SEARCH RESULTS
Showing search results for "amaanat"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "amaanat"
Nazm
muhasara
mo.azzaziin-e-adaalat bhii half uThaane ko
misaal-e-saa.il-e-mubarram nashista raah me.n hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
mujhe phuu.nkne se pahle miraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat mire saath jal na jaa.e
Anwar Mirzapuri
PAGE MATCHES FOR "amaanat"
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "amaanat"
Ghazal
hai amaanat me.n KHayaanat so kisii kii KHaatir
ko.ii martaa hai to hairat nahii.n hotii mujh ko
Shahid Zaki
Ghazal
vaz'-daarii to buzurgo.n kii amaanat hai magar
ab ye bikte hu.e zevar nahii.n dekhe jaate
Meraj Faizabadi
Ghazal
KHushaa vo jaan jise dii ga.ii amaanat-e-ishq
rahe vo dil jise apnaa banaa ke luuT liyaa
Jigar Moradabadi
Ghazal
ab tire raaz sambhaale nahii.n jaate mujh se
mai.n kisii roz amaanat me.n KHayaanat karuu.ngaa
Tahzeeb Hafi
Sher
kyuu.n vasl kii shab haath lagaane nahii.n dete
maashuuq ho yaa ko.ii amaanat ho kisii kii
Dagh Dehlvi
Sher
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Ghazal
isii zamiin me.n ik din mujhe bhii sonaa hai
isii zamii.n kii amaanat hai.n mere pyaare bhii
Amjad Islam Amjad
Ghazal
zindagii terii amaanat hai magar kyaa kiije
log ye bojh bhii thak-haar ke rakh dete hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
pindaar-e-aashiqii kii amaanat hai aah-e-sard
ye tiir aaj chho.D rahe hai.n kamaa.n se ham