SEARCH RESULTS
Showing search results for "rozgaar"
Ghazal MATCHES FOR "rozgaar"
Ghazal
duniyaa ne terii yaad se begaana kar diyaa
tujh se bhii dil-fareb hai.n Gam rozgaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Gam agarche jaa.n-gusil hai pa kahaa.n bache.n ki dil hai
Gam-e-ishq gar na hotaa Gam-e-rozgaar hotaa
Mirza Ghalib
Ghazal
falak se taur qayaamat ke ban na pa.Dte the
aKHiir ab tujhe aashob-e-rozgaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
miltaa hai kyuu.n maza sitam-e-rozgaar me.n
teraa karam bhii KHud jo shariik-e-sitam nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
go mai.n rahaa rahiin-e-sitam-haa-e-rozgaar
lekin tire KHayaal se Gaafil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Ghazal
kisii din kaarKHaana-e-Gazal me.n kaam niklegaa
palaT aa.e.nge sab be-rozgaar aahista aahista
Tahzeeb Hafi
Ghazal
tum ne to haath jaur-o-sitam se uThaa liyaa
ab kyaa mazaa rahaa sitam-e-rozgaar me.n
Seemab Akbarabadi
Ghazal
is vaqt ham se puuchh na Gam rozgaar ke
ham se har ek ghuu.nT ko ka.Dvaa kiyaa na jaa.e
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
KHayaal-e-yaar kabhii zikr-e-yaar karte rahe
isii mataa.a pe ham rozgaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
kuchh apnaa farz pyaar tiraa fikr-e-rozgaar
kitne hii vaardaat me.n uljhaa hu.aa huu.n mai.n
Jahangeer nayab
Ghazal
aan pe ho madaar kyaa buud ke rozgaar kaa
dam hama-dam hai duu.n ye dam vahm-e-davaam ranj hai
Jaun Eliya
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
hai tere Gam kii Gam-e-rozgaar se saazish
kahaa.n kahaa.n dil-e-diivaana kaam aataa hai
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
mai.n aur tum se tark-e-mohabbat kii aarzuu
diivaana kar diyaa hai Gam-e-rozgaar ne
Sahir Ludhianvi
Ghazal
kam jaante the ham bhii Gam-e-ishq ko par ab
dekhaa to kam hu.e pa Gam-e-rozgaar thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
badaltaa jaa.e Gam-e-rozgaar kaa markaz
ye chaal gardish-e-ayyaam chal to saktii hai