Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rajinder Manchanda Bani's Photo'

Rajinder Manchanda Bani

1932 - 1981 | Delhi, India

One of the most powerful voices of the post-independence Urdu ghazal

One of the most powerful voices of the post-independence Urdu ghazal

TOP 20 SHAYARI of Rajinder Manchanda Bani

vo TūTte hue rishtoñ husn-e-āḳhir thā

ki chup lag ga.ī donoñ ko baat karte hue

wo TuTte hue rishton ka husn-e-aKHir tha

ki chup si lag gai donon ko baat karte hue

ai dost maiñ ḳhāmosh kisī Dar se nahīñ thā

qaa.il tirī baat andar se nahīñ thā

ai dost main KHamosh kisi Dar se nahin tha

qail hi teri baat ka andar se nahin tha

os se pyaas kahāñ bujhtī hai

mūslā-dhār baras merī jaan

os se pyas kahan bujhti hai

musla-dhaar baras meri jaan

'bānī' zarā sambhal ke mohabbat moḌ kaaT

ik hādsa bhī taak meñ hogā yahīñ kahīñ

'bani' zara sambhal ke mohabbat ka moD kaT

ek hadsa bhi tak mein hoga yahin kahin

Dhalegī shaam jahāñ kuchh nazar na aa.egā

phir is ke ba.ad bahut yaad ghar aa.egī

Dhalegi sham jahan kuchh nazar na aaega

phir is ke baad bahut yaad ghar ki aaegi

zarā chhuā thā ki bas peḌ aa girā mujh par

kahāñ ḳhabar thī ki andar se khokhlā hai bahut

zara chhua tha ki bas peD aa gira mujh par

kahan KHabar thi ki andar se khokhla hai bahut

udaas shaam yādoñ bharī sulagtī havā

hameñ phir aaj purāne dayār le aa.ī

udas sham ki yaadon bhari sulagti hawa

hamein phir aaj purane dayar le aai

aaj kyā lauTte lamhāt mayassar aa.e

yaad tum apnī ināyāt se baḌh kar aa.e

aaj kya lauTte lamhat mayassar aae

yaad tum apni inayat se baDh kar aae

din ko daftar meñ akelā shab bhare ghar meñ akelā

maiñ ki aks-e-muntashir ek ek manzar meñ akelā

din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela

main ki aks-e-muntashir ek ek manzar mein akela

is qadar ḳhālī huā baiThā huuñ apnī zaat meñ

koī jhoñkā aa.egā jaane kidhar le jā.egā

is qadar KHali hua baiTha hun apni zat mein

koi jhonka aaega jaane kidhar le jaega

koī ġham hai to dil meñ jagah banā apnī

ik sadā hai to ehsās kamāñ se nikal

tu koi gham hai to dil mein jagah bana apni

tu ek sada hai to ehsas ki kaman se nikal

na jaane kal hoñ kahāñ saath ab havā ke haiñ

ki ham parinde maqāmāt-e-gum-shuda ke haiñ

na jaane kal hon kahan sath ab hawa ke hain

ki hum parinde maqamat-e-gum-shuda ke hain

vo hañste khelte ik lafz kah gayā 'bānī'

magar mire liye daftar khulā ma.ānī

wo hanste khelte ek lafz kah gaya 'bani'

magar mere liye daftar khula maani ka

harī sunahrī ḳhaak uḌāne vaalā maiñ

shafaq shajar tasvīr banāne vaalā maiñ

hari sunahri KHak uDane wala main

shafaq shajar taswir banane wala main

koī bhūlī huī shai tāq-e-har-manzar pe rakkhī thī

sitāre chhat pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhī thī

koi bhuli hui shai taq-e-har-manzar pe rakkhi thi

sitare chhat pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhi thi

vahī ik mausam-e-saffāk thā andar bhī bāhar bhī

ajab sāzish lahū thī ajab fitna havā thā

wahi ek mausam-e-saffak tha andar bhi bahar bhi

ajab sazish lahu ki thi ajab fitna hawa ka tha

chalo ki jazba-e-iz.hār chīḳh meñ to Dhalā

kisī tarah ise āḳhir adā bhī honā thā

chalo ki jazba-e-izhaar chiKH mein to Dhala

kisi tarah ise aaKHir ada bhi hona tha

thī paañv meñ koī zanjīr bach ga.e varna

ram-e-havā tamāshā yahāñ rahā hai bahut

thi panw mein koi zanjir bach gae warna

ram-e-hawa ka tamasha yahan raha hai bahut

paiham mauj-e-imkānī meñ

aglā paañv na.e paanī meñ

paiham mauj-e-imkani mein

agla panw nae pani mein

koī gosha ḳhvāb DhūñD lete the ham

shahr apnā shahr 'bānī' be-amāñ aisā na thā

koi gosha KHwab ka sa DhunD hi lete the hum

shahr apna shahr 'bani' be-aman aisa na tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now