Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
zafar iqbal zafar's Photo'

zafar iqbal zafar

1940 | Fatehpur, India

Sher of zafar iqbal zafar

1.8K
Favorite

SORT BY

rābta kyuuñ rakhūñ maiñ dariyā se

pyaas bujhtī hai merī sahrā se

rabta kyun rakhun main dariya se

pyas bujhti hai meri sahra se

ham log to marte rahe qistoñ meñ hamesha

phir bhī hameñ jiine hunar kyuuñ nahīñ aayā

hum log to marte rahe qiston mein hamesha

phir bhi hamein jine ka hunar kyun nahin aaya

sahrā safar thā to shajar kyuuñ nahīñ aayā

māñgī thiiñ duā.eñ to asar kyuuñ nahīñ aayā

sahra ka safar tha to shajar kyun nahin aaya

mangi thin duaen to asar kyun nahin aaya

mom ke log kaḌī dhuup meñ aa baiThe haiñ

aao ab un ke pighalne tamāshā dekheñ

mom ke log kaDi dhup mein aa baiThe hain

aao ab un ke pighalne ka tamasha dekhen

kuchh aise kam-nazar bhī musāfir hameñ mile

jo saaya DhūñDte haiñ shajar kāTne ke ba.ad

kuchh aise kam-nazar bhi musafir hamein mile

jo saya DhunDte hain shajar kaTne ke baad

ā.īne ā.īne the har taraf

phir bhī apne aap meñ tanhā thā maiñ

aaine hi aaine the har taraf

phir bhi apne aap mein tanha tha main

vo zabt thā ki aah na niklī zabān se

dil pe hamāre kitne ḳhanjar guzar ga.e

wo zabt tha ki aah na nikli zaban se

dil pe hamare kitne hi KHanjar guzar gae

ret ham libās pahne haiñ

aur havā ke safar pe nikle haiñ

ret ka hum libas pahne hain

aur hawa ke safar pe nikle hain

tahzīb baaqī hai na ab sharm-o-hayā kuchh

kis darja ab insān ye bebāk huā hai

tahzib hi baqi hai na ab sharm-o-haya kuchh

kis darja ab insan ye bebak hua hai

us jaisā dūsrā na samāyā nigāh meñ

kitne hasīn āñkhoñ se paikar guzar ga.e

us jaisa dusra na samaya nigah mein

kitne hasin aankhon se paikar guzar gae

hādsoñ se khelne ke bāvajūd

aaj bhī vaisā huuñ kal jaisā thā maiñ

hadson se khelne ke bawajud

aaj bhi waisa hun kal jaisa tha main

koī kañkar pheñkne vaalā nahīñ

kaise phir ho jhiil meñ halchal koī

koi kankar phenkne wala nahin

kaise phir ho jhil mein halchal koi

koī pursāñ nahīñ ġhamoñ 'zafar'

dekhne meñ hazār rishte haiñ

koi pursan nahin ghamon ka 'zafar'

dekhne mein hazar rishte hain

phailī huī hai chāñdnī ehsās meñ mire

ye kaun merī zaat ke andar utar gayā

phaili hui hai chandni ehsas mein mere

ye kaun meri zat ke andar utar gaya

koī bhī shai hasīñ lagtī nahīñ jab tere sivā

ye batā shahr meñ ham tere sivā kyā dekheñ

koi bhi shai hasin lagti nahin jab tere siwa

ye bata shahr mein hum tere siwa kya dekhen

milī na jab unheñ ta.abīr apne ḳhvāboñ

phir apnī āñkhoñ ko nīlām kar diyā sab ne

mili na jab unhen tabir apne KHwabon ki

phir apni aankhon ko nilam kar diya sab ne

maiñ zad pe tīroñ ke ḳhud aa gayā huuñ aaj 'zafar'

tire nishāne ko āsān kar diyā maiñ ne

main zad pe tiron ke KHud aa gaya hun aaj 'zafar'

tere nishane ko aasan kar diya main ne

aap dariyā ravānī se na uljheñ hargiz

tah meñ us ke koī girdāb bhī ho saktā hai

aap dariya ki rawani se na uljhen hargiz

tah mein us ke koi girdab bhi ho sakta hai

na koī phuul rakhā na aarzū na charāġh

tamām ghar ko bayābān kar diyā maiñ ne

na koi phul hi rakha na aarzu na charagh

tamam ghar ko bayaban kar diya main ne

ne nazreñ na milāne qasam khaa.ī hai

aa.ina sāmne rakh kar tirā chehra dekheñ

tu ne nazren na milane ki qasam khai hai

aaina samne rakh kar tera chehra dekhen

haiñ jitne mohre yahāñ saare piTne vaale haiñ

kise maiñ shah karūñ apnā kise ġhulām karūñ

hain jitne mohre yahan sare piTne wale hain

kise main shah karun apna kise ghulam karun

utrī huī hai dhuup badan ke hisār meñ

qurbat ke fāsloñ safar kāTne ke ba.ad

utri hui hai dhup badan ke hisar mein

qurbat ke faslon ka safar kaTne ke baad

mirī chīḳheñ fasīloñ se kabhī bāhar nahīñ jātīñ

shikasta ho ke girne par sadā detī haiñ dīvāreñ

meri chiKHen fasilon se kabhi bahar nahin jatin

shikasta ho ke girne par sada deti hain diwaren

bujh ga.ī hai bastiyoñ aag ik muddat huī

zehn meñ lekin abhī tak sho.alagī maujūd hai

bujh gai hai bastiyon ki aag ek muddat hui

zehn mein lekin abhi tak shoalagi maujud hai

hamārī ziist meñ aise bhī lamhe aate haiñ aksar

darāroñ ke tavassut se havā detī haiñ dīvāreñ

hamari zist mein aise bhi lamhe aate hain aksar

dararon ke tawassut se hawa deti hain diwaren

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now