SEARCH RESULTS
Showing search results for "तर्क-ए-मरासिम"
Ghazal MATCHES FOR "तर्क-ए-मरासिम"
Ghazal
ko.ii to tark-e-maraasim pe vaasta rah jaa.e
vo ham-navaa na rahe suurat-aashnaa rah jaa.e
Sabir Zafar
Ghazal
ab to hame.n bhii tark-e-maraasim kaa dukh nahii.n
par dil ye chaahtaa hai ki aaGaaz tuu kare
Ahmad Faraz
Ghazal
ik aadmii se tark-e-maraasim ke baa'd ab
kyaa us galii se ko.ii guzarnaa bhii chho.D de
Jamal Ehsani
Ghazal
ye daaG-e-tark-e-maraasim na diijiye ham ko
jigar ke daaG miTaane me.n der lagtii hai
Sardar Khan Soz
Ghazal
tire aane se aayaa kaun saa aisaa taGayyur
faqat tark-e-maraasim kaa mudaavaa ho gayaa hai
Irfan Sattar
Ghazal
tamaam tark-e-maraasim ke baavajuud 'ashfaaq'
vo zer-e-lab hii sahii gungunaa rahaa thaa mujhe
Ashfaq Husain
Ghazal
Ibn e Insha
Ghazal
aziiz jaan khulii khi.Dkiyo.n kii KHushbuu ko
galii se tark-e-maraasim sahii gharo.n se na ruuTh
Irfan Siddiqi
Ghazal
aa.iina-e-vahshat ko jilaa jis se milii hai
vo gard rah-e-tark-e-maraasim se uThii hai
Ummeed Fazli
Ghazal
malaal-e-tark-e-maraasim to kuchh nahii.n lekin
is ehtiyaat-e-mohabbat kii daad detaa huu.n
Arshad Siddiqui
Ghazal
ye tuu ne tark-e-maraasim kii baat kyo.n chhe.Dii
hame.n to yuu.n bhii tiraa shahr chho.D jaanaa thaa
Munir Anwar
Ghazal
tardiid-e-anaa ishq me.n karne kaa nahii.n mai.n
ab tark-e-maraasim se bhii Darne kaa nahii.n mai.n
Irfan Sattar
Ghazal
ho gayaa tark-e-maraasim ko zamaana lekin
aaj tak dil tirii nazro.n ko du.aa detaa hai
Arshi Bhopali
Ghazal
ek arsa hu.aa is tark-e-maraasim ko magar
ab bhii vo mujh se mohabbat ke sile maa.ngtaa hai
Mohammad Naim Jawed Naim
Ghazal
kiyaa na tark-e-maraasim pe ehtijaaj us ne
ki jaise guzre kisii manzil-e-najaat se vo
Musavvir Sabzwari
Ghazal
dhuup me.n tark-e-maraasim kii jhulasne vaale
aaKHirii shaam-e-mulaaqaat abhii baaqii hai
Farasat Rizwi
Ghazal
ik lafz yaad thaa mujhe tark-e-vafaa magar
bhuulaa hu.aa huu.n Thokare.n khaane ke baa'd bhii