Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nadim Nadeem's Photo'

Nadim Nadeem

1994 | Kasganj, India

A new-generation poet known for expressing traditional and delicate emotions, especially love, in simple language.

A new-generation poet known for expressing traditional and delicate emotions, especially love, in simple language.

Sher of Nadim Nadeem

783
Favorite

SORT BY

in se ummīd na rakh haiñ ye siyāsat vaale

ye kisī se bhī mohabbat nahīñ karne vaale

in se ummid na rakh hain ye siyasat wale

ye kisi se bhi mohabbat nahin karne wale

savāl ye hai havā aa.ī kis ishāre par

charāġh kis ke bujhe ye savāl thoḌī hai

sawal ye hai hawa aai kis ishaare par

charagh kis ke bujhe ye sawal thoDi hai

par kaTe panchhiyoñ se pūchhte ho

tum meñ uḌne hausla hai kyā

par kaTe panchhiyon se puchhte ho

tum mein uDne ka hausla hai kya

phuul kitne udaas lagte haiñ

ai ḳhudā in ko titliyāñ de de

phul kitne udas lagte hain

ai KHuda in ko titliyan de de

us ne do lafz meñ jo bāteñ kahīñ thī mujh se

us ko maiñ sochne baiThūñ to zamāne lag jaa.eñ

us ne do lafz mein jo baaten kahin thi mujh se

us ko main sochne baiThun to zamane lag jaen

hijr-e-jānāñ meñ bhī aañsū nahīñ aa.e mere

ḳhushk sahrāoñ meñ barsāt kabhī to hogī

hijr-e-jaanan mein bhi aansu nahin aae mere

KHushk sahraon mein barsat kabhi to hogi

maiñ jis dariyā meñ kāñTā Dāltā thā

sunā hai ab vahāñ machhlī nahīñ hai

main jis dariya mein kanTa Dalta tha

suna hai ab wahan machhli nahin hai

vanvās nahīñ hote sabhī chaudah baras ke

kuchh log hamesha ko chale jaate haiñ van meñ

wanwas nahin hote sabhi chaudah baras ke

kuchh log hamesha ko chale jate hain wan mein

āvāz lagā.ī kabhī talvār girā.ī

āgāh kiyā ham ne use vaar se pahle

aawaz lagai kabhi talwar girai

aagah kiya hum ne use war se pahle

ai mire dost mire saath tirī yādoñ

ret itnī hai huā jaatā hai sahrā chehra

ai mere dost mere sath teri yaadon ki

ret itni hai hua jata hai sahra chehra

ik raat devī ke parastār haiñ ham log

detī hai misāleñ jo tire sāñvle-pan

ek raat ki dewi ke parastar hain hum log

deti hai misalen jo tere sanwle-pan ki

ham ne bhugtā hai pata hai hameñ kyā hai duniyā

sirf ik dāna-e-gandum sazā hai duniyā

hum ne bhugta hai pata hai hamein kya hai duniya

sirf ek dana-e-gandum ki saza hai duniya

thā safar ham pe musallat so hameñ chalnā thā

varna ye dil to ka.ī baar huā ruk jaate

tha safar hum pe musallat so hamein chalna tha

warna ye dil to kai bar hua ruk jate

dauḌtī hāñptī aa.ī thī udāsī mujh tak

mere siine se lagī aur zarā sustā.ī

dauDti hanpti aai thi udasi mujh tak

mere sine se lagi aur zara sustai

ek ham ḳhud ke haiñ ik ghar ke haiñ ik duniyā ke

tum agar bhī sakoge to hameñ chauthā.ī

ek hum KHud ke hain ek ghar ke hain ek duniya ke

tum agar pa bhi sakoge to hamein chauthai

ḳhamoshī khīñch ke laa.ī mujhe vujūd talak

vujūd khīñch ke laayā hai mujh ko taraf

KHamoshi khinch ke lai mujhe wujud talak

wujud khinch ke laya hai mujh ko la ki taraf

dīñ-dār log rab ko manāne meñ mast haiñ

darvesh apne nāchne gaane meñ mast haiñ

din-dar log rab ko manane mein mast hain

darwesh apne nachne gane mein mast hain

aah ko saaz banāte haiñ dukhoñ rut meñ

dil-shikasta haiñ par āvāz sañbhāle hue haiñ

aah ko saz banate hain dukhon ki rut mein

dil-shikasta hain par aawaz sanbhaale hue hain

kyā nayyā aur kaisā khevayyā chāhne vaalo Duub maro

in āñkhoñ ke dariyāoñ meñ aaj bhañvar bharpūr paḌe haiñ

kya nayya aur kaisa khewayya chahne walo Dub maro

in aankhon ke dariyaon mein aaj bhanwar bharpur paDe hain

badalte mausamoñ haath thāme chalne vaalo

sukūñ pahuñchā.egī tum ko shajar-kārī hamārī

badalte mausamon ka hath thame chalne walo

sukun pahunchaegi tum ko shajar-kari hamari

vahshat nahīñ hai raqs-e-masarrat hai dasht meñ

peḌoñ shakl meñ ye mire chār-sū ho tum

wahshat nahin hai raqs-e-masarrat hai dasht mein

peDon ki shakl mein ye mere chaar-su ho tum

bikhertā hai raushnī ridā-e-āsmāñ se vo

sitāre jaise oḌhnī meñ paḌ ga.e hoñ daaġh se

bikherta hai raushni rida-e-asman se wo

sitare jaise oDhni mein paD gae hon dagh se

prem-nagar meñ māñgne vaale bhūkoñ mar jaate haiñ

is bastī meñ khā nahīñ saktā koī chhīn-jhapaT ke

prem-nagar mein mangne wale bhukon mar jate hain

is basti mein kha nahin sakta koi chhin-jhapaT ke

maiñ huuñ vo hai sahrā hai

aur ik peḌ saayā hai

main hun wo hai sahra hai

aur ek peD ka saya hai

kaise kaise log vujūd zad meñ aa kar mar ga.e

is dariyā bheñT chaḌhe kaise kaise tairāk

kaise kaise log wujud ki zad mein aa kar mar gae

is dariya ki bhenT chaDhe kaise kaise tairak

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now