SEARCH RESULTS
Showing search results for "گشت"
Ghazal MATCHES FOR "گشت"
Ghazal
shahr kii gasht me.n hai.n sub.h se saare mansuur
ab to mansuur vahii hai jo sar-e-daar nahii.n
Jaun Eliya
Ghazal
Mehshar Afridi
Ghazal
tamaam raat havaa.o.n kaa gasht jaarii thaa
savere tak na rahaa ko.ii huu-ba-huu baaqii
Aabid Adeeb
Ghazal
mastaana tai karuu.n huu.n rah-e-vaadi-e-KHayaal
taa baaz-gasht se na rahe mudda.aa mujhe
Mirza Ghalib
Ghazal
naaz detaa nahii.n gar ruKHsat-e-gul-gasht-e-chaman
ai chaman-zaar-e-hayaa dil ke gulistaan me.n aa
Wali Dakni
Ghazal
yaa.n bulbul aur gul pe to ibrat se aa.nkh khol
gul-gasht sarsarii nahii.n us gulistaan kaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
ye kaun utraa pa.e-gasht apnii masnad se
aur intizaam-e-makaan o siraa badalne lagaa
Sarvat Husain
Ghazal
sub.h ke saath hu.ii KHatm merii raat kii gasht
rah ga.ii ek galii shahr ke kone vaalii
Javed Shaheen
Ghazal
taaq me.n kab tak jalegaa ye charaaG-e-intizaar
is taraf shab-e-gasht logo.n kii sadaa kab aa.egii
Irfan Siddiqi
Ghazal
pa.e gul-gasht vo gul-posh jo aa.e 'gulzaar'
zindagii sabze ke maanind bichhaa dete hai.n
Gulzar Dehlvi
Ghazal
pa.e-gul-gasht sunaa hai ki vo aaj aate hai.n
phuulo.n kii bhii ye KHushii hai ki khile jaate hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Ghazal
hame.n to baaG kii takliif se mu.aaf rakho
ki sair-o-gasht nahii.n rasm ahl-e-maatam kii
Meer Taqi Meer
Ghazal
chaa.ndnii raat me.n gul-gasht ko jab jaate the
aah azraa kabhii us vaqt ko bhii yaad karo
Akhtar Shirani
Ghazal
vus.at-e-koh-o-dasht ho shahr o nagar kaa gasht ho
meraa safar hikaayate.n meraa adab kahaaniyaa.n