SEARCH RESULTS
Showing search results for "ohda"
Ghazal MATCHES FOR "ohda"
Ghazal
na ko.ii ohda na degree na naam kii taKHtii
mai.n rah rahaa huu.n yahaa.n meraa ghar bataataa hai
Waseem Barelvi
Ghazal
KHudaa ataa kare ohda ba.Daa Gariib ko aur
badal sake na vo KHuu naukaro.n me.n baiThne kii
aabid umar
Ghazal
kahaaniyo.n kii fazaa bhii use thii raas 'aKHtar'
haqiiqato.n se bhii ohda-bar-aa hu.aa thaa bahut
Akhtar Hoshiyarpuri
Ghazal
na hu.aa raah-e-mohabbat me.n ko.ii ohda-baraa
jo subuk-dosh hu.aa vo bhii giraa.n-baar chalaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
riqaabate.n miraa ohda bahaal kartii hu.ii
mai.n jaan dene ke fan me.n yagaana hotaa hu.aa
Irfan Siddiqi
Ghazal
husn ke haq se ko.ii ohda-bar-aa kyaa hogaa
ishq kaa haq bhii adaa ham se kahaa.n hotaa hai
Bismil Saeedi
Ghazal
tuu apne ohda-e-munsif se munsif istifaa de de
agar haqdaar kaa haq tujh se dilvaayaa nahii.n jaataa
Nawaz Asimi
Ghazal
kiye hai.n sab ko ataa us ne ohda o mansab
mujhe bhii siina-KHaraashii ke kaam par rakkhaa
Ahmad Javaid
Ghazal
committee me.n KHaazin kaa ohda nahii.n hai
jo hai mo'tamad aur sadr fifTy fifTy
Pagal Adilabadi
Ghazal
ohda-e-ishq se barKHaast ham is duniyaa me.n
KHaak kii KHuld-makaanii ke liye aa.e hai.n
Farhat Ehsas
Ghazal
so ab mai.n ohda-e-duniyaa se kyaa Garaz rakhuu.n
kisii ne mansab-e-dil par biThaa diyaa hai mujhe
Mubeen Mirza
Ghazal
lagtaa hai ahl-e-duniyaa ko ab paanaa hai 'saliil'
ohda KHudaa kaa aadmii kii zaat bech kar
Kuldeep Salil
Ghazal
jaise jaise ba.Dh rahaa hai meraa ohda dosto.n
vaise vaise ruuh merii aur bhii viiraan hai