Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bismil Azimabadi's Photo'

Bismil Azimabadi

1901 - 1978 | Patna, India

Sher of Bismil Azimabadi

18.2K
Favorite

SORT BY

sarfaroshī tamannā ab hamāre dil meñ hai

dekhnā hai zor kitnā bāzu-e-qātil meñ hai

sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai

vaqt aane de dikhā deñge tujhe ai āsmāñ

ham abhī se kyuuñ batā.eñ kyā hamāre dil meñ hai

waqt aane de dikha denge tujhe ai aasman

hum abhi se kyun bataen kya hamare dil mein hai

na apne zabt ko rusvā karo satā ke mujhe

ḳhudā ke vāste dekho na muskurā ke mujhe

na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe

KHuda ke waste dekho na muskura ke mujhe

tum sun ke kyā karoge kahānī ġharīb

jo sab sun rahā hai kaheñge usī se ham

tum sun ke kya karoge kahani gharib ki

jo sab ki sun raha hai kahenge usi se hum

ho na māyūs ḳhudā se 'bismil'

ye bure din bhī guzar jā.eñge

ho na mayus KHuda se 'bismil'

ye bure din bhi guzar jaenge

majbūriyoñ ko apnī kaheñ kyā kisī se ham

laa.e ga.e haiñ, aa.e nahīñ haiñ ḳhushī se ham

majburiyon ko apni kahen kya kisi se hum

lae gae hain, aae nahin hain KHushi se hum

allāh tere haath hai ab ābrū-e-shauq

dam ghuT rahā hai vaqt raftār dekh kar

allah tere hath hai ab aabru-e-shauq

dam ghuT raha hai waqt ki raftar dekh kar

dekhā na tum ne aañkh uThā kar bhī ek baar

guzre hazār baar tumhārī galī se ham

dekha na tum ne aankh uTha kar bhi ek bar

guzre hazar bar tumhaari gali se hum

ek din vo din the rone pe hañsā karte the ham

ek ye din haiñ ki ab hañsne pe ronā aa.e hai

ek din wo din the rone pe hansa karte the hum

ek ye din hain ki ab hansne pe rona aae hai

jur.at-e-shauq to kyā kuchh nahīñ kahtī lekin

paañv phailāne nahīñ detī hai chādar mujh ko

jurat-e-shauq to kya kuchh nahin kahti lekin

panw phailane nahin deti hai chadar mujh ko

saudā vo kyā karegā ḳharīdār dekh kar

ghabrā gayā jo garmī-e-bāzār dekh kar

sauda wo kya karega KHaridar dekh kar

ghabra gaya jo garmi-e-bazar dekh kar

ye zindagī bhī koī zindagī huī 'bismil'

na ro sake na kabhī hañs sake Thikāne se

ye zindagi bhi koi zindagi hui 'bismil'

na ro sake na kabhi hans sake Thikane se

'bismil' butoñ ishq mubārak tumheñ magar

itne niDar na ho ki ḳhudā bhī Dar na ho

'bismil' buton ka ishq mubarak tumhein magar

itne niDar na ho ki KHuda ka bhi Dar na ho

dāstāñ puurī na hone paa.ī

zindagī ḳhatm huī jaatī hai

dastan puri na hone pai

zindagi KHatm hui jati hai

kahāñ qarār hai kahne ko dil qarār meñ hai

jo thī ḳhizāñ meñ vahī kaifiyat bahār meñ hai

kahan qarar hai kahne ko dil qarar mein hai

jo thi KHizan mein wahi kaifiyat bahaar mein hai

chaman ko lag ga.ī kis nazar ḳhudā jaane

chaman rahā na rahe vo chaman ke afsāne

chaman ko lag gai kis ki nazar KHuda jaane

chaman raha na rahe wo chaman ke afsane

āzādī ne baazū bhī salāmat nahīñ rakkhe

ai tāqat-e-parvāz tujhe laa.eñ kahāñ se

aazadi ne bazu bhi salamat nahin rakkhe

ai taqat-e-parwaz tujhe laen kahan se

kis haal meñ ho kaise ho kyā karte ho 'bismil'

marte ho ki jiite ho zamāne ke asar se

kis haal mein ho kaise ho kya karte ho 'bismil'

marte ho ki jite ho zamane ke asar se

kahāñ tamām huī dāstān 'bismil'

bahut baat to kahne ko rah ga.ī ai dost

kahan tamam hui dastan 'bismil' ki

bahut si baat to kahne ko rah gai ai dost

ik ġhalat sajde se kyā hotā hai vaa.iz kuchh na pūchh

umr bhar sab riyāzat ḳhaak meñ mil jaa.e hai

ek ghalat sajde se kya hota hai waiz kuchh na puchh

umr bhar ki sab riyazat KHak mein mil jae hai

ye kah ke detī jaatī hai taskīñ shab-e-firāq

vo kaun hai raat ki jis sahar na ho

ye kah ke deti jati hai taskin shab-e-firaq

wo kaun si hai raat ki jis ki sahar na ho

ḳhizāñ jab tak chalī jaatī nahīñ hai

chaman vāloñ ko niiñd aatī nahīñ hai

KHizan jab tak chali jati nahin hai

chaman walon ko nind aati nahin hai

ġhairoñ ne ġhair jaan ke ham ko uThā diyā

baiThe jahāñ bhī sāya-e-dīvār dekh kar

ghairon ne ghair jaan ke hum ko uTha diya

baiThe jahan bhi saya-e-diwar dekh kar

hañsī 'bismil' hālat par kisī ko

kabhī aatī thī ab aatī nahīñ hai

hansi 'bismil' ki haalat par kisi ko

kabhi aati thi ab aati nahin hai

kyā kareñ jām-o-subū haath pakaḌ lete haiñ

to kahtā hai ki uTh jā.iye mai-ḳhāne se

kya karen jam-o-subu hath pakaD lete hain

ji to kahta hai ki uTh jaiye mai-KHane se

ugal na sañg-e-malāmat ḳhudā se Dar nāseh

milegā kyā tujhe shīshoñ ke TuuT jaane se

ugal na sang-e-malamat KHuda se Dar naseh

milega kya tujhe shishon ke TuT jaane se

rahrav-e-rāh-e-mohabbat rah na jaanā raah meñ

lazzat-e-sahrā-navardī dūrī-e-manzil meñ hai

rahraw-e-rah-e-mohabbat rah na jaana rah mein

lazzat-e-sahra-nawardi duri-e-manzil mein hai

bayābān-e-junūñ meñ shām-e-ġhurbat jab satāyā

mujhe rah rah kar ai sub.h-e-vatan yaad aayā

bayaban-e-junun mein sham-e-ghurbat jab sataya ki

mujhe rah rah kar ai subh-e-watan tu yaad aaya ki

Recitation

Speak Now