SEARCH RESULTS
Showing search results for "gurezaa.n"
Ghazal MATCHES FOR "gurezaa.n"
Ghazal
ye umr-e-gurezaa.n kahii.n Thahre to ye jaanuu.n
har saa.ns me.n mujh ko yahii lagtaa hai ki tum ho
Ahmad Faraz
Ghazal
uj.De hu.e logo.n se gurezaa.n na hu.aa kar
haalaat kii qabro.n ke ye katbe bhii pa.Dhaa kar
Mohsin Naqvi
Ghazal
lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.n
yaad aa.e hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aa.e
Ada Jafarey
Ghazal
mai.n ki rahtaa huu.n ba-sad-naaz gurezaa.n tujh se
tuu na hogaa to bahut yaad karuu.ngaa tujh ko
Jaun Eliya
Ghazal
roke duniyaa me.n hai yuu.n tark-e-havas kii koshish
jis tarah apne hii saa.e se gurezaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
hai KHabar garm ki phirtaa hai gurezaa.n naaseh
guftuguu aaj sar-e-kuu-e-butaa.n Thahrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
har dost jahaa.n abr-e-gurezaa.n kii tarah hai
ye shahr kabhii shahr hamaaraa bhii kabhii thaa
Ahmad Faraz
Ghazal
ajnabii ban ke na mil umr-e-gurezaa.n ham se
the kabhii ham bhii tire naaz uThaane vaale
Akhtar Saeed Khan
Ghazal
is darja mohabbat me.n taGaaful nahii.n achchhaa
ham bhii jo kabhii tum se gurezaa.n ho.n to kyaa ho
Hari Chand Akhtar
Ghazal
paara-e-abr-e-gurezaa.n the ki mausam apne
duur bhii rahte magar paas bhii aate jaate
Naseer Turabi
Ghazal
har shai qariib aa ke kashish apnii kho ga.ii
vo bhii ilaaj-e-shauq-e-gurezaa.n na kar sake
Sahir Ludhianvi
Ghazal
juu-e-ehsaas me.n larzaa.n ye gurezaa.n lamhaat
naGma-e-dard me.n Dhal jaa.e.n zaruurii to nahii.n
Zahida Zaidi
Ghazal
zaraa sii der Thahartii jo gardish-e-ayyaam
use shabaab-e-gurezaa.n kaa vaasta dete
Khalilur Rahman Azmi
Ghazal
vo ek lams-e-gurezaa.n hai aatish-e-be-soz
mujhe lagaa.e gale jal ke raakh ho jaa.e
Ammar Iqbal
Ghazal
hausle detaa hai ye abr-e-gurezaa.n kyaa kyaa
zinda huu.n dasht me.n ham us ke sahaare jaise
Irfan Siddiqi
Ghazal
vahshat-e-aatish-e-dil se shab-e-tanhaa.ii me.n
suurat-e-duud rahaa saaya gurezaa.n mujh se
Mirza Ghalib
Ghazal
Gam-ba-dil shukr-ba-lab mast o Gazal-KHvaa.n chaliye
jab tilak saath tire umr-e-gurezaa.n chaliye
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
tuu ai bahaar-e-gurezaa.n kisii chaman me.n rahe
mire junuu.n kii mahak tere pairahan me.n rahe