Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Meer Hasan's Photo'

Meer Hasan

1717 - 1786 | Lucknow, India

Considered to be the foremost poet of masnavi

Considered to be the foremost poet of masnavi

Sher of Meer Hasan

19.1K
Favorite

SORT BY

ġhair ko tum na aañkh bhar dekho

kyā ġhazab karte ho idhar dekho

ghair ko tum na aankh bhar dekho

kya ghazab karte ho idhar dekho

bas gayā jab se yaar āñkhoñ meñ

tab se phūlī bahār āñkhoñ meñ

bas gaya jab se yar aankhon mein

tab se phuli bahaar aankhon mein

dostī kis se na thī kis se mujhe pyaar na thā

jab bure vaqt pe dekhā to koī yaar na thā

dosti kis se na thi kis se mujhe pyar na tha

jab bure waqt pe dekha to koi yar na tha

dil ko kis bū-qalamoñ jalve ne hai ḳhuun kiyā

ashk ā.ankhoñ se jo ye rañg-ba-rañg aate haiñ

dil ko kis bu-qalamon jalwe ne hai KHun kiya

ashk aaankhon se jo ye rang-ba-rang aate hain

Tuk dekh leñ chaman ko chalo lāla-zār tak

kyā jaane phir ji.eñ na ji.eñ ham bahār tak

Tuk dekh len chaman ko chalo lala-zar tak

kya jaane phir jien na jien hum bahaar tak

ham meñ ālam-e-akbar hue go jurm-e-saġhīr

maz.har-e-jalva-e-haq hazrat-e-insāñ haiñ ham

hum mein hi aalam-e-akbar hue go jurm-e-saghir

mazhar-e-jalwa-e-haq hazrat-e-insan hain hum

ā.īna ko kab ta.iiñ dikhlāoge jamāl

bāhar khaḌe haiñ kitne aur ummīd-vār bhī

aaina hi ko kab tain dikhlaoge jamal

bahar khaDe hain kitne aur ummid-war bhi

kyā shikva kareñ kunj-e-qafas dil-e-muztar

ham ne to chaman meñ bhī Tuk ārām na paayā

kya shikwa karen kunj-e-qafas ka dil-e-muztar

hum ne to chaman mein bhi Tuk aaram na paya

aur kuchh tohfa na thā jo laate ham tere niyāz

ek do aañsū the āñkhoñ meñ so bhar laa.eñ haiñ ham

aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz

ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum

dil-o-jāñ jo haiñ ye so apne nahīñ

samajhte haiñ in ko to ham aap

dil-o-jaan jo hain ye so apne nahin

samajhte hain in ko to hum aap ka

ham ko bhī dushmanī se tire kaam kuchh nahīñ

tujh ko agar hamāre nahīñ pyaar se ġharaz

hum ko bhi dushmani se tere kaam kuchh nahin

tujh ko agar hamare nahin pyar se gharaz

gar yahī tere ishāre haiñ to majlis se tirī

kui na kui aa ke uThā devegā go baiThe ham

gar yahi tere ishaare hain to majlis se teri

kui na kui aa ke uTha dewega go baiThe hum

shab-e-avval to tavaqqo pe tire va.ade ke

sahal hotī hai balā hotī hai par āḳhir-e-shab

shab-e-awwal to tawaqqo pe tere wade ke

sahal hoti hai bala hoti hai par aaKHir-e-shab

ġhair kahte haiñ ki ham baiThne deveñge na yaañ

ab to is zid se jo kuchh hove so ho baiThe ham

ghair kahte hain ki hum baiThne dewenge na yan

ab to is zid se jo kuchh howe so ho baiThe hum

naaqe se duur rah gayā āḳhir na qais

kahte na the ki paañv se mat khīñch ḳhaar ko

naqe se dur rah gaya aaKHir na qais tu

kahte na the ki panw se mat khinch KHar ko

na ġharaz mujh ko hai kāfir se na dīñ-dār se kaam

roz-o-shab hai mujhe us kākul-e-ḳhamdār se kaam

na gharaz mujh ko hai kafir se na din-dar se kaam

roz-o-shab hai mujhe us kakul-e-KHamdar se kaam

maiñ ne jo kahā mujh pe kyā kyā na sitam guzrā

bolā ki abe terā rote janam guzrā

main ne jo kaha mujh pe kya kya na sitam guzra

bola ki abe tera rote hi janam guzra

mire ā.īna-e-dil use manzūr thā lenā

jo ġhairoñ meñ kahā bhoñDā burā bad-rañg nākāra

mere aaina-e-dil ka use manzur tha lena

jo ghairon mein kaha bhonDa bura bad-rang nakara

ka.abe ko gayā chhoḌ ke kyuuñ dil ko ai shaiḳh

Tuk meñ samajhtā to sahī yaañ bhī to rab thā

kabe ko gaya chhoD ke kyun dil ko tu ai shaiKH

Tuk ji mein samajhta to sahi yan bhi to rab tha

mat poñchh abrū-e-araq-ālūd haath se

lāzim hai ehtiyāt ki hai āb-dār teġh

mat ponchh abru-e-araq-alud hath se

lazim hai ehtiyat ki hai aab-dar tegh

dikhā deñge chālākī hāthoñ nāseh

jo sābit junūñ se garebāñ rahegā

dikha denge chaalaki hathon ki naseh

jo sabit junun se gareban rahega

lagāyā mohabbat jab yaañ shajar

shajar lag gayā aur samar jal gayā

lagaya mohabbat ka jab yan shajar

shajar lag gaya aur samar jal gaya

darvāza go khulā hai ijābat par 'hasan'

ham kis kis aarzū ko ḳhudā se talab kareñ

darwaza go khula hai ijabat ka par 'hasan'

