune magar
tujh sa wo be-kal kya ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download