Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Rind Lakhnavi

1797 - 1857 | Lucknow, India

Nawab of Lucknow, a pupil of Aatish.

Nawab of Lucknow, a pupil of Aatish.

Sher of Rind Lakhnavi

4K
Favorite

SORT BY

TuuTe but masjid banī mismār but-ḳhāna huā

jab to ik sūrat bhī thī ab saaf vīrāna huā

TuTe but masjid bani mismar but-KHana hua

jab to ek surat bhi thi ab saf virana hua

chāñdnī rātoñ meñ chillātā phirā

chāñd jis ne vo sūrat dekh

chandni raaton mein chillata phira

chand si jis ne wo surat dekh li

aa andalīb mil ke kareñ āh-o-zāriyāñ

haa.e gul pukār maiñ chillā.ūñ haa.e dil

in one voice, o nightingale, the heavens let us rent

you cry out for the flowers and, I for mine heart lament

aa andalib mil ke karen aah-o-zariyan

tu hae gul pukar main chillaun hae dil

in one voice, o nightingale, the heavens let us rent

you cry out for the flowers and, I for mine heart lament

apne marne agar rañj mujhe hai to ye hai

kaun uThā.egā tirī jaur o jafā mere ba.ad

of death the only regret I profess

is who will you then torture and oppress

apne marne ka agar ranj mujhe hai to ye hai

kaun uThaega teri jaur o jafa mere baad

of death the only regret I profess

is who will you then torture and oppress

maut aa jaa.e qaid meñ sayyād

aarzū ho agar rihā.ī

maut aa jae qaid mein sayyaad

aarzu ho agar rihai ki

ka.abe ko jaatā kis liye hindostāñ se maiñ

kis but meñ shahr-e-hind ke shān-e-ḳhudā na thī

kabe ko jata kis liye hindostan se main

kis but mein shahr-e-hind ke shan-e-KHuda na thi

ham jo kahte haiñ sarāsar hai ġhalat

sab bajā aap jo farmā.iyegā

hum jo kahte hain sarasar hai ghalat

sab baja aap jo farmaiyega

rāsta rok ke kah lūñgā jo kahnā hai mujhe

kyā miloge na kabhī raah meñ aate jaate

rasta rok ke kah lunga jo kahna hai mujhe

kya miloge na kabhi rah mein aate jate

mai-kash huuñ vo ki pūchhtā huuñ uTh ke hashr meñ

kyuuñ sharāb haiñ dukāneñ yahāñ kahīñ

mai-kash hun wo ki puchhta hun uTh ke hashr mein

kyun ji sharab ki hain dukanen yahan kahin

shauq-e-nazzāra-e-dīdār meñ tere hamdam

jaan āñkhoñ meñ mirī jaan rahā kartī hai

shauq-e-nazzara-e-didar mein tere hamdam

jaan aankhon mein meri jaan raha karti hai

kisī koī mar jaa.e hamāre ghar meñ mātam hai

ġharaz bārah mahīne tiis din ham ko moharram hai

kisi ka koi mar jae hamare ghar mein matam hai

gharaz barah mahine tis din hum ko moharram hai

mai pilā aisī ki saaqī na rahe hosh mujhe

ek sāġhar se do aalam hoñ farāmosh mujhe

mai pila aisi ki saqi na rahe hosh mujhe

ek saghar se do aalam hon faramosh mujhe

dīd-e-lailā ke liye dīda-e-majnūñ hai zarūr

merī āñkhoñ se koī dekhe tamāshā terā

did-e-laila ke liye dida-e-majnun hai zarur

meri aankhon se koi dekhe tamasha tera

ai parī husn tirā raunaq-e-hindustāñ hai

husn-e-yūsuf hai faqat misr ke bāzār ruup

ai pari husn tera raunaq-e-hindustan hai

husn-e-yusuf hai faqat misr ke bazar ka rup

lā.egī gardish meñ tujh ko bhī mirī āvārgī

kū-ba-kū maiñ huuñ to bhī dar-ba-dar ho jā.egā

laegi gardish mein tujh ko bhi meri aawargi

ku-ba-ku main hun to tu bhi dar-ba-dar ho jaega

aañkh se qatl kare lab se jalā.e murde

sho.abada-bāz adnā karishma dekho

aankh se qatl kare lab se jalae murde

shoabada-baz ka adna sa karishma dekho

ālam-pasand ho ga.ī jo baat tum ne

jo chaal tum chale vo zamāne meñ chal ga.ī

aalam-pasand ho gai jo baat tum ne ki

jo chaal tum chale wo zamane mein chal gai

nāz-e-bejā uThā.iye kis se

ab na vo dil na vo dimāġh rahā

naz-e-beja uThaiye kis se

ab na wo dil na wo dimagh raha

ai shab-e-furqat na kar mujh par azaab

maiñ ne terā muñh nahīñ kaalā kiyā

ai shab-e-furqat na kar mujh par azab

main ne tera munh nahin kala kiya

zulfoñ tarah umr basar ho ga.ī apnī

ham ḳhāna-ba-doshoñ ko kahīñ ghar nahīñ miltā

zulfon ki tarah umr basar ho gai apni

hum KHana-ba-doshon ko kahin ghar nahin milta

tabī.at ko hogā qalaq chand roz

Thaharte Thaharte Thahar jā.egī

tabiat ko hoga qalaq chand roz

Thaharte Thaharte Thahar jaegi

huur par aañkh na Daale kabhī shaidā terā

sab se begāna hai ai dost shanāsā terā

hur par aankh na Dale kabhi shaida tera

sab se begana hai ai dost shanasa tera

qais samjhā mirī lailā savārī aa.ī

duur se jab koī sahrā meñ bagūlā uTThā

qais samjha meri laila ki sawari aai

dur se jab koi sahra mein bagula uTTha

barahana dekh kar āshiq meñ jān-e-tāza aatī hai

sarāpā ruuh aalam hai tere jism-e-uryāñ meñ

barahana dekh kar aashiq mein jaan-e-taza aati hai

sarapa ruh ka aalam hai tere jism-e-uryan mein

pās-e-dīñ kufr meñ bhī thā malhūz

but ko puujā ḳhudā ḳhudā kar ke

pas-e-din kufr mein bhi tha malhuz

but ko puja KHuda KHuda kar ke

lailā majnūñ raTtī hai naam

dīvānī huī hai bak rahī hai

laila majnun ka raTti hai nam

diwani hui hai bak rahi hai

paroñ ko khol de zālim jo band kartā hai

qafas ko le ke maiñ uḌ jā.ūñgā kahāñ sayyād

paron ko khol de zalim jo band karta hai

qafas ko le ke main uD jaunga kahan sayyaad

thā muqaddam ishq-e-but islām par tiflī meñ bhī

sanam kah kar paḌhā maktab meñ bismillāh ko

tha muqaddam ishq-e-but islam par tifli mein bhi

ya sanam kah kar paDha maktab mein bismillah ko

phir vahī kunj-e-qafas hai vahī sayyād ghar

chaar din aur havā baaġh khā le bulbul

phir wahi kunj-e-qafas hai wahi sayyaad ka ghar

chaar din aur hawa bagh ki kha le bulbul

karīm jo mujhe detā hai baañT khātā huuñ

mire tarīq meñ tanhā-ḳhorī halāl nahīñ

karim jo mujhe deta hai banT khata hun

mere tariq mein tanha-KHori halal nahin

agarī hai gumāñ shak hai malāgīrī

rañg laayā hai dupaTTa tirā mailā ho kar

agari ka hai guman shak hai malagiri ka

rang laya hai dupaTTa tera maila ho kar

huuñ vo kāfir ki musalmānoñ ne aksar mujh ko

phūñkte kā'be meñ nāqūs-e-kalīsā dekhā

hun wo kafir ki musalmanon ne aksar mujh ko

phunkte ka'be mein naqus-e-kalisa dekha

ishq kuchh aap pe mauqūf nahīñ ḳhush rahiye

ek se ek zamāne meñ tarahdār bahut

ishq kuchh aap pe mauquf nahin KHush rahiye

ek se ek zamane mein tarahdar bahut

udaas dekh ke mujh ko chaman dikhātā hai

ka.ī baras meñ huā hai mizāj-dāñ sayyād

udas dekh ke mujh ko chaman dikhata hai

kai baras mein hua hai mizaj-dan sayyaad

kāfir huuñ na phūñkūñ jo tire ka.abe meñ ai shaiḳh

nāqūs baġhal meñ hai musallā na samajhnā

kafir hun na phunkun jo tere kabe mein ai shaiKH

naqus baghal mein hai musalla na samajhna

ai junūñ chhuḌā.e to chhuTūñ is qaid se

tauq-e-gardan ban ga.ī hai merī dānā.ī mujhe

ai junun tu hi chhuDae to chhuTun is qaid se

tauq-e-gardan ban gai hai meri danai mujhe

ḳhaak chhanvātī hai dīvānoñ se apne muddatoñ

vo parī jab tak na kar le dar-ba-dar miltī nahīñ

KHak chhanwati hai diwanon se apne muddaton

wo pari jab tak na kar le dar-ba-dar milti nahin

hijr shab haath meñ le kar charāġh-e-māhtāb

DhūñDhtā phirtā huuñ gardūñ par sahar miltī nahīñ

hijr ki shab hath mein le kar charagh-e-mahtab

DhunDhta phirta hun gardun par sahar milti nahin

dīvānoñ se kah do ki chalī bād-e-bahārī

kyā ab ke baras chaak garebāñ na kareñge

diwanon se kah do ki chali baad-e-bahaari

kya ab ke baras chaak gareban na karenge

rindān-e-ishq chhuT ga.e maz.hab qaid se

ghanTa rahā gale meñ na zunnār rah gayā

rindan-e-ishq chhuT gae mazhab ki qaid se

ghanTa raha gale mein na zunnar rah gaya

lāla-rūyoñ se kab farāġh rahā

ik na ik gul dil pe daaġh rahā

lala-ruyon se kab faragh raha

ek na ek gul ka dil pe dagh raha

bachegā na kāvish se mizhgāñ dil

ki nashtar bahut aabla ek hai

bachega na kawish se mizhgan ki dil

ki nashtar bahut aabla ek hai

pher laatā hai ḳhat-e-shauq mirā ho ke tabāh

zab.h kar Dālūñgā ab jo kabūtar bahkā

pher lata hai KHat-e-shauq mera ho ke tabah

zabh kar Dalunga ab ki jo kabutar bahka

muzhda-bād ai bāda-ḳhvāro daur-e-vā.iz ho chukā

madrase khode ga.e ta.amīr mai-ḳhāna huā

muzhda-baad ai baada-KHwaro daur-e-waiz ho chuka

madrase khode gae tamir mai-KHana hua

khulī hai kunj-e-qafas meñ mirī zabāñ sayyād

maiñ mājrā-e-chaman kyā karūñ bayāñ sayyād

khuli hai kunj-e-qafas mein meri zaban sayyaad

main majra-e-chaman kya karun bayan sayyaad

rutba-e-kufr hai kis baat meñ kam īmāñ se

shaukat-e-ka.aba to hai shān-e-kalīsā dekho

rutba-e-kufr hai kis baat mein kam iman se

shaukat-e-kaba to hai shan-e-kalisa dekho

imsāl fasl-e-gul meñ vo phir chaak ho ga.e

agle baras ke the jo garebāñ siye hue

imsal fasl-e-gul mein wo phir chaak ho gae

agle baras ke the jo gareban siye hue

manzil-e-ishq hai rah hamvār

na bulandī hai yaañ na pastī hai

manzil-e-ishq ki hai rah hamwar

na bulandi hai yan na pasti hai

mazā paḌā hai qanā.at ahd-e-tiflī se

maiñ ser ho ke na piitā thā shīr-e-mādar ko

maza paDa hai qanaat ka ahd-e-tifli se

main ser ho ke na pita tha shir-e-madar ko

kyā sun chuke haiñ āmad-e-fasl-e-bahār haath

jaate haiñ sū-e-jeb jo be-iḳhtiyār haath

kya sun chuke hain aamad-e-fasl-e-bahaar hath

jate hain su-e-jeb jo be-iKHtiyar hath

Recitation

Speak Now