SEARCH RESULTS
Showing search results for "but-shikan"
Ghazal MATCHES FOR "but-shikan"
Ghazal
buto.n kaa saath diyaa but-shikan kaa saath diyaa
fareb-e-ishq ne har husn-e-zan kaa saath diyaa
Vafa Malikpuri
Ghazal
tum ne but banaa.e hai.n tum ko hii mubaarak ho.n
but-shikan qabiile se aazarii nahii.n hotii
Manzar Naqvi
Ghazal
Gaznavii to but-shikan Thahraa magar 'KHaatir' ye kyaa
tere maslak me.n use sajda ravaa kaise hu.aa
Khatir Ghaznavi
Ghazal
ban ban ke jaane kitne fanaa ho.nge somnaat
baste hai.n har galii me.n yahaa.n but-shikan abhii
Ehsan Danish
Ghazal
nazar se thaa sharar-e-sa.ng kii tarah jo nihaa.n
vo but milaa mujhe ik but-shikan ke parde me.n
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
pindaar-e-zohd ho ki Guruur-e-barhamanii
is dair-e-but-shikan me.n hai har but shikastnii
Himayat Ali Shayar
Ghazal
ko.ii chehra asl suurat me.n rahe baaqii to kyuu.n
but-shikan ke 'ahd me.n aazar salaamat hai kahaa.n
Imam Azam
Ghazal
yuu.n taraashe hai.n sanam kufr ke is duniyaa ne
but-shikan hotaa jo is daur me.n 'aazar' hotaa
Haidar Ali Jafri
Ghazal
patthar ke sanam bhii kabhii kuchh bol sake hai.n
ai but-shikan az.haan ke KHaamosh savaalo
Waheed Akhtar
Ghazal
aayaa to dil me.n baiTh gayaa ban ke devtaa
uTThe nahii.n hai.n 'ishq-e-dil-e-but-shikan ke paa.nv
Chandrashekhar Pandey Shams
Ghazal
dete rahe fareb-e-manaazir ke but-kade
dekhaa kiye tujhe nigah-e-but-shikan se ham
Parvez Shahidi
Ghazal
palak jhapakne me.n kuchh KHvaab TuuT jaate hai.n
jo but-shikan hai vahii lamha but-taraash bhii thaa
Tanveer Ahmad Alvi
Ghazal
Himayat Ali Shayar
Ghazal
Mukhtaruddin
Ghazal
hazaar but-shikan aa.e magar na to.D sake
Guruur sab se ba.Daa somnaat hai shaayad