Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Adil Mansuri's Photo'

Adil Mansuri

1936 - 2008 | Ahmedabad, India

One of the leading modernist poets who broke many conventions. Wrote poetry in Urdu and Gujarati. He was also a famous calligrapher and playwright

One of the leading modernist poets who broke many conventions. Wrote poetry in Urdu and Gujarati. He was also a famous calligrapher and playwright

TOP 20 SHAYARI of Adil Mansuri

dariyā ke kināre pe mirī laash paḌī thī

aur paanī tah meñ vo mujhe DhūñD rahā thā

dariya ke kinare pe meri lash paDi thi

aur pani ki tah mein wo mujhe DhunD raha tha

kis tarah jamā kījiye ab apne aap ko

kāġhaz bikhar rahe haiñ purānī kitāb ke

kis tarah jama kijiye ab apne aap ko

kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke

lahū meñ utartī rahī chāndnī

badan raat kitnā ThanDā lagā

lahu mein utarti rahi chandni

badan raat ka kitna ThanDa laga

mujhe pasand nahīñ aise kārobār meñ huuñ

ye jabr hai ki maiñ ḳhud apne iḳhtiyār meñ huuñ

mujhe pasand nahin aise karobar mein hun

ye jabr hai ki main KHud apne iKHtiyar mein hun

kab tak paḌe rahoge havāoñ ke haath meñ

kab tak chalegā khokhle shabdoñ kārobār

kab tak paDe rahoge hawaon ke hath mein

kab tak chalega khokhle shabdon ka karobar

koī ḳhud-kushī taraf chal diyā

udāsī mehnat Thikāne lagī

koi KHud-kushi ki taraf chal diya

udasi ki mehnat Thikane lagi

na koī rok sakā ḳhvāb ke safīroñ ko

udaas kar ga.e nīndoñ ke rāhgīroñ ko

na koi rok saka KHwab ke safiron ko

udas kar gae nindon ke rahgiron ko

jaane kis ko DhūñDne dāḳhil huā hai jism meñ

haDDiyoñ meñ rāsta kartā huā piilā buḳhār

jaane kis ko DhunDne daKHil hua hai jism mein

haDDiyon mein rasta karta hua pila buKHar

jiitā hai sirf tere liye kaun mar ke dekh

ik roz merī jaan ye harkat bhī kar ke dekh

jita hai sirf tere liye kaun mar ke dekh

ek roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh

bismil ke taḌapne adāoñ meñ nasha thā

maiñ haath meñ talvār liye jhuum rahā thā

bismil ke taDapne ki adaon mein nasha tha

main hath mein talwar liye jhum raha tha

kabhī ḳhaak vāloñ bāteñ bhī sun

kabhī āsmānoñ se nīche utar

kabhi KHak walon ki baaten bhi sun

kabhi aasmanon se niche utar

mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar

us ne dīvāroñ ko apnī aur ūñchā kar diyā

mere TuTe hausle ke par nikalte dekh kar

us ne diwaron ko apni aur uncha kar diya

jo chup-chāp rahtī thī dīvār par

vo tasvīr bāteñ banāne lagī

jo chup-chap rahti thi diwar par

wo taswir baaten banane lagi

so.e to dil meñ ek jahāñ jāgne lagā

jaage to apnī aañkh meñ jaale the ḳhvāb ke

soe to dil mein ek jahan jagne laga

jage to apni aankh mein jale the KHwab ke

har aañkh meñ thī TūTte lamhoñ tishnagī

har jism pe thā vaqt saaya paḌā huā

har aankh mein thi TuTte lamhon ki tishnagi

har jism pe tha waqt ka saya paDa hua

phir koī vus.at-e-āfāq pe saaya Daale

phir kisī aañkh ke nuqte meñ utārā jā.ūñ

phir koi wusat-e-afaq pe saya Dale

phir kisi aankh ke nuqte mein utara jaun

kab se Tahal rahe haiñ garebān khol kar

ḳhālī ghaTā ko kyā kareñ barsāt bhī to ho

kab se Tahal rahe hain gareban khol kar

KHali ghaTa ko kya karen barsat bhi to ho

allāh jaane kis pe akaḌtā thā raat din

kuchh bhī nahīñ thā phir bhī baḌā bad-zabān thā

allah jaane kis pe akaDta tha raat din

kuchh bhi nahin tha phir bhi baDa bad-zaban tha

hammām ke ā.īne meñ shab Duub rahī thī

cigarette se na.e din dhuāñ phail rahā thā

hammam ke aaine mein shab Dub rahi thi

cigarette se nae din ka dhuan phail raha tha

vo kaun thā jo din ke ujāle meñ kho gayā

ye chāñd kis ko DhūñDne niklā hai shaam se

wo kaun tha jo din ke ujale mein kho gaya

ye chand kis ko DhunDne nikla hai sham se

niind bhī jāgtī rahī puure hue na ḳhvāb bhī

sub.h huī zamīn par raat Dhalī mazār meñ

nind bhi jagti rahi pure hue na KHwab bhi

subh hui zamin par raat Dhali mazar mein

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now