hum kis kis aarzu ko KHuda se talab karen

dair-o-ka.aba ko jaanā kuchh nahīñ lāzim ġharaz

jis taraf paa.ī ḳhabar us udhar ko uTh ga.e

dair-o-kaba hi ko jaana kuchh nahin lazim gharaz

jis taraf pai KHabar us ki udhar ko uTh gae

asar hove na hove par balā se to bahlegā

nikālā shaġhl tanhā.ī meñ maiñ nā-chār rone

asar howe na howe par bala se ji to bahlega

nikala shaghl tanhai mein main na-chaar rone ka

ḳhvāh ka.aba ho ki but-ḳhāna ġharaz ham se sun

jis taraf dil tabī.at ho udhar ko chaliye

KHwah kaba ho ki but-KHana gharaz hum se sun

jis taraf dil ki tabiat ho udhar ko chaliye

kar ke bismil na ne phir dekhā

bas isī ġham meñ jaan ham ne

kar ke bismil na tu ne phir dekha

bas isi gham mein jaan di hum ne

rahā dil meñ dil rahā tujh meñ

tis pe terā milāp ho na sakā

tu raha dil mein dil raha tujh mein

tis pe tera milap ho na saka

mar gayā hotā na hotī qahr meñ shāmil jo mehr

sehhat-e-dil is davā-e-mo'tadil ne ġharaz

mar gaya hota na hoti qahr mein shamil jo mehr

sehhat-e-dil is dawa-e-mo'tadil ne ki gharaz

maiñ to is Dar se kuchh nahīñ kahtā

mabādā udaas ho jaave

main to is Dar se kuchh nahin kahta

tu mabaada udas ho jawe

mānind-e-aks dekhā use aur na mil sake

kis se phir kaheñge ki roz-e-visāl thā

manind-e-aks dekha use aur na mil sake

kis ru se phir kahenge ki roz-e-visal tha

shaiḳh nek-o-bad-e-duḳhtar-e-raz kyā jaane

vo bichārī to tire paas na aa.ī na ga.ī

shaiKH tu nek-o-bad-e-duKHtar-e-raz kya jaane

wo bichaari to tere pas na aai na gai

duniyā hai sambhal ke dil lagānā

yaañ log ajab ajab mileñge

duniya hai sambhal ke dil lagana

yan log ajab ajab milenge

jab lage hoñge judā hazrat-e-dil ham ne kahā

phir bhī miliyegā kabhī ham se kahā qismat

jab lage honge juda hazrat-e-dil hum ne kaha

phir bhi miliyega kabhi hum se kaha ya qismat

jān-o-dil haiñ udaas se mere

uTh gayā kaun paas se mere

jaan-o-dil hain udas se mere

uTh gaya kaun pas se mere

bandā butoñ kis ke kahe se huā ye dil

haq taraf se kyā use ilhām kuchh huā

banda buton ka kis ke kahe se hua ye dil

haq ki taraf se kya use ilham kuchh hua

kahtā hai ki tujh ko paatā nahīñ kabhī ghar

ye jhuuT sach hai dekhūñ aaj apne ghar rahūñgā

