SEARCH RESULTS
Showing search results for "jahez"
Ghazal MATCHES FOR "jahez"
Ghazal
baap bojh Dhotaa thaa kyaa jahez de paataa
is liye vo shahzaadii aaj tak ku.nvaarii hai
Manzar Bhopali
Ghazal
maa.n baap kii du.aa.o.n se ba.Dh kar jahez me.n
dulhan ko aur ko.ii bhii zevar nahii.n milaa
Abbas Dana
Ghazal
royaa ki thaa jahez tiraa vaajib-ul-adaa
me.nh motiyo.n kaa qabr pe barsaa ke aa gayaa
Hafeez Jalandhari
Ghazal
ba.Dhtii hu.ii takraar jahez kii aur Gurbat kaa bojh
apne aap ko aag lagaa ke phir ik mar ga.ii beTii
Sameena Aslam Sameena
Ghazal
lailaa ke saath kaar bhii aa.e jahez me.n
majnuu.n ye kah ke saas se aage nikal ga.e
Sarfaraz Shahid
Ghazal
jahez kam thaa bahuu aag me.n utaarii hai
hamaare gaa.nv me.n ab tak ye rasm jaarii hai
Sadiya Safdar Saadi
Ghazal
jahez naam hii se rang u.D gayaa us kaa
Gariib baap kii beTii jahaa.n-shanaas lagii
Ajeet Singh Hasrat
Ghazal
Bulbul Kashmiri
Ghazal
ranj-o-alam kii baa.Dh me.n iimaan bah gayaa
beTii ke jab jahez kaa saamaan bah gayaa
Shaz Malik
Ghazal
laKHt-e-jigar nisaar kare.n aur de.n jahez
ko.ii bhii baap KHush nahii.n aise rivaaj se
Hashir Afnan
Ghazal
laa'nat ho is jahez pe kal is ke vaaste
beTii thii ik Gariib kii rishta nahii.n hu.aa
Tariq Islam Kukravi
Ghazal
havaa ke haath na lag jaa.e mausamo.n se kaho
ki ek phuul kaa saaraa jahez KHushbuu hai
Talib Husain Talib
Ghazal
beTii ko mai.n jahez bhii detaa to kis tarah
saarii kamaa.ii baap kii biimaarii khaa ga.ii
Maikash Azmi
Ghazal
javaan beTii jahez aur ba.Dhtii mah.ngaa.ii
za'iif baap ke dil me.n shabaab chubhne lagaa
Asad Raza
Ghazal
Duube hu.e jahaaz pe kyaa tabsira kare.n
ye haadisa to soch kii gahraa.ii le gayaa
Rahat Indori
Ghazal
vo vaqt kaa jahaaz thaa kartaa lihaaz kyaa
mai.n dosto.n se haath milaane me.n rah gayaa