Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Tahzeeb Hafi - Nayi awaazon mein ek aawaaz

Urdu Poetry's garden is blooming like never before. Many young poets are taking Shayari a step forward. Tahzeeb is one of them, who is touching the heart of millions. Here are a few selected couplets from his library of poems.

maiñ ki kāġhaz ek kashtī huuñ

pahlī bārish āḳhirī hai mujhe

main ki kaghaz ki ek kashti hun

pahli barish hi aaKHiri hai mujhe

Tahzeeb Hafi

terā chup rahnā mire zehn meñ kyā baiTh gayā

itnī āvāzeñ tujhe diiñ ki galā baiTh gayā

tera chup rahna mere zehn mein kya baiTh gaya

itni aawazen tujhe din ki gala baiTh gaya

Tahzeeb Hafi

ye ek baat samajhne meñ raat ho ga.ī hai

maiñ us se jiit gayā huuñ ki maat ho ga.ī hai

TRANSLATION

Nightfall occurred in knowing this feat,

Have I attained victory or this is a defeat.

Sagar Akbarabadi

ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai

main us se jit gaya hun ki mat ho gai hai

TRANSLATION

Nightfall occurred in knowing this feat,

Have I attained victory or this is a defeat.

Sagar Akbarabadi

Tahzeeb Hafi

apnī mastī meñ bahtā dariyā huuñ

maiñ kināra bhī huuñ bhañvar bhī huuñ

apni masti mein bahta dariya hun

main kinara bhi hun bhanwar bhi hun

Tahzeeb Hafi

dāstāñ huuñ maiñ ik tavīl magar

jo sun le to muḳhtasar bhī huuñ

dastan hun main ek tawil magar

tu jo sun le to muKHtasar bhi hun

Tahzeeb Hafi

batā ai abr musāvāt kyuuñ nahīñ kartā

hamāre gaañv meñ barsāt kyuuñ nahīñ kartā

bata ai abr musawat kyun nahin karta

hamare ganw mein barsat kyun nahin karta

Tahzeeb Hafi

ik tirā hijr dā.imī hai mujhe

varna har chiiz aarzī hai mujhe

ek tera hijr daimi hai mujhe

warna har chiz aarzi hai mujhe

Tahzeeb Hafi

tamām nāḳhudā sāhil se duur ho jaa.eñ

samundaroñ se akele meñ baat karnī hai

tamam naKHuda sahil se dur ho jaen

samundaron se akele mein baat karni hai

Tahzeeb Hafi

maiñ jañgaloñ taraf chal paḌā huuñ chhoḌ ke ghar

ye kyā ki ghar udāsī bhī saath ho ga.ī hai

main jangalon ki taraf chal paDa hun chhoD ke ghar

ye kya ki ghar ki udasi bhi sath ho gai hai

Tahzeeb Hafi

peḌ mujhe hasrat se dekhā karte the

maiñ jañgal meñ paanī laayā kartā thā

peD mujhe hasrat se dekha karte the

main jangal mein pani laya karta tha

Tahzeeb Hafi

maiñ jis ke saath ka.ī din guzār aayā huuñ

vo mere saath basar raat kyuuñ nahīñ kartā

main jis ke sath kai din guzar aaya hun

wo mere sath basar raat kyun nahin karta

Tahzeeb Hafi

tujh ko paane meñ mas.ala ye hai

tujh ko khone ke vasvase raheñge

tujh ko pane mein masala ye hai

tujh ko khone ke waswase rahenge

Tahzeeb Hafi

maiñ suḳhan meñ huuñ us jagah ki jahāñ

saañs lenā bhī shā.irī hai mujhe

main suKHan mein hun us jagah ki jahan

sans lena bhi shairi hai mujhe

Tahzeeb Hafi

sahrā se ho ke baaġh meñ aayā huuñ sair ko

hāthoñ meñ phuul haiñ mire paañv meñ ret hai

sahra se ho ke bagh mein aaya hun sair ko

hathon mein phul hain mere panw mein ret hai

Tahzeeb Hafi

is liye raushnī meñ ThanDak hai

kuchh charāġhoñ ko nam kiyā gayā hai

is liye raushni mein ThanDak hai

kuchh charaghon ko nam kiya gaya hai

Tahzeeb Hafi

āsmāñ aur zamīñ vus.at dekh

maiñ idhar bhī huuñ aur udhar bhī huuñ

aasman aur zamin ki wusat dekh

main idhar bhi hun aur udhar bhi hun

Tahzeeb Hafi

niiñd aisī ki raat kam paḌ jaa.e

ḳhvāb aisā ki muñh khulā rah jaa.e

nind aisi ki raat kam paD jae

KHwab aisa ki munh khula rah jae

Tahzeeb Hafi

mujh pe kitne sānahe guzre par in āñkhoñ ko kyā

merā dukh ye hai ki merā ham-safar rotā na thā

mujh pe kitne sanahe guzre par in aankhon ko kya

mera dukh ye hai ki mera ham-safar rota na tha

Tahzeeb Hafi

merī naqleñ utārne lagā hai

ā.īne batāo kyā kiyā jaa.e

meri naqlen utarne laga hai

aaine ka batao kya kiya jae

Tahzeeb Hafi

kyā mujh se bhī aziiz hai tum ko diye lau

phir to merā mazār bane aur diyā jale

kya mujh se bhi aziz hai tum ko diye ki lau

phir to mera mazar bane aur diya jale

Tahzeeb Hafi

mire hāthoñ se lag kar phuul miTTī ho rahe haiñ

mirī āñkhoñ se dariyā dekhnā sahrā lagegā

mere hathon se lag kar phul miTTi ho rahe hain

meri aankhon se dariya dekhna sahra lagega

Tahzeeb Hafi

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now