kahta hai tu ki tujh ko pata nahin kabhi ghar

ye jhuT sach hai dekhun aaj apne ghar rahunga

ye dil kuchh aaphī ho jaatā hai band aur aaphī khultā hai

na maiñ qaid is ko kartā huuñ na maiñ āzād kartā huuñ

ye dil kuchh aaphi ho jata hai band aur aaphi khulta hai

na main qaid is ko karta hun na main aazad karta hun

tiir par tiir lage to bhī na paikāñ nikle

yārab is ghar meñ jo aave na vo mehmāñ nikle

tir par tir lage to bhi na paikan nikle

yarab is ghar mein jo aawe na wo mehman nikle

āsāñ na samajhiyo tum naḳhvat se paak honā

ik umr kho ke ham ne sīkhā hai ḳhaak honā

aasan na samajhiyo tum naKHwat se pak hona

ek umr kho ke hum ne sikha hai KHak hona

mohabbat rasta ajab garm thā

qadam jab dharā ḳhaak par jal gayā

mohabbat ka rasta ajab garm tha

qadam jab dhara KHak par jal gaya

taaki ibrat kareñ aur ġhair na dekheñ tujh ko

meñ aatā hai nikalvā.iye do-chār aañkh

taki ibrat karen aur ghair na dekhen tujh ko

ji mein aata hai nikalwaiye do-chaar ki aankh

maiñ bhī ik ma.anī-e-pechīda ajab thā ki 'hasan'

guftugū merī na pahuñchī kabhī taqrīr talak

main bhi ek mani-e-pechida ajab tha ki 'hasan'

guftugu meri na pahunchi kabhi taqrir talak

āshnā bevafā nahīñ hotā

bevafā āshnā nahīñ hotā

aashna bewafa nahin hota

bewafa aashna nahin hota

zulm kab tak kījiyegā is dil-e-nāshād par

ab to is bande pe Tuk kiije karam banda-navāz

zulm kab tak kijiyega is dil-e-nashad par

ab to is bande pe Tuk kije karam banda-nawaz

vo tāb-o-tavāñ kahāñ hai yārab

jo is dil-e-nā-tavāñ meñ tab thā

wo tab-o-tawan kahan hai yarab

jo is dil-e-na-tawan mein tab tha

naujavānī diid kar liije

apne mausam iid kar liije

naujawani ki did kar lije

apne mausam ki id kar lije

kyuuñ in dinoñ 'hasan' itnā jhaTak gayā hai

zālim kahīñ tirā dil kyā phir aTak gayā hai

kyun in dinon 'hasan' tu itna jhaTak gaya hai

zalim kahin tera dil kya phir aTak gaya hai

sadā aish daurāñ dikhātā nahīñ

gayā vaqt phir haath aatā nahīñ

sada aish dauran dikhata nahin

gaya waqt phir hath aata nahin

vasl hotā hai jin ko duniyā meñ

yārab aise bhī log hote haiñ

wasl hota hai jin ko duniya mein

yarab aise bhi log hote hain

Recitation

Speak Now