SEARCH RESULTS
Showing search results for "دکان"
Ghazal MATCHES FOR "دکان"
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
hamaare zehn kii bastii me.n aag aisii lagii
ki jo thaa KHaak hu.aa ik dukaan baaqii hai
Javed Akhtar
Ghazal
ai mai-farosh bhii.D hai terii dukaan par
gaahak hai.n ham bhii maal dikhaanaa sahii sahii
Unknown
Ghazal
ham gul-e-KHvaab sajaate the dukaan-e-dil me.n
aur phir KHud hii KHariidaar hu.aa karte the
Saleem Kausar
Ghazal
achchhaa mazaaq hai ye mirii saadgii ke saath
fashion-zada dukaan me.n rakkhaa gayaa mujhe
Jahangeer nayab
Ghazal
KHaanmaan-e-aashiqaa.n duukaan-e-aatish-baaz hai
sho.ala-ruu jab ho ga.e garm-e-tamaashaa jal gayaa
Mirza Ghalib
Ghazal
ye shahr-e-ishq bahut jald uja.Dne vaalaa hai
dukaan-daar o KHariidaar jhuuT bolte hai.n
Imran Aami
Ghazal
mirii talab kii ko.ii chiiz shash-jihat me.n nahii.n
hazaar chhaan chukaa huu.n tirii dukaan ko mai.n
Akhtar Usman
Ghazal
malbuus KHush-numaa hai.n magar jism khokhle
chhilke saje ho.n jaise phalo.n kii dukaan par
Shakeb Jalali
Ghazal
jo hai tujhe sar-e-saudaa-e-intizaar to aa
ki hai.n dukaan-e-mataa-e-nazar dar-o-diivaar
Mirza Ghalib
Ghazal
baazaar-e-ishq me.n hai.n bahut dil jagah jagah
dekhe.n vo mol lete hai.n kis kii dukaan se
Dagh Dehlvi
Ghazal
mai.n bik gayaa thaa baad me.n be-sarfa jaan kar
duniyaa mirii dukaan pe lauTaa ga.ii mujhe
Qaisarul Jafri
Ghazal
hamaare paas faqat dhuup hai KHayaalo.n kii
jhulaste KHvaabo.n kii dukkaan le ke aa.e hai.n
Manzar Bhopali
Ghazal
Gam kii dukaan khol ke baiThaa hu.aa thaa mai.n
aa.nsuu nikal pa.De hai.n KHariidaar dekh kar