Sher of Mukesh Aalam
chāhne vaalo pyaar meñ thoḌī āzādī bhī lāzim hai
dekho merā phuul ziyāda dekh-bhāl se TuuT gayā
chahne walo pyar mein thoDi aazadi bhi lazim hai
dekho mera phul ziyaada dekh-bhaal se TuT gaya
mujhe duniyā ke ta.anoñ par kabhī ġhussa nahīñ aatā
nadī kī tah meñ jā ke saare patthar baiTh jaate haiñ
mujhe duniya ke tanon par kabhi ghussa nahin aata
nadi ki tah mein ja ke sare patthar baiTh jate hain
-
Tag : Nadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhaak huuñ uḌtā huuñ sach hai ki maiñ āvāra-mizāj
paanī hotā bhī to sailāb meñ dekhā jaatā
KHak hun uDta hun sach hai ki main aawara-mizaj
pani hota bhi to sailab mein dekha jata
kitnī bhī pyārī ho har ik shai se jī uktā jaatā hai
vaqt ke saath to chamkīle zevar bhī kaale paḌ jaate haiñ
kitni bhi pyari ho har ek shai se ji ukta jata hai
waqt ke sath to chamkile zewar bhi kale paD jate hain
aaj to aise bijlī chamkī bārish aa.ī khiḌkī bhīgī
jaise bādal khīñch rahā ho mere ashkoñ kī tasvīreñ
aaj to aise bijli chamki barish aai khiDki bhigi
jaise baadal khinch raha ho mere ashkon ki taswiren
use manāne meñ ham ne gañvā diyā us ko
ki shīsha TuuT gayā dhuul saaf karte hue
use manane mein hum ne ganwa diya us ko
ki shisha TuT gaya dhul saf karte hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek ujāle ne mujhe jaltā huā dekh liyā
varna maiñ ab bhī usī taab meñ dekhā jaatā
ek ujale ne mujhe jalta hua dekh liya
warna main ab bhi usi tab mein dekha jata
ġham kī dahshat-gardī meñ bhī dil ko khole rakkhā ham ne
varna is māhaul meñ shahroñ shahroñ taale paḌ jaate haiñ
gham ki dahshat-gardi mein bhi dil ko khole rakkha hum ne
warna is mahaul mein shahron shahron tale paD jate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bas ek pyaar ne sālim rakhā hameñ yaaro
raqīb mar ga.e ham meñ shigāf karte hue
bas ek pyar ne salim rakha hamein yaro
raqib mar gae hum mein shigaf karte hue
-
Tag : Raqeeb
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download