SEARCH RESULTS
Showing search results for "ubhaar"
Ghazal MATCHES FOR "ubhaar"
Ghazal
Peer Nasiruddin Shah Naseer
Ghazal
vo chaa.nd hai to aks bhii paanii me.n aa.egaa
kirdaar KHud ubhar ke kahaanii me.n aa.egaa
Iqbal Sajid
Ghazal
KHudii vo bahr hai jis kaa ko.ii kinaara nahii.n
tuu aabjuu ise samjhaa agar to chaara nahii.n
Allama Iqbal
Ghazal
kuchh dino.n ke liye manzar se agar haT jaa.o
zindagii bhar kii shanaasaa.ii chalii jaatii hai
Shakeel Azmi
Ghazal
shahr-e-firaaq-e-yaar se aa.ii hai ik KHabar mujhe
kuucha-e-yaad-e-yaar se ko.ii nahii.n ubhar rahaa
Jaun Eliya
Ghazal
mai.n tere dard kii tuGyaaniyo.n me.n Duub gayaa
pukaarte rahe taare ubhar ubhar ke mujhe
Nasir Kazmi
Ghazal
ho agar mauj me.n ham jaisaa ko.ii andhaa faqiir
ek sikke se bhii taqdiir sa.nvar saktii hai
Azhar Faragh
Ghazal
nasheb-e-hastii se afsos ham ubhar na sake
faraaz-e-daar se paiGaam aa.e hai.n kyaa kyaa
Kaifi Azmi
Ghazal
saahilo.n pe aatii hai aaj bhii sadaa un kii
Duubne se kuchh pahle jo ubhar ke ro.e the
Bharat Bhushan Pant
Ghazal
tuu qariib aa.e to qurbat kaa yuu.n iz.haar karuu.n
aa.ina saamne rakh kar tiraa diidaar karuu.n
Nida Fazli
Ghazal
qadGan lagaa na ashko.n pe yaado.n ke shahr me.n
hogaa agar tamaashaa to KHilqat bhii aa.egii
Iqbal Sajid
Ghazal
ai jaa.n muqaabla mire haatho.n se kab hu.aa
joban tire ubhar ke karaare hu.e to kyaa
Ahmad Husain Mail
Ghazal
zaKHm-e-dil jaag uThe phir vahii din yaar aa.e
phir tasavvur pe ubhar aa.e vo manzar saare
Bashir Farooqi
Ghazal
ab sub.h na aa paa.e aa.o ye du.aa maa.nge.n
is raat ke har pal se raate.n hii ubhar jaa.e.n
Sahir Ludhianvi
Ghazal
jab faraamosh kare.nge hame.n duniyaa vaale
aur ubhar aa.e.nge ham dil me.n KHayaalo.n kii tarah
Arsh Sahbai
Ghazal
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
jab ubhaaraa hai to apne qurb kii had tak ubhaar
jab banaayaa hai to apne lutf ke qaabil banaa
Azad Ansari
Ghazal
bikherte raho sahraa me.n biij ulfat ke
ki biij hii to ubhar kar shajar banaate hai.n