Sher of Umair Najmi
nikāl laayā huuñ ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se piñjra nikālnā hai
nikal laya hun ek pinjre se ek parinda
ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai
-
Tag : Parinda
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bichhaḌ ga.e to ye dil umr bhar lagegā nahīñ
lagegā lagne lagā hai magar lagegā nahīñ
bichhaD gae to ye dil umr bhar lagega nahin
lagega lagne laga hai magar lagega nahin
kitāb-e-ishq meñ har aah ek aayat hai
par āñsuoñ ko hurūf-e-muqatti.āt samajh
kitab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiat samajh
kisī galī meñ kirā.e pe ghar liyā us ne
phir us galī meñ gharoñ ke kirā.e baḌhne lage
kisi gali mein kirae pe ghar liya us ne
phir us gali mein gharon ke kirae baDhne lage
ye saat uTh paḌosī kahāñ se aa.e mire
tumhāre dil meñ to koī na thā sivā.e mire
ye sat uTh paDosi kahan se aae mere
tumhaare dil mein to koi na tha siwae mere
tum pe kyā ḳhaak asar hogā mire sheroñ kā
tum ko to mīr-taqī-'mīr' nahīñ khīñch sakā
tum pe kya KHak asar hoga mere sheron ka
tum ko to mir-taqi-'mir' nahin khinch saka
-
Tag : Meer Taqi Meer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us kī tah se kabhī daryāft kiyā jā.ūñgā maiñ
jis samundar meñ ye sailāb ikaTThe hoñge
us ki tah se kabhi daryaft kiya jaunga main
jis samundar mein ye sailab ikaTThe honge